Showing posts with label Hindi Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Hindi Ghazals. Show all posts

Sunday 30 November 2014

Kask Phirse Meri Aakhn Khule Hindi Poem by Roshan Singh


Kask phirse meri aakhn khule,
Ek chote se bachche mai, 
Jo dekh raha tha sapne itne din,
Sote hue raton mai,
Kash mera ye bis saal us bachche ka sapna hota,
kash phirse mujhe jine ka ek aur mouka milta,
Kash mera bachpan phir se mujhe milta,
Sudhar lunga mujh se hui har galti ko,
Mana leta mujhse rutha har hasti ko,
Phirse mujhe jina hai,
Phirse bara hona hai,
Isbar man laga ke parhunga,
Khud ko kavi cheat nai karunga,
Khud se kavi galti nai karunga,
Har galti ko sudharta chala jaunga,
Kash phirse meri aakkhn khule,
Ek chote se bachche mai,
Jo dekh raha tha sapne itne din,
Sote hue raton mai,
kash phir se ji sakun mai wo sunahra din,
Ma k god mai khelta rahun har gum k bin,
Wo sunehra din chahta hu jab,
Papa k kandhe pe ghuma karta tha mai,
Wo sunehra din chahta hu jab,
Ma papa ka dulara tha mai...!!!

»»  read more

Wednesday 23 April 2014

Sad Mohabbat Hindi Ghazal Haqiqat Jaan Kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai

Sad Mohabbat Hindi Ghazal Haqiqat Jaan kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai

Haqiqat Jaan kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai
Bhala Be Faiz Logon Se Muhabbat Kon Karta Hai,

Batao Jis Ujrat Mein Khsara He Khsara Ho
Bina Sochy Khisary Ki Tijarat Kon Karta Hai,

Humain He Galat Fehmi Thi Kisi Ke Wasty Warna
Zamany Ke Rawajon Se Bagawat Kon Karta Hai,

Khuda Ne Sabar Karny Ki Muje Tofeeq Bakhshi Hai
Ary Gi Bhar Ke Tarpao Shikayat Kon Karta Hai,

Kisi Ke Dil Ke Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai
Magar Es Daor Mein Ye Zehmat Kon Karta Hai...!!!


»»  read more

Sad Shayai Hidni Ghazal Ik Baar Hi Jee Bhar Ke Saza Kyon Nahi Dete


Ik baar hi jee bhar ke saza kyon nahi dete
Main haraf-e-galat hun to mita kyon nahi dete,

Moti hun tu daman-e-mowazina me pero lo
Aansu hun tu palkon se gira kyon nahi dete,

Saya hun tu saath na rakhne ki wajah kya hai
Pathar hun tu raste se hata kyon nahi dete...!!!


»»  read more

Saturday 19 April 2014

Mohabbat ka Rog Shayari SMS Ghazal Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha


Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha,

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar
Yeh Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha,

Ise Tum Dilki Dharti Ka Pata Mat Do
Yeh Is Me Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Me Khushi Ke Baad Gham Ki Rutt
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Hasil
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,

Azal Se Iski Fitrat Hai Zamane Ko
Jaga Kar Khud Yeh Soti Hai Kaha Bhi Tha,

Yeh Sar Se Paaon Tak Raakh Kar Degi
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...!!!


»»  read more

Monday 14 April 2014

Sad Judai Ghazal Shayari Kamal-e-Zabt Me Main Khud Ko Aazmaon Gi

Sad Judai Ghazal Shayari Kamal-e-zabt me main khud ko aazmaon gi By Poetrysync

Kamal-e-zabt me, main khud ko aazmaon gi
Main apnay hathon say us ki dulhan sajaon gi,

Sapurd kar ke usay chandni ke hathon me
Main apnay ghar ke andheron ko lot aaon gi,

Mery badan ke karb ko woh bhi samajh na paye ga
Main dil me ro'on gi, aankhon main muskuraon gi,

Woh kiya gaya RAFAQAT ke saray rang gaye
Main kis say rooth sakon gi, kisay manaon gi?

Gulabon ke sath hi bicha diya tha apna wajood
Woh so ke uthay to khawabon ki rakh uthaon gi,

Jawaz doondh raha tha woh nai Mohabbat ka
Woh keh raha tha ke main us ko bhol jaon gi,

Ab us ka funn to hua kisi or say mansoob
Main kis ki nazm akelay main gungunaon gi...!!!


»»  read more

Sunday 13 April 2014

Sad Judai Ghazal Shayari SMS Mohabbat Ki Kahani Me Koi Tarmeem Mat Krna

Sad Judai Ghazal Shayari SMS Mohabbat Ki Kahani Me Koi Tarmeem Mat Krna

Mohabbat ki kahani me koi tarmeem mat krna
Mujhe tum tor dena par Mujhe taqseem mat krna,

Main chaahat ki kahani ko sunane aaon gi ik din
Meri chaahat samajh lena Mujhe mayoos mat krna,

Agr tum ko Mohabbat se kabi inkaar krna ho
Mujhe chupke se keh dena Mujhe nelaam mat krna,

Main jo bichri agr tum se to ik din jaan de doon gi
Mohabat ka bharam rakhna Mujhe be'jaan mat krna...!!!


»»  read more

Thursday 27 March 2014

Hindi Shayari Romantic Ghazal: Tum Se Nata Hai Yun Wafaon Ka

Hindi Shayari Romantic Ghazal Tum Se Nata Hai Yun Wafaon Ka By Poetrysync

Tum Se Nata Hai Yun Wafaon Ka
Jaesy Khushbo Se Hai Hawaon Ka,
Jaesy Honton Se Hai Duaon Ka
Jaesy Rishta Hai Dhop Chhaon Ka,
Jaesy Jisam Se Rooh Or Jan Ka
Bandhan Hamesha Tum Nibhana,
Mujhe Tanha Chorr Mat Jana
Ab Tum Bin Mujhe Nhi Rehna,
Bas Ab Tum Mary Hi Rehna...!!!

»»  read more

Wada Hindi Shayari Ghazal: Khushiyon Ki Tarha Meri Har Saans Me Tum Piyar Apna Basanay Ka Wada Kro

Wada Hindi Shayari Ghazal Khushiyon Ki Tarha Meri Har Saans Me Tum Piyar Apna Basanay Ka Wada Kro By Poetrysync

Khushiyon Ki Tarha Meri Har Saans Me
Tum Piyar Apna Basanay Ka Waada Karo,
Rang Jitney Tumhari Mohabat Ky Hain
Unko Mery Dil Me Sajanay Ka Waada Karo,
Hai Tumhari Wafaon Py Mujhe Yaqen
Phir Bhi Dil Chahta Hai Mery Dil Nashen,
Yun Hi Meri Tasalli Ki Khatir Zara Mujh Ko
Tum Apna Bananay Ka Waada Karo,
Mohabat Ka Srif Lafzon Se Iqrar Nhi Hota
Sirf Eak Janib Se To Piyar Nhi Hota
Main Tumhain Yad Rakhnay Ki Khaon Qasam
Or Mujhe Tum Na Bhulanay Ka Wzada Karo...!!!

»»  read more

Saturday 22 March 2014

Love Sad Ghazal: KHUDA Ne Ankhain Kitni Ajeeb Banayi Hai

Love Sad Ghazal KHUDA Ne Ankhain Kitni Ajeeb Banayi Hai By Poetrysync

KHUDA Ne Ankhein Kitni Ajeeb Banayi Hai 
Jaab Yeh Uthti Hai To Dua Ban Jati Hai, 
Jaab Yeh Jhukti Hai To Hayaa Ban Jati Hai  
Uth Ke Jhukti Hai To Ada Ban Jati Hai,
Jhuk Ke Uthti Hai To Khata Ban Jati Hai 
Yeh Khuolti Hai To Duniya Unhe Rula Deti Hai,
Par Bandh Hoti Hai To Yeh Duniya Ko Rula Deti Hai...!!!


»»  read more