Showing posts with label Ishq SMS. Show all posts
Showing posts with label Ishq SMS. Show all posts

Saturday 15 November 2014

Love, Ishq, Muhabbat Shayari and SMS with Lovely Images


Chahat ky ye asiy afsany howey
Khud nazron mein apni begany howey
Kisi bhi rishty ka khayal nahi mujhy
Ishq mein tery is qadar deewany howey...!!!





Ishq jab tak na kar chuky ruswa
Aadmi kaam ka nahi hota...!!





Main wahan hon jahan jahan tum ho
Tum karo gy kahan kahan sy guraiz...!!!





Dil mein kuch nahi aaj dard ky siwa
Aankhon mein kuch nahi aaj teri yaad ky siwa
Tum chorna mat kabhi sath mera
Zindagi mein kuch nahi tery piyar ky siwa...!!!





Log ishq mein jaan deny ki baat
Karty hain par deta koi bhi nahi
Ham to hatheli par jan liye bethy hain
Kambakht koi maangta hi nahi...!!!





Tum mery dil mein aisy basy ho
Jaisy ky dil ki dharkan bany ho
Tum ko mery jaan khabar hi nahi hai
Mery liye tum kiya ban gaye ho...!!!





Tanhiyon mein muskurana ishq hai
Aik baat ko sab sy chupana ishq hai
Yon to neend nahi aati rat bhar
Magar jagty jagty sona aur 
soty soty jagna hi ishq hai...!!!





Tum khafa ho gaye to koi khushi na rahy gi
Tery bina charagon mein roshni na rahy gi
Kiya kahein kiya guzarti hai dil par
Zinda to raheingy par zindgi na rahy gi...!!!
»»  read more

Sunday 1 June 2014

Ishq Poetry Wallpapers Collection in Urdu


Luta kar har cheiz, manzil-e-ISHQ ki raah me,
Ham hans parry hain aaj khud ko barbad dekh kar...!!!




Woh jazbat ki hurmat sy hi nawaakif hain,
Kesy mumkin tha kah woh ISHQ ki izzat karty...!!!



ISHQ sofiyana mera ISHQ sofiyana.
Rooh tak teri beqarari tera ahsaas ha jigar me,
Har dua mein teri sada ha main karta hun tery sajdy...!!!




Jin ki tameer ISHQ karata hai
Kon rahta ha un makanon me,
Inhi tinkon mein dekh ay bulbul
Bijlian bhi hain aashyano mein...!!!




Junoon-e-ISHQ ki rasmein ajeeb kiya kahna,
Main us sy door woh mery qareeb kiya kahna...!!!




Tu nakam muhabbat ha to kar aik aur muhabbat Zaid,
Suna hai ISHQ dard bhi hai aur dawa bhi...!!!




Woh marz-e-ISHQ hi kiya abbas jis mein jaldi shifa mily,
Kon maangy ga khushyon ki dua jis ko dard mein khuda na mily...!!!



Kuch to ay ISHQ maharbani kar,
Tujhy barson sy paal rakha hai...!!!




Nahi hota kisi tabeeb sy is marz ka ilaaj,
ISHQ la ilaaj hai bas ahtiat kejiye...!!!



»»  read more

Pyar, Ishq, Mohabbat Poetry/Shayari Wallpapers in Urdu for Facebook posts


Ay ISHQ zara aik baat to bata,
Kiya sab ko aazmaty ho ya mery sath dushmani ha...!!!




Bas itna yaad ha ky mujhy ISHQ howa tha,
Phir kiya howa uski mujhy khabar nahi...!!!




Buhat they mery bhi, is dunya mein apne,
Phir ISHQ howa, aur, ham lawaris ho gaye...!!!




Har baar ilzaam ISHQ par hi acha nahi,
Wafa khud sy hoti nahi khafa muhabbat sy ho jaty hain log...!!!




Har tarha sy faida deta hai karobar-e-ISHQ,
Zaid dekhta kon is mein nafa aur khasara phir...!!!




Haram kiun nahi ye mashgala Zaid,
Yeh ISHQ bhi to madhosh rakhta ha...!!!




Ik sar zameen-e-ISHQ hai.
Ik sar zameen-e-ISHQ hai
Hangama aalam sy door afat ga hasti sy door
Is magar ki dunya sy door is zulm ki basti sy door
Is raat is din sy alag is oaj is
Sasti sy door
Door az zameen-o-aasman
Ik sar zameen-e-ISHQ hai
Is ky gulishtan par fiza is ki baharein dil
Nasheen
Is ki zameen khushnuma iski fizaein marmari
Isky nazary dil kasha iski hawaein
Anbaren
Misl bahisht gul fishan
Ik sar zameen-e-ISHQ hai....!!!




ISHQ ka azal sy yahi dastoor hai,
Jo isko jaan leta yeh uski jaan leta hai...!!!




ISHQ marta nahi kabhi Ziad,
ISHQ ka silsila to rahta hai...!!!




ISHQ sofi? na molana? na aalim hai,
Zaid, ISHQ zalim hai, zalim hai, zalim hai...!!!



»»  read more

Sunday 25 May 2014

Urdu Poetry/Shayari Pictures about Ishq/Mohabbat


Beemar-e-ISHQ jahan bhi dekho,
Ahtiatan fatiha parh lo...!!!



Haaye ye ISHQ ka zawal ky ab,
Hijar mein hijar ka malal nahi...!!!



Kamal ha peer ha ISHQ bhi,
Chorr deta ha mureed kar ky...!!!




Ilm-o-hikmat ka shoq ho aaein na idhar,
Kocha-e-ISHQ mein kuch bhi nahi hairat ky siwa...!!!




Agar ISHQ karna sawab hota yaqeen karo,
Na tum sy hota na ham sy hota...!!!




Yeh wajibat-e-ISHQ ham par hi qarz kiun,
Woh bhi ada kary muhabbat usey bhi thi...!!!



»»  read more

Urdu Ishq Shayari Images and SMS Collection


ISHQ hara ha to sar tham ky kiun bethy ho,
Tum to har baat py kahty they ky koi baat nahi...!!!




Lihaz-e-ISHQ na hota to tujh sy ranjishen hotein,
Shikayat sirf itni ha ky tu samjha nahi mujhko...!!!




Ly kar zanjeer hathon mein kuch log tumhari taak mein hain,
Ay ISHQ hamari galyon mein na aur phiro to acha ha...!!!




Mera seedha saadha mizaj tha mujhy ISHQ hony ki kiya khabar,
Teri ik tabassum naz ny mera sara zoq badal diya...!!!




Tu KHUDA ha na mera ISHQ farishton jaisa
Dono insan hain to kiun itny hijabon mein milein...!!!



ISHQ jis ko talaq dy dy,
Umer us ki tamam iddat...!!!




ISHQ tujh sa bura nahi koi,
Har bhaly ka bura kiya tuny...!!!




Jis din kitab-e-ISHQ ki takmeel ho gai,
Rakh dein gy zindagi tera basta utar kar...!!!




Jis umer mein aqal aati ha amoman,
Ham us umer mein ISHQ kar bethy...!!!




Tajruba aik hi ibrat keliye kafi tha,
Mainy dekha hi nahi ISHQ dobara kar ky...!!!



»»  read more

Thursday 15 May 2014

Mirza Ghalib Ishq Poetry-Shayari in Urdu-Hindi Images for Facebook Vol-01

There are some shayari images of great shayar Mirza Ghalib in Urdu Images and Hindi Language. Here is Mirza Ghalib Ishq Me Muqadar ka Harna Urdu Shayari Image, Ghalib Ishq Or Sakoon Urdu Shayari Wallpapers, Ghalib, Ishq Me Rona Urdu Shayari Photo, Mirza Ghalib Ishq La'Ilaaj Hai Urdu Shayari Image, Ghalib Ishq Me Toot Kar Bikhar Jana Urdu Shayari Picture.

Ghalib urdu shayari nahi hota kisi tabib sy is marz ka ilaj ishq la ilaj ha bas ahtiat kijiye

Nahi hota kisi tabib sy is marz ka ilaj,
Ishq la ilaj ha bas ahtiat kijiye...!!!



Ghalib urdu shayari bewaja nahi rota ishq mein GHALIB jisy khud sy barh ky chaho wo rulata zaroor ha...!!!

Bewaja nahi rota ishq mein GHALIB,
Jisy khud sy barh ky chaho woh rulata zaroor ha...!!!



Ghalib urdu shayari sukoon aur ishq wo bhi dono aik sath rahny do GHALIB koi aqal ki bat karo

Sukoon aur ishq wo bhi dono aik sath,
Rahny do GHALIB koi aqal ki bat karo...!!!



Ghalib urdu shayari misl shesha hain hamein thaam ky rakhna GHALIB ham tery hath sy choty to bikhar jaein gy

Misl shesha hain hamein thaam ky rakhna GHALIB,
Ham tery hath sy choty to bikhar jaein gy...!!!



Ghalib urdu shayari bas khatam kar baazi e ishq GHALIB muqadar ky hary kabhi jeeta nahi karty

Bas khatam kar baazi-e-ishq GHALIB,
Muqadar ky hary kabhi jeeta nahi karty...!!!



»»  read more

Wednesday 23 April 2014

Ishq Shayari SMS Sabne Kaha Ishq Dard Hai


Sabne kaha ishq dard hai
Humne kaha yeh dard Kabool hai,
Sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
Humne kaha is dard ke saath marna bhi Kabul hai...!!!


»»  read more

Wednesday 26 March 2014

Ishaq Urdu Shayari: Yeh Bhi Eak Tamasha Hai Ishq-o-Mohabt Me

Ishaq Urdu Shayari Yeh Bhi Eak Tamasha Hai Ishq-o-Mohabt Me By Poetrysync

Yeh Bhi Eak Tamasha Hai Ishq-o-Mohbat Me,
Dil Kisi Ka Hota Hai Aur Bas Kisi Ka Chalta Hai...!!!

»»  read more