Showing posts with label Urdu Love Shayari. Show all posts
Showing posts with label Urdu Love Shayari. Show all posts

Friday 21 November 2014

Piyar, Muhabbat Shayari With Piyar Muhabbat Shayari Images


Jo dil ky aainy mein ho wahi hai piyar ky qabil
Warna deewar ky qabil to har tasveer hoti hai...!!!





Khobsurat sa aik pal qissa ban jata hai
Jany kab kon zindagi ka hissa ban jata hai
Kuch log zindagi mein milty hain aisy
Jisny kabhi na tootny wala rishta ban jata hai...!!!





Ham ny har saans muhabbat py fida ki hai
Har dua main teri chahat ki iltija ki hai
Tum kiya karo gy muhabbat ki intiha
Ham ny to ibtida hi intiha sy ki hai...!!!





Aagaz e ishq to khob tha yaro kiya kahon
Pahly to thi dil lagi ab dil py ja lagi...!!!





Gulab jaisa badan phool sa nikhar us par
Umand ky aayi hai ab ky baras bahar us par
Wo kal ki raat bhari dair mery pas raha
Aajab tarha sy uterta raha khumar us par...!!!





Meri zindagi to firaaq hai
Wo azal sy dil mein makeen sahi
Wo nigaah e shoq sy door hain
Rag e jaan sy laakh qareen sahi...!!!





Zehar sy bhi ziyada khatarnaak hai ye muhabbat
Agar koi isy chakhly zindagi bhar mar mar ky jeeta hai...!!!





Umer ki raah mein rasty badal jaty hain
Waqt ki aandhi mein insan badal jaty hain
Sochty hain tumhain inta yaad na karein lekin
Aankh band karty hi irady badal jaty hain...!!!

»»  read more

Saturday 15 November 2014

Love, Ishq, Muhabbat Shayari and SMS with Lovely Images


Chahat ky ye asiy afsany howey
Khud nazron mein apni begany howey
Kisi bhi rishty ka khayal nahi mujhy
Ishq mein tery is qadar deewany howey...!!!





Ishq jab tak na kar chuky ruswa
Aadmi kaam ka nahi hota...!!





Main wahan hon jahan jahan tum ho
Tum karo gy kahan kahan sy guraiz...!!!





Dil mein kuch nahi aaj dard ky siwa
Aankhon mein kuch nahi aaj teri yaad ky siwa
Tum chorna mat kabhi sath mera
Zindagi mein kuch nahi tery piyar ky siwa...!!!





Log ishq mein jaan deny ki baat
Karty hain par deta koi bhi nahi
Ham to hatheli par jan liye bethy hain
Kambakht koi maangta hi nahi...!!!





Tum mery dil mein aisy basy ho
Jaisy ky dil ki dharkan bany ho
Tum ko mery jaan khabar hi nahi hai
Mery liye tum kiya ban gaye ho...!!!





Tanhiyon mein muskurana ishq hai
Aik baat ko sab sy chupana ishq hai
Yon to neend nahi aati rat bhar
Magar jagty jagty sona aur 
soty soty jagna hi ishq hai...!!!





Tum khafa ho gaye to koi khushi na rahy gi
Tery bina charagon mein roshni na rahy gi
Kiya kahein kiya guzarti hai dil par
Zinda to raheingy par zindgi na rahy gi...!!!
»»  read more

Friday 6 June 2014

Urdu Pictures of Shayari about Life/Zindage


Apni marzi sy do char qadam chalny dy,
ZINDAGI ham tery kahny py chaly hain barson...!!!




Baat sirf itni ha ZINDAGI ki rahon mein,
Saath chalny waly ko hamsafar nahi kahty...!!!



Ab meri koi ZINDAGI hi nahi,
Ab bhi tum meri ZINDAGI ho kiya...!!!




Buhat roya wo ham ko yaad kar ky,
Hamari ZINDAGI barbad kar ky...!!!




Chalo yeh ZINDAGI ab ham tumhary naam karty hain,
Suna ha bewafa ki bewafa sy khoob banti hai...!!!




Mot ky mukhalif to buaht hain is muhabbat bhary jahan mein magar,
ZINDAGI sy naraz bhi ik shakhs rahta ha yahan...!!!




Mot to naam sy badnam hoi ha warna,
Takleef to ZINDAGI bhi diya karti hai...!!!




Yeh uthi to subha dawaam hai, yeh jhuki to sham hi sham hai,
Teri chashm-e-mast mei saqiaa meri ZINDAGI ka nizam hai...!!!




Yeh warq warq teri dastaan,
Yeh sabaq sabaq tery tazkiry
Main karon to kesy karon alag,
Tujhy ZINDAGI ki kitab sy...!!!




ZINDAGI bhar udaas rahna hai
Sochta hun to muskurata hun...!!!




ZINDAGI guzar rahi ha imtihano ky dor sy,
Ek zakham bharta nahi dosra tayar milta hai...!!!




ZINDAGI ki thakan mein gum ho gaya,
Woh lafaz jisy sakoon kahty hain...!!!




ZINDAGI ko to bahar hal guzar hi jana tha,
Muft ahsaan zamany ky uthaye ham ny...!!!




ZINDAGI ky raaston mein
ZINDAGI ky raaston mein itni gard udhti hai
Faalein sy dekhein to kuch nazar nahi aata
Manzilon ky chahry bhi, Rah ki nishanian bhi
Sab hi doob jaty hain
Gard ky samander mein
Dard ky samander mein
Raasta nahi milta
Faasla nahi ghat'ta...!!!




ZINDAGI mein insan ko aik aadat zaroor seekh leni chahiey jo cheiz hath sy nikal jaye usey bhool jany ki aadat ye aadat buhat si takleefon sy bacha leti hai...!!!




ZINDAGI shayad phir sy raasty mein mila dy,
Magar aik baat yaad rakhna tum mujhy kho chuky ho...!!!




ZINDAGI sy bari saza ha nahi Zaid,
Aur jurm kiya ha pata hi nahi...!!!


»»  read more

Saturday 31 May 2014

Dua Shayari SMS Collection in Urdu Images for Facebook Posts


Muhabbat ky is pahly sunahry safar me
Meri yeh DUA ha keh
Tumhain khushyon ky hazaron jazeery milein
Aur mujhy tumhari muhabbat...!!!




Woh jo meri har DUA mein shamil tha
Bin maangy kisi ko mil gaya...!!!




Mery harf gongy hain
Mery lafz bemani
Mera lahja betaseer
Meri baat betartib
Rabb-e-lam yazil tujh sy
Meri iltija yeh hai
Mery gongy harfon ko
Bewaqqar lafzon ko
Beasar sy lahjy ko
Besamar si baaton ko
Bakhsh sy pazeraiyan
Mujh py ik nazar karde
Mujh ko ba hunar kardy
Itna mo tabar kar dy...!!!




Najany kesi ham sy khataein ho gai hain
Be asar saari DUAEIN ho gai hain,
Buhat Rahman-o-Raheem ha Malik mera
Hamary labon sy iltijaien kho gai hain...!!!




Qabool ho na ho, DUA to kar jaoun
Tujhy samait na paoun to bikhar jaoun
Buhat sy log mery wahan muntazir hon gy
Main teri qaid sy niklon to any ghar jaoun
Kisi ki yaad mein ji bhar ky ji raha hon main
KHUDA kary, is aasodgi mein mar jaoun
Kisi ka naqsh-e-qadam sath sath ha mery
Main dasht-o-koh daman mein jidhar jidhar jaoun
Main kainos py ubharon ga naqsh no Shahid
Bas ik lamha takhliq sy guzar jaoun...!!!




Tumhari saalgirah ky din yeh DUA ha hamari,
Jitny hain chand taary utni ho umer tumhari...!!!




Woh bara raheem o kareem ha woh mujhy ye sift bhi ataa kary,
Tujhy bholny ki DUA karon to meri DUA mein asar na ho...!!!




Woh sooye ittifaq aa mily ham sy
Ham nadan samjhy hamari DUAOUN mein asar hai...!!!




Sun li KHUDA ny woh DUA tum to nahi ho
Darwazy py dastak ki sada tum to nahi ho
Simti hoi sharmai hoi raat ki raani
Soyi howi galyon ki haya tum to nahi ho
Mahsoos kiya tum ko geeli hoi palkein
Bheegy howy mousam ki adaa tum to nahi ho
Un ajnabi raahon mein nahi koi bhi mera
Kis ny yoon mujhy apna kaha tum to nahi ho...!!!




Na ho qabool khuda kary!
DUA jis mein tujhy maanga na ho...!!!



»»  read more

Dua Poetry for Lovers in Urdu Images


Bas itna yaad hi.

DUA to jany konsi thi
Sehan mein nahi
Bas itna yaad hai
Keh wo hatheliya mili howi thi
Jin mein aik meri thi
Ziad aur aik tumhari...!!!




Bolny waalo meri rooh ky darwazy par
Apni bhatakti howi chup chap sadaein maango,
Kho gaya hon main zeest ky andheron mein
Umer bhar ab mery milny ki DUAEIN maango...!!!




Mery haq mein DUA karna
Bicharty waqt usny aik hi fikra kaha tha
Usey kiya ilmm
Mery harf sy taseer kab ki uth chuki hai
DUA ka phool
Mery lab py khilty hi
Achanak toot jata hai
Main kis khushboo ko us ky hath par bandhon
Mujhy khushboo sy dar lagta ha....!!!




Honton sy DUA keliye jumbish nahi hoti
Ab is sy ziyada teri khahish nahi hoti hai,
Piyar ka sahra, yahan baadal nahi aaty, Zaid
Baadal bhi aajein to baarish nahi hoti...!!!




Kisi ky sath na ho aisa hasda yaa RAB
Keh kisi ky piyar ko kisi sy piyar ho jaaye...!!!




Kismat pahly hi likhi ja chuki hai
To DUA karny sy kiya mily ga
Answer kiya pata kismat mein yahi likha ho ky
DUA sy hi sab kuch mily ga...!!!




Maangi ha DAU is iltija ky sath
Kut jaye meri umer us bewafa ky sath...!!!




Mera dil ye kahta hai.
Mera dil ye kahta hai
Ek nazm likhon tum par
Ek aisi nazm jo
Umeed ki kiran ban kar
Zindagi ki raahon me
Sath dy har ik pal me
Aik aisi nazam jo
Raat ki musafat me
Deep ban kar dikhlaye
Raasta sada tum ko
Aik aisi nazm jo
Gardish-e-zamana me
Tum par saiyban kar dy




Dil ki DUAEIN
Sabhi ki sabhi
Rang ly aai hain
Jab sy mainy
Usky chahry par
Apny hi 
Ansoun ko
Hansty dekha ha...!!!




Lagy howy ho mujhy bhoolny ki koshish me
Meri DUA ha KHUDA tumhain kaamyab kary...!!!



»»  read more