Showing posts with label Urdu Sayings Images. Show all posts
Showing posts with label Urdu Sayings Images. Show all posts

Saturday 31 May 2014

Best Dil/Heart Shayari in Urdu, Images Collection for Facebook Posts


Aur kiya dekhny ko baqi hai,
Aap sy DIL laga ky sab dekh liya...!!!




Kahny do in logo ko ye log to bary anjany hain,
Is DIL ka haal to is DIL me basny waly bhi na jany hain...!!!




Abb woh umangein hain na woh DIL,
Kon ab tujh ko yaad kary...!!!




Ehl-e-DIL bhi ajeeb hoty hain.

Aap apny raqeeb hoty hain
Whl-e-DIL bhi ajeeb hoty hain
Raahaton sy guraiz gham sy farar
Zaid baaz lamhay ajeeb hoty hain...!!!!




Dard ka kahna cheekh utho DIL ka takaza wuzaa nibhao,
Sab kuch sahna chup chap rahna kam ha izzat daro ka...!!!




Dard phir DIL mein utha hai.

Dard phir DIL mein utha hai sanbhalo mujh ko
Ik naya zakham mila ha lo sanbhalo mujh ko
Meri aankhon sy zaid jo uth ta ha dhuwan
Phir koi khuwab jala ha lo sanbhalo mujh ko...!!!




DIL mein aany ka raasta to ha jany ka nahi
Isliye jab koi jata ha to DIL torr ky jata ha...!!!




DIL wajood ky andar sar patakh patakh ky rota hai,
Koi beech raah mein chor jaye to buhat dard hota ha...!!!




Jis nagar bhi jao qissy hain kambakht DIL ky,
Koi ly ky ro raha ha koi dy ky ro raha ha...!!!



»»  read more

Tuesday 27 May 2014

Heartless Sad Shayari Wallpapers Collection in Urdu for Lovers


Jab bhi utha ky hath mujhy wo mangti thi woh,
Kahti thein zor zor sy aamin choriyan...!!!




Jahan sy tera ji chahy meri kutb-e-zindagi parh ly,
Safha chahy koi bhi khuly naam tera hi likha hoga...!!!




Ishara to madad ka kar raha tha doobny wala,
Magar yaaran-e-sahil ny salam-e-alwida samjha...!!!




Jo khahishein thein kabhi hasraton mein dhal gai ab
Mery labon py wo ik lafz kash chor gaya,
Sard mousam sy mujhy isliye to nafrat thi
Unhi raaton mein mujhy wo udaas chorr gaya...!!!




Laholohan han paoun mery aur raasty pathrely hain,
Ghisty ghisty ghis hi jaien gy ye pather jo nokeely hain...!!!




Log aisy bhi badal jaty hain,
Mousam ki misal dy kar kaha us ny...!!!




Meri aankhon dekh kar aik sahib-e-ilm ny bola,
Teri sanjidgi batati ha tujhy hansny ka shoq tha...!!!




Mujhy zindagi ki dua na dy
Meri zindagi sy bani nahi,
Koi zindagi py kary yaqeen
Mujhy zindagi py yaqeen nahi...!!!




Mukhlish rishty bhi bary naseeb sy milty hain,
Tum yeh baat tasleem karo gy par mery baad...!!!




Ik adhori nazm ky misry py aanso dekh kar!
Kal raat meri kitab mein ik titli mar gai...!!!


»»  read more

Thursday 8 May 2014

Inspirational Islamic Quotes and Hadees in Urdu with Images

There are best Islamic healths and inspirational quotes and sayings with photos and wallpapers in Urdu language specially for Facebook Timeline Post Status. these are totally free and easy to download and share on social media timelines. 

Jo shakhs bhi ye post parhy wo salam ka jawab zaroor dy

Assalam-o-alaikum: "Jo shakhs bhi ye post parhy wo salam ka jawab zaroor dy...!!!"



Assalam-o-Alaikum Warahma-tullahi-wa-barakatoho

"Assalam-o-Alaikum Warahma-tullahi-wa-barakatoho...!!!"



Toba ka khayal khush bakhti ki alamat ha Kiun ky jo apny gunaho ko gunah na samjhy wo badkismat ha

Toba Ka Khayal"Toba ka khayal khush bakhti ki alamat ha Kiun ky jo apny gunaho ko gunah na samjhy wo badkismat ha...!!!"



Muaaf kar deny sy insan ki apni rooh paak hoti ha

"Muaaf kar deny sy insan ki apni rooh paak hoti ha...!!!"



Orat ki khobi do baato mein hoti ha, Usey koi na mahram na dekhy aur wo kisi na mahram ko na dekhy

"Orat ki khobi do baato mein hoti ha, Usey koi na mahram na dekhy aur wo kisi na mahram ko na dekhy...!!!"
(Hazrat Fatima)



Zuban ka wazan buhat hi halka hota ha magar buhat kam log he sanbhal paaty hain.

Farman-e-Ali (R.A) "Zuban ka wazan buhat hi halka hota ha magar buhat kam log he sanbhal paaty hain...!!!"



Apny rab ky karam ko dekh. jo farishty sham ko tery gunah usky pass lekar jaty hain wo subha un hi ky hath tera rizq bhejta ha

Ay dekhny waly!!!: "Apny rab ky karam ko dekh. jo farishty sham ko tery gunah usky pass lekar jaty hain wo subha un hi ky hath tera rizq bhejta ha...!!!"



Logon ki takleef mein shareek na hona aur unsy imdad ki umeed rakhna

Aik Ghalti Ki Nishandahi: "Logon ki takleef mein shareek na hona aur unsy imdad ki umeed rakhna...!!!"



Badla leny sy pahly ye zaroor khayal kar liya karo ky tum apny khuda ky nazdeek kitny qusoor wara ho

"Badla leny sy pahly ye zaroor khayal kar liya karo ky tum apny khuda ky nazdeek kitny qusoor wara ho...!!!"




"Beshak JANNAT maan ky qadmo taly ha LEKIN Jannat ka darwaza tab hi khuly ga jab BAAP raazi hoga...!!!"



Chun ly mujhy bhi tery sajda karny waly bando mein ya rab Kab tak bhagta rahon ga tujhsy door teri hi dunya mein

Sajda: "Chun ly mujhy bhi tery sajda karny waly bando mein ya rab Kab tak bhagta rahon ga tujhsy door teri hi dunya mein...!!!"



Darwaish ko talab thi mataaye khuloos ki Makhlooq chup rahi ky ye mushkil sawal tha

"Darwaish ko talab thi mataaye khuloos ki Makhlooq chup rahi ky ye mushkil sawal tha...!!!"



Ae mery rab! tu jo bhalai bhi meri taraf nazil kary bilashuba main uska muhtaj ho

Faragiye Rizq Ki Dua: "Ae mery rab! tu jo bhalai bhi meri taraf nazil kary bilashuba main uska muhtaj ho...!!!"
(Sorah: Qasas 24/28)



Ghairo sy manga to zillat mili, ALLAH taala sy manga to izzat mili

"Ghairo sy manga to zillat mili, ALLAH taala sy manga to izzat mili...!!!"


Ghalti man'ny aur gunah chorny mein kabhi dair na karo, Kiun ky safar jitna taveel hota jaye ga wapsi utni hi dushwar hogi

"Ghalti man'ny aur gunah chorny mein kabhi dair na karo, Kiun ky safar jitna taveel hota jaye ga wapsi utni hi dushwar hogi...!!!"



Insan MOUT say darta ha KIUNKE is sy bach nahi sakta aur DOZAKH sy nahi darta jab ky wo is sy bach sakta ha

"Insan MOUT say darta ha KIUNKE is sy bach nahi sakta aur DOZAKH sy nahi darta jab ky wo is sy bach sakta ha...!!!"



Jumma Ki Har Ghari Me Das Lakh Ki Magfirat

Jumma Ki Har Ghari Me Das Lakh Ki Magfirat: "Allah taala maahy ramzan mein rozana aftar ky waqt das lakh aisy gunahgar ko jahanum sy azad farmata ha jin par gunaho ki waja sy jahanum wajib ho chuka tha, neez shab-e-juma aur roz-e-juma ki har har ghari mein aisy das das lakh gunahgaro ko jahanum sy azad kiya jata ha jo azab ky haqdar qarar diye ja chuky hoty hain...!!!"



Kanjoos shakhs kitna badnaseeb ha ky dunya mein fakeero jaisi zindagi guzarta ha aur qayamat ko ameero jaisa hisab dy ga

"Kanjoos shakhs kitna badnaseeb ha ky dunya mein fakeero jaisi zindagi guzarta ha aur qayamat ko ameero jaisa hisab dy ga...!!!"



Khush ikhlaq logo sy khush ikhlaqi sy paish aana kamal nahi magar Bad ikhlaq logo sy khush ikhlaqi sy paish aana kamal ha

"Khush ikhlaq logo sy khush ikhlaqi sy paish aana kamal nahi magar Bad ikhlaq logo sy khush ikhlaqi sy paish aana kamal ha...!!!
Hazrat Ali (R.A)



Main janat ky shoq mein ibadat nahi karta yeh tijarat ha aur na hi

"Main janat ky shoq mein ibadat nahi karta yeh tijarat ha aur na hi jahanum ky khof sy karta hun ky yeh gulami ha. Main sirf aur sirf isliye ibadat karta hun ky mera rab ibadat ky laaiq ha...!!!
Hazrat Ali (R.A)



Monin bandy ki nishani yeh hai keh jab uss ki mout ka waqat qareeb aajata hai to uss ke chehry par muskurahat bhi aajati hai

"Monin bandy ki nishani yeh hai keh jab uss ki mout ka waqat qareeb aajata hai to uss ke chehry par muskurahat bhi aajati hai...!!!"



Naseeb sy ziyada qeemti Duaa hoti hai Kiunke jab Zindgi me sab kuch badal jaey tab insaan ke pas duaa hi bachti hai jo naseeb badal deti hai

"Naseeb sy ziyada qeemti Duaa hoti hai Kiunke jab Zindgi me sab kuch badal jaey tab insaan ke pas duaa hi bachti hai jo naseeb badal deti hai...!!!"



Nabi-e-kareem (S.A.W) Ki Sunnat

Nabi-e-Kareem (S.A.W) Ki Sunnat:
  • Logon sy milty waqt muskurana.
  • Andhy ko raasta dikhana.
  • Raasty sy pathar hatana.
  • Jab mareez ki ayadat ko jana to usey apny liye dua karny ko kahna kiun k mareez ki dua farishto ki dua ki tarha hoti ha.
  • Sarsabz o shadab rahy wo shakhs jo meri hadees suny aur usey dosron tak pohanchaye...!!!"


»»  read more

Urdu Islamic Life Quotes and Sayings with Images Vol-01

Here is Islamic and inspirational quotes and sayings images wallpapers in urdu.


Mian biwi mein larrai ghar ki tabahi, Mian biwi mein muhabbat ghar py Allah ki rahmat

"Mian biwi mein larrai ghar ki tabahi, Mian biwi mein muhabbat ghar py Allah ki rahmat...!!!"



Jab tumhary dil mein kisi keliye nafrat paida hony lagy to uski achaiyon ko yad karo

"Jab tumhary dil mein kisi keliye nafrat paida hony lagy to uski achaiyon ko yad karo...!!!"




Zindagi aisy jeo ky koi hansy to tumhari waja sy hansy tum par nahi Aur koi roye to tumhary liye roye tumhari waja sy nahi.

"Zindagi aisy jeo ky koi hansy to tumhari waja sy hansy tum par nahi Aur koi roye to tumhary liye roye tumhari waja sy nahi...!!!"



Apny qarabat daro ki kamzorian uchalny waly dosron ki izzaton

"Apny qarabat daro ki kamzorian uchalny waly dosron ki izzaton par batein banany waly khud ko khandani aur dosron ko kamtar samajhny waly kabhi bhi "IZZAT DAAR" nahi hoty...!!!"



Banda dheet na ho to sab sy ziyada khof usey apni beizati ka hota ha

"Banda dheet na ho to sab sy ziyada khof usey apni beizati ka hota ha...!!!"



Dunya daro par apny dukh zahir na karo kiun ky ye wahan chot zaroor lagaty hain jahan pahly sy zakham hota ha

"Dunya daron par apny dukh zahir na karo kiun ky ye wahan chot zaroor lagaty hain jahan pahly sy zakham hota ha...!!!"



Chota zahan wo ha jo thora bara sochny ky kabil hoty hi, dosron ko chota samajhny lagta ha.

"Chota zahan wo ha jo thora bara sochny ky kabil hoty hi, dosron ko chota samajhny lagta ha...!!!"



Agar gham sy bhi aag ki tarha dhuwan nikalta to jahan hamesha tareek rahta

"Gham: Agar gham sy bhi aag ki tarha dhuwan nikalta to jahan hamesha tareek rahta...!!!"



Insan bary shoq sy, Insaniat agly chok sy.

"Insan bary shoq sy, Insaniat agly chok sy...!!!"



Kismat pahayye ky chakar ki manind ghomti ha jo kabhi uper jata

"Kismat pahayye ky chakar ki manind ghomti ha jo kabhi uper jata aur kabhi neechy aata ha tum bhi jab uper jao to nechy walon ka hath tham lo kiun ky agly chakar mein tumhain unki zarorat parr jaye gi...!!!"



Logon ko utni ahmiat do jitni wo tumhain dety hain kam do gy to magror kahlaogy ziyada do gy to gir jao gy

"Logon ko utni ahmiat do jitni wo tumhain dety hain kam do gy to magror kahlaogy ziyada do gy to gir jao gy...!!!"



Rishton ka na hona itna takleef da nahi jitna ky rishton ky hoty howy ahsas ka mar jana

"Rishton ka na hona itna takleef da nahi jitna ky rishton ky hoty howy ahsas ka mar jana...!!!"



Rishty tab hi qaim rahty hain jab dil mein hon

"Rishty tab hi qaim rahty hain jab dil mein hon...!!!"



Thoda sa jhuk jana kisi rishty ko hamesha keliye torr deny sy bahtar ha

"Thoda sa jhuk jana kisi rishty ko hamesha keliye torr deny sy bahtar ha...!!!"



Khuwab wo nahi hoty jo aap soty mein dekhty han balkah wo hain jo aap ko sony nahi dety

"Khuwab wo nahi hoty jo aap soty mein dekhty han balkah wo hain jo aap ko sony nahi dety...!!!"



Woh rishty kabhi nahi tot-ty jinki bunyad mein sachai, khuloos aur piyar shamil ho

"Woh rishty kabhi nahi tot-ty jinki bunyad mein sachai, khuloos aur piyar shamil ho...!!!"



        Zamana bury logo ki burai ki waja sy kharab nahi hota Balkah achy logo ki khamoshi ki waja sy kharab hota ha

"Zamana bury logo ki burai ki waja sy kharab nahi hota Balkah achy logo ki khamoshi ki waja sy kharab hota ha...!!!"


»»  read more