Showing posts with label Islamic Quotes. Show all posts
Showing posts with label Islamic Quotes. Show all posts

Sunday 22 June 2014

Islamic Wallpapers for Facebook Hadees or Quran


Hazrat Abdullah Bin Umer r.a sy marvi ha keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah Taala raham karny walon par raham karta hai tum zameen walon par raham karo aasman wala tum par raham kary ga raham rahman sy mashtak ha jo shakhs rishta jory ga Allah taala usey (apni rahmat ky sath) jory ga aur jo rishta tory ga Allah tala usey (apni rahmat sy) torr dy ga...!!!"




Mahboob sy Mahroomi par Sabar Karny waly Insan ki Fazelat:
Hadees-e-qudsi hai Allah tala farmaty hain:
"Mera woh momin banda ky jab main ahal-e-dunya mein sy uska koi mahboob tareen saathi apny pas bula lon, phir who usy Allah ka hukam samajh kar hansi khushi qabool kar ly to mery pas uska badla jannat ky siwa kuch nahi hai...!!!



Rafa Hajat ky Masail:
Abdullah bin umer farmaty hain keh Rasool Allah s.a.w peshab kar rahy they ky aik aadmi ny Aap s.a.w ko salam kiya magar Aap s.a.w ny uska koi jawab na diya is hadees sy maloom howaa ky rafa hajat ki halat mein kalam karna mukroh hai...!!!
Nabi Rahmat s.a.w ny gusal khany mein peshab karny sy mana farmaya...!!!



Bhlai Ke Kam Me Sifarish Karny Ki Fazeelat:
Allah tala ka farman hai: "Jo bhalai ki safarish kary ga wo us mein sy hissa paaye ga...!!!"
Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Sifarish karo tumhain ajar ata kiya jaye ga...!!!"



Quran ki Tilawat:
Allah tala ny farmaya: "Aur jab quran parha jaya kary to uski taraf kan laga diya karo aur khamosh raha karo umeed ha ky tum par rahmat ho...!!!"
Aur Quran ko thahar thahar kar parha kar...!!!


»»  read more

Wednesday 18 June 2014

Aayat and Hadith Meaning in Urdu with Images



Aap s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky roz bandy sy jis cheiz ka sab sy pahly hisab liya jaye ga wo farz nimaz ha pas agar us ny nimazien pori parhi hongi, to woh pori likhi jaien gi, lekin agar pori na parhi hongi, to Allah Tala apny farishton sy farmaye ga: Dekho! kiya (nama aamal mein) mery bandy ky koi nafal bhi hain? (agar hain) to us sy un ky farzo ki kami pori kar do, phir usi tarha us ki zakat ko dekha jae ga phir us ky bad usi tarha dosry farz aamal ka hisab hoga...!!!



Abu Zar r.a riwayat karty hai keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Tera kiya hal hoga? Jis waqat tujh par aisy imam hakim hon gy jo nimaz mein dair karein gy ya us ky waqat sy qaza karein gy...!!!"
Mainy kaha Aap mujhy is hal mein kiya hukam farmaty Aap s.w.a ny farmaya: "Nimaz ko us ky waqat par parh phir agar tu is nimaz ki jamat ko un ky sath paa ly to un ky saath dobara nimaz parh ly tahqeeq yeh nimaz tery liye nafal hogi...!!!"


Rasool Kareem s.a.w ny Eid-ul-Azha ky moqa par nimaz Eid ky baad qurbani karny ko apni sunnat qarar diya ha imam bukhari aur imam muslim ny Hazrat Baraa r.a sy riwayat naqal ki ha ky unho ny bayan kiya ha keh Rasool Allah s.a.w ny Irshad Farmaya:
"Be-shak us din ham pahla kaam yeh karty hain ky Nimaz-e-Eid ada karty hain phir aaty hian aur qurbani karty hain jis shakhs ny aisa kiya us ny hamari sunnat ko pa liya...!!!"




Sayyedna Ans Bin Malik sy marwi hai: "Woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya jo shakhs teen martaba jannat ka sawal kary to jannt kahti hai, ay Allah! isy jannat mien dakhil kar dy...!!!"




Abdullah Bin Masood r.a farmaty hain: Main ny Rasool Allah s.a.w sy sawal kiya keh Allah Tala ko konsa amal ziyada mahboob hai?
Aap s.a.w ny farmaya: "Waqat par nimaz parhna"
Mainy kaha phir konsa?
Aap s.a.w ny farmaya: "Maan Baap ky sath naik salook karna"
Mainy kaha phir konsa?
Ap s.a.w ny farmaya: "Allah ke rasty mein jihad karna...!!!"



Jabir r.a riwayat karty hain keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs azaan ka jawab dy aur phir azaan khatam hony par ye dua parhy usky liye qayamt ky din meri shafaat wajib ho jati hai...!!!"
"Is pori pukar (Azan) ky aur (Qiyamat Tak) qaim rahny wali nimaz ky Rab Muhammad s.a.w ko waseela aur bazurgi ata farma aun unhain us Maqam-e-Mahmood par pohancha jis ka tuny unsy wada kiya hai...!!!"



Sayyadna Abu Huraira r.a sy riwayat hai Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Ramzan ky baad sab sy fazeelat wala roza Allah ky maheeny muharram ka hai aur farz ky baad sab sy ziyada fazeelat wali nimaz raat ki nimaz hai...!!!"

 

Allah ka farman:
"Momin mardon sy kah dejiye ky apni nigahein neehci rakhein aur apni sharam gaho ki hifazat karein ye un keliye ziyada pakeza ha beshak Allah us sy pori tarha khabardar ha jo wo karty hain...!!!"



"Ay Iman walo Allah sy daro aur har shakhs ye dekhy ky us ny kal qayamt ky liye kiya aagy bheja ha aur Allah sy darty raho jo kuch bhi tum karty ho Allah us sy ba khabar ha...!!!"



"Abi bin kaab r.a sy riwayat hai keh Rasool Allah s.a.w witron sy salam phair kar teen baar ye parhty "Pak ha Badshah Nihayat pak...!!!"

 
»»  read more

Thursday 12 June 2014

Islamic Hadees about Jannat Sab Sy Kam Darjy Ka Jannti in Urdu Tajma


Sab Sy Kam Darjy Ka Jannti:
Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya: "Sab sy kam darjy ka jannti woh hoga ky ALLAH taala uska chahra jahanum sy phair kar jannat ki taraf kar dega aur usko aik saaya dar darakht dikhaye ga usey dekh kar woh aadmi kahy ga: Ay mery RAB mujhy is darakht ky qareeb kar dy taaky main is ky saaye taly ho joun...!!!"
Isky baad mukamal hadees ha jis mein us shakhs ky jannat mein dakhil hony aur uski aarzoun ka tazkira ha aakhir mein yeh alfaz hain:
Jab uski tamam aarzoein khatam ho jein gi to ALLAH taala farmaein gy:
"Tujhy yeh sab kuch aur iska das gunah mazeed diya jata hai."
Aap s.a.w ny farmaya:
Phir woh jab apny ghar jannat mein dakhil ho jaye ga to do moti moti aankhon wali horein bewiyan ban kar usky pas aaien gi aur kahein gi ALLAH ka shukar ha jis ny tujhy hamary liye paida kiya aur hamein tumhary liye paida kiya woh shakhs yeh sab kuch dekh kar kahy ga ALLAH ny kisi ko itna ziyada nahi diya jitna mujh ko diya hai...!!!"


»»  read more

Wednesday 11 June 2014

Rizq Mein Izafa Ki Hadees-e-Mubarka in Urdu


Rizq Mein Izafa:
Imam ahmad imam abu dawood imam nasai imam ibn-e-maja imam hakim hazrat abdullah bin abbas R.A sy riwayat hai unhon ny farmaya hai: "Janab Rasool ALLAH S.A.W ny irshad ny farmaya "Jis ny kasrat sy ALLAH Taala sy apny gunaho ki muafi talab ki ALLAH Taala us ko har gham sy nijat deingy har mushkil sy nikal deingy aur usko wahan sy rizq muhayya karein gy jahan sy uska waham-o-guman bhi na hoga...!!!"


»»  read more

Tuesday 10 June 2014

Hadees-e-Mubarka Aakhrat Ka Ghar Jannat in Urdu Image


Aakhrat Ka Ghar:
"Wahan hameshgi ky baghaat hongy jin mein woh khud bhi dakhil hongy aur unky aaba-o-ajdad bewiyon aur olad mein jo naik kirdar hon gy woh bhi jaga paien gy Farishty har darwazy sy unky istiqbal ky liye aaien gy aur un sy kahein gy tum par salamti ho tum ny dunya mein jistarha sabr sy kaam liya uski badolat aaj tum is ky mustahik howy ho pas kiya hi khoob ha yeh akhrat ka ghar...!!!"



»»  read more

Islamic Hadees in about Jannah Ahl-e-Jannat ki Bewiyan



Rasool Allah s.a.w ny Ahl-e-Jannt ki orton ki sifaat bayan karty howey farmaya: "Agar koi jannti orat jannt sy zameen ki taraf jalwa gar ho to zameen-o-aasman ka khala khushbo sy bhar jaye ga aur roshni sy munawar ho jaye ga aur usky sar ka dopata dunya-o-mafiha sy ziyada bahtar ha...!!!"



»»  read more

Monday 9 June 2014

Hadees-e-Mubarka Jannat Ki Nehrein in Urdu Tarjma


Aap s.a.w ka farman hai: "Jannat ki nahrein kastori ky teelon aur paharron ky nechey sy niklein gi...!!!"
Neez Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jannat mein aik samundar pani ka ha aik doodh ka aik shahad ka aur aik sharab phir is sy mukhtalif nahrein jari hongi...!!!"


»»  read more

Hadees in Urdu Azeem Khushkhabrian aur Waady



Azeem Khushkhabrian aur Waady:
"Aur jin logon ny iman ki rah ikhtiar ki aur usky mutabik apny aamal darust kar liye unhain khushkhabri dy do ky un keliye sarsabz-o-shadab baagh hain jin ky neechy nahrein bah rahi hongi jab in baghon ka koi phal unhian paish kiya jaye ga to wo foran bol uthein gy ky aisy hi phal is sy pahly dunya mein ham ko diye jaty they naiz inky keliye pakiza aur parsaa bewiyan hongi aur wo wahan hamesha hamesha rahein gy...!!!"



»»  read more

Hadees Shreef Jannat Ky Khany aur Mashrobaat in Urdu Image



Jannat ky Khany aur Mashrobat:
Hazrat Abu Imamah sy moqoof riwayat hai woh bayan karty hain keh: "Jannati jab jannat ky kisi mashroob ki khahish kary ga to is mashroob ka bhara howa jam khud bakhud isky hath mein tham jaye ga phir peeny ky baad wo jaam apni jaga apr lot jaye ga...!!!"
Inhi sy Riwayat hai ky: "Jab koi Jannati jannat ky kisi parindy ka ghost khany ki khahish kary ga to foran us parindy ky bhuny howey tukry is ky saamny aajein gy...!!!"


»»  read more

Islamic Urdu Hadees Jannati Log Baghon Me Hongy


Jannati Log Baghon Me Hongy:
"Jannati log wahan baghon aur naimaton me hongein aur ALLAH TALA ki ata karda cheizon sy lutf andoz ho rahy hongy aur unka RABB unhain dozakh ky azab sy bacha ly ga un sy kaha jaye ga khao aur pio mazy sy apny un aamal ky sily mein jo tum karty rahy ho. Woh aamny samny bichy howey takhton par takye lagaye bethy hongy aur ham khobsurat aankhon wali horein un sy biyah dein gy...!!!"



»»  read more

Hadees about Jannat ki Horon ki Gayiki ka Bayan in Urdu


Jannat ki Horon ki Gayiki ka Bayan:
Hazrat Abu Huraira (R.A) sy moqof riwayat hai woh bayan karty hain key: "Jannat mein jannat jitni lambi nehar hogi un ky dono kinaro par khobsurat kunwari larkian aamny saamny qatar banaye khari hongi woh nihayat khush awaz mien gaaein gy jannat ky bashindy unhain sunein gy hatta ky woh samjhein gy ky un sy barh kar jannat mein lazzat ka koi aur saman nahi ha ham ny kaha ay abu huraira woh meed aur takdees aur Rab-e-azzwa jal ki Sana hogi...!!!"



»»  read more

Sunday 1 June 2014

Islamic Dua, Hadees and Quotes in Urdu Pictures


Daja Shahadat Tak Rasai:
Hazrat Aysha (R.A) ny Rasool Allha (S.A.W) sy daryaft kiya kiya koi shakhs bagair shahadat ky shaheedon ky sath ho sakta ha Hazoor (S.A.W) ny irshad farmaya jo shakhs din ya raat mein 20 dafa mot ko yaad kary wo shaheed mein ho sakta ha aik dosri hadees mein ha jo shakhs rozana 25 martaba yeh alfaz parhy woh shaheedon ky darjon mein ho sakta ha...!!!




Aik fori kalma-e-magfirat:
Hazrat Anas (R.A) sy riwayat ha ky aanhazrat (S.A.W) ny farmaya jo shakhs nimaz ky baad ye alfaaz kahy woh is haal mein khara hoga ky uski magfirat ho chuki hogi...!!!



Nimaz-e-jumma chorny ki waeed:
Mafhom-e-hadees Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya: Log jumma ki nimaz chorny sy baaz aajein nahi to Allah in ky dilon par mohar laga dy ga phir wo gafilon mein sy ho jaein gy...!!!




Beqarari ki dua:
Ay ALLAH tery siwa koi maabod barhaq nahi tu pak ha beshak main hi zalimon mein sy hon...!!!




Islamic urdu hadees Hazoor akram (S.A.W) ny farmaya: ALLAH jis ky sath bhalai chahata ha usey deen ki samajh ata kar deta ha...!!!




Lazatton ko khatam karnay wali MOT ko kasrat sy yaad kiya karo...!!!




Tum mein bahtareeb shakhs woh ha jis ny quran seekha aur dosor ko sikhaya...!!!




Nimaz ko mat chorna zindagi ki saari barkat isi mein ha apni nazar ki hifazat karna gunah ki bunyad yahein sy shuro hoti ha...!!!




LOGO:
Aayat apny PARWARDIGAAR sy daro ky qayamat ka zalzala aik hadisa-e-azeem hoga...!!!





Dilon ky jhukany sy hoty hain aabad ghar KHUDA ky
Sirf sajdon sy nahi sajti weeran masjedein kabhi...!!!




Hazar sajdy zameen-e-haram py hon lekin hasil rooh-e-ibadat nahi to kuch bhi nahi bata diya ha Nabi Pak (S.A.W) ky taweel sajdy ny Husaain tujh sy muhabbat nahi to kuch bhi nahi...!!!




Jis khuwab mein ho jaaye deedar-e-Nabi (S.A.W) hasil
Ay ishq kabhi ham ko bhi wo neend sula dy (Aamin)...!!!




Khurseed shar-e-sham kahan jata hai
Roshan ha daber par jahan jata hai,
Magrib hi ki janib to ha qabr-e-haider
Yeh shama jalany ko wahan jata ha...!!!




Meri aankhon sy tery zikar ki taiz barish ho!
Main hun pathar, mujhy insan bana dy MOLA....!!!




Dunya ka sab sy khobsurat poda muhabbat ka ha jo zamin mein nahi balkah dilon mein ugta ha...!!! (Hazarat Ali R.A)




Meri Khatain Bhakhsh De.
Wesy to khataein howi mujh sy beshumar
Kuch aisi khataein jin ko dohraya mainy bar bar
Mujh py tu apna khasosi karam kar day
Mujhy neeki ky rasty par sar garam kar dy
Teri qasam ab zindagi sy na uktaoun ga
Tu to bahtar samjhy ga us ko apnaoun ga
Tu rok sakta ha jab itni chalti howi hawaoun ko
Bakhsh dy mery mola meri khataoun ko...!!!


»»  read more

Monday 26 May 2014

Islamic Quotes, Hadees and Sayings SMS in Urdu with Pictures for Facebook Posts


Aey Allah main tery naam sy din ka aagaz kar raha hon mera aur tamam musalmano ka sara din acha guzray aamin...!!!




Gunahon Ka Boojh Halka Kijiaey.
Hazrat abdullah bin umer (R.A) farmaty han ky mainy rasool Allah (S.A.W) ko ye irshad farmaty howey suna:
"Jab koi shakhs nimaz keliye khara hota to usky gunah usky sar aur kandhon par rakh diye jaty jab jab wo rakoo aur sajdy mein jata to wo gunah girty rahty hain....!!!"



Kabhi kisi aisy shakhs par zulm na karo jis ky paas faryad keliye Allah taala ky siwa koi na ho...!!!




Nabi e kareem (S.A.W) ny farmaya: Anar ko usky andori chilky sameet khao kiun ky woh maidy ko saaf karta ha...!!!




Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:
"Hamary aur kafiron ky darmiyan farq nimaz ha jis ny nimaz chor di us ny kufar kiya...!!!"
"Musalman aur kufr-o-shirk ky darmiyan farq nimaz ha...!!!"




Aankh dunya ki har cheiz dekhti ha magar jab aankh ky andar kuch chala jaye to usey nahi dekh paati bilkul isi tarha insan dosron ky aib to dekhta ha par apny aib usy nazar nahi aaty...!!!




Badi ka moqa hoty howey badi na karna buhat bari naiki ha...!!!




Mushkilon sy larrna nahi balkah sanbhal kar guzarna seekho warna aap ki shakhsiat tabah ho jaye gi...!!!




Astaghfirullah: Mominon Tum Sab ALLAH Ke Aagy Toba Karo Takeh Falah...!!!




Chalo uska nahi Allah ka ahsaan lety hain,
Woh minnat sy na mana to mannat maan lety hain...!!!




Pareshani:
Tazkira karny say barhti rahti ha khamosh rahny sy kam ho jati ha sabar karny sy khatam ho jati ha aur Allah ka shukar ada karny sy khushi mein badal jati ha...!!!




Muhabbat me har jany par log naseeb ki baat karty hain,
Kabhi KHUDA sy muhabbat ki hoti to ye shikayat na hoti...!!!




Kisi sy itni nafrat na karo ky kabhi milna parry to mil na sako
AUR
Kisi sy itni muhabbat bhi na karo ky kabhi tanha jeena parry to ji na sako...!!!





Wabasta hain meri zindagi ky rabty jin sy,
Ay ALLAH
Un ko apni rahmaton sy sada khush rakhna aamin...!!!




Sachy aur amanat dar tajir ki fazeelat:
"Nabi-e-kareem (s.a.w) ny farmaya sacha aur imaan dar tajir nabion siddiqo aur shaheedon ky sath hoga...!!!





Allah ka zikar karty raha karo chahy ghar mein ho ya raasty mein
KIUNKEH
Jis cheiz ky saamny Allah ka zikar karo gy chahy wo pather phool darakht ya kuch bhi ho qayamat ky din gawahi degi keh
Ya ALLHA! tera ye banda tery zikar mein mashgool rahta tha....!!!




Hzrat Ali: Namaz Keliay Susti Imaan Ki Kamzori Ki Alamat Hai...!!!
»»  read more