Friday, 20 June 2014

Islamic Inspirational Hadees and Ayaat about Namaz in Urdu Translation


Hazrat Abu Huraira sy Riwayat ha keh Allah ky Rasool s.a.w ny farmaya: "Jis ny apny ghar mein paaki hasil ki phir Allah ky gharon mein sy kisi ghar ki taraf Allah taal ky faraiz mein sy kisi fareza ki adaigi ki khatir chala to us ka aik naqsh-e-kadam aik gunah ko mitata ha aur dosra aik darja buland karta hai...!!!"




Masajid ki taraf jana:
Aur Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat ha woh bayan karty hain ky hamary makanat masjid sy door aik gosha mein they chunachy ham ny apny makanat farokhat kar ky masjid sy qareeb aabad hony ka irada kiya to Allah ky Rasool s.a.w ny ham ko us sy mana farmaya aur kaha: "keh tumhary har kadam ky badla darja hai...!!!"




Jabir bin samra r.a bayan karty han ky ham Rasool Allah s.a.w ki majalis mein betha, karty they aap subh ki nimaz parhny ky baad soraj ky nikalny tak masjid mein bethty, jab soraj taloo hota to aap (jany keliye) khary hoty, ham (masjid mein) zamana-e-jahiliat ky muamlat ka zikar karty (guftago ky doran) ham hansty bhi they aur muskuraty bhi...!!!




Nimaz ki Ahmiat:
Bureeda r.a riwayat karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmay: "Hamary aur munafiqon ky darmian ahad Nimaz ha jis ny nimaz chor di pas usny kufar kiya...!!!"




Khof-e-Ilahi sy rona:
Aap s.a.w raat ki nimaz mein Allah Tala ky dar sy buhat roty they hazrat bilal ny aik dafa Aap s.a.w sy poocha "Allah ky Raool! Aap kiun roty hain? jab ky Allah ny Aap ky agly pichly sab gunah bakhsh diye hain. Aap s.a.w ny farmaya:
"Kiya main Allah ka shukar guzar banda na bano? Aaj Rat mujh par aik azeemushan aayat utri ha afsos us par jo usey parhy magar ghor-o-fikar na kary."
"Bila shuba zameen-o-aasman ki takhleeq aur din rat ki gardish mein aqal mand logo keliye beshumar nishanian hain...!!!"




Nimaz ky liye jany mein jaldi karna:
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat ha keh Allah ky Rasool s.a.w ny farmaya: "Azan aur pahli safa ka sawab agar logo ko malom hota to woh qurandazi karty aur agar waqat nimaz parhny ki fazeelat sy log wakif hoty to aik dosry par sabkat ly jany ki koshish karty...!!!"




Rasool Allah s.a.w ny farmaya:
"Hamary aur kafiro ky darmian farq nimaz ha jis ny nimaz chor di us ny kufar kiya."
"Musalman aur kufr-o-shirk ky darmian farq nimaz hai...!!!"





Rasool Allah s.a.w ny farmaya:
Hazrat abdullah bin umer bin al aas sy riwayat ha keh: "Nabi  Pak S.A.W ny aik roz aik nimaz ka zikar kiya aur farmya: "Jis ny is nimaz ki pabandi ki rozy qayamat us ky samny aik roshni hogi aur burhan hogi aur jahanum sy aazadi ka parwana mily ga aur jis ny is ki pabandi na ki wo roshni o burhan sy mahroom kar diya jaye ga aur jahanum uska thikana bany gi aur rozy qayamat wo Qaaron, Firon, Haman aur Ubi bin khalf ky sath hoga...!!!"




Nimaz aur sabar sy madad talab karna:
"Aey iman walon sabar aru nimaz ky zarye sy madad chaho Allah taala sabar walon ka sath deta hai...!!!"



0 comments:

Post a Comment