Showing posts with label Hadees about Duaa. Show all posts
Showing posts with label Hadees about Duaa. Show all posts

Saturday 21 June 2014

Khany sy Faragat ky Baad ki Dua in Urdu Tarjuma Image


Khany sy faragat ky baad ki dua:
"Har kism ki tareef Allah hi keliye ha jis ny yeh khana mujhy khilaya aur mujhy yeh (khana) ata kiya bagair meri kisi taqat ky aur bagair meri kisi quwat ky...!!!"
Wazahat: Allah ka nam lekar khana shuro karna aur farig ho kar Allah ka shukar ada karna naimat mein barkat ka baais hai...!!!


»»  read more

Sunday 15 June 2014

Dunya-o-Aakhrat ki Jaamy Dua Hadees-e-Mubarka in Urdu Tarjuma



Dunya-o-Aakhrat ki Jaamy Dua:
Abu malik ashjayi apny baap sy riwayat karty hain ky aik aadmi Nabi s.a.w ky paas aaya aur kaha: "Ay ALLAH ky Raool s.a.w main apny RAB sy maango to kiya kahon to Aap s.a.w ny farmaya: Kaho ay ALLAH mujhy bakhsh dy mujh par raham farma mujhy aafiat dy aur mujhy rizq ata farma aur dono hathon ki unglion ko ikhata kar ky apny hath utha dy to ALLAH taala un ungliyon mein dunya-o-aakhrat ki bhaliyon ko jama kar dy ga...!!!


»»  read more

Friday 13 June 2014

Azaan ky Baad Ki Duaa or Isky Parhny ki Fazeelat Hedees-e-Mbarka se Riwayat


Azaan ky Baad yeh Dua Parhny ki Fazeelat:
Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya jo shakhs azaan sun kar yeh kalimat kahy: "Ay ALLAH is mukamal daawat aur qaim hony wali nimaz ky RAB Muhammad s.a.w ko waseela aur fazeelat ata farma aur unhain us Maqam-e-Mahmood par faiz farma jis ka tuny unsy wada kiya hai...!!!"
Aisy shakhs keliye qayamat waly din meri safa at halal (wajib ho gai)...!!!


»»  read more

Hadees-e-Mubarka ke Mutabik Subh ky Waqat Parhny wali Dua


Subh ky waqat parhny wali Dua:
Aap s.a.w ny farmaya: "Jis ny subha ky waqt yeh kalimat parhy: Main ALLAH ki rabobiat deen-e-islam aur Muhammad s.a.w ki Nabowat-o-Risalat par raazi hon to main (Muhammad s.a.wyeh zamat deta hon ky main (Muhammad s.a.wkhud us ko hath sy pakar kar jannt mein dakhil karonga...!!!"



»»  read more

Tuesday 10 June 2014

Afazal Tareen Duaa Ba-Hawala Hadees in Urdu


Afazal Tareen Duaa:
Rasool Allah S.A.W ny farmaya: "ALLAH taala sy aafiat aur muafi ka sawal karo mot ky baad aafiat sy barh kar kisi keliye koi bhalai nahi ha aur farmaya banda ki apny Parwardigar sy bahtareen dua ye ha ay ALLAH main tujh sy dunya aur aakhrat mein muafi ka khaastgar hon...!!!



»»  read more