Showing posts with label Qurani Aayaat Images. Show all posts
Showing posts with label Qurani Aayaat Images. Show all posts

Wednesday, 18 June 2014

Aayat and Hadith Meaning in Urdu with Images



Aap s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky roz bandy sy jis cheiz ka sab sy pahly hisab liya jaye ga wo farz nimaz ha pas agar us ny nimazien pori parhi hongi, to woh pori likhi jaien gi, lekin agar pori na parhi hongi, to Allah Tala apny farishton sy farmaye ga: Dekho! kiya (nama aamal mein) mery bandy ky koi nafal bhi hain? (agar hain) to us sy un ky farzo ki kami pori kar do, phir usi tarha us ki zakat ko dekha jae ga phir us ky bad usi tarha dosry farz aamal ka hisab hoga...!!!



Abu Zar r.a riwayat karty hai keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Tera kiya hal hoga? Jis waqat tujh par aisy imam hakim hon gy jo nimaz mein dair karein gy ya us ky waqat sy qaza karein gy...!!!"
Mainy kaha Aap mujhy is hal mein kiya hukam farmaty Aap s.w.a ny farmaya: "Nimaz ko us ky waqat par parh phir agar tu is nimaz ki jamat ko un ky sath paa ly to un ky saath dobara nimaz parh ly tahqeeq yeh nimaz tery liye nafal hogi...!!!"


Rasool Kareem s.a.w ny Eid-ul-Azha ky moqa par nimaz Eid ky baad qurbani karny ko apni sunnat qarar diya ha imam bukhari aur imam muslim ny Hazrat Baraa r.a sy riwayat naqal ki ha ky unho ny bayan kiya ha keh Rasool Allah s.a.w ny Irshad Farmaya:
"Be-shak us din ham pahla kaam yeh karty hain ky Nimaz-e-Eid ada karty hain phir aaty hian aur qurbani karty hain jis shakhs ny aisa kiya us ny hamari sunnat ko pa liya...!!!"




Sayyedna Ans Bin Malik sy marwi hai: "Woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya jo shakhs teen martaba jannat ka sawal kary to jannt kahti hai, ay Allah! isy jannat mien dakhil kar dy...!!!"




Abdullah Bin Masood r.a farmaty hain: Main ny Rasool Allah s.a.w sy sawal kiya keh Allah Tala ko konsa amal ziyada mahboob hai?
Aap s.a.w ny farmaya: "Waqat par nimaz parhna"
Mainy kaha phir konsa?
Aap s.a.w ny farmaya: "Maan Baap ky sath naik salook karna"
Mainy kaha phir konsa?
Ap s.a.w ny farmaya: "Allah ke rasty mein jihad karna...!!!"



Jabir r.a riwayat karty hain keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs azaan ka jawab dy aur phir azaan khatam hony par ye dua parhy usky liye qayamt ky din meri shafaat wajib ho jati hai...!!!"
"Is pori pukar (Azan) ky aur (Qiyamat Tak) qaim rahny wali nimaz ky Rab Muhammad s.a.w ko waseela aur bazurgi ata farma aun unhain us Maqam-e-Mahmood par pohancha jis ka tuny unsy wada kiya hai...!!!"



Sayyadna Abu Huraira r.a sy riwayat hai Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Ramzan ky baad sab sy fazeelat wala roza Allah ky maheeny muharram ka hai aur farz ky baad sab sy ziyada fazeelat wali nimaz raat ki nimaz hai...!!!"

 

Allah ka farman:
"Momin mardon sy kah dejiye ky apni nigahein neehci rakhein aur apni sharam gaho ki hifazat karein ye un keliye ziyada pakeza ha beshak Allah us sy pori tarha khabardar ha jo wo karty hain...!!!"



"Ay Iman walo Allah sy daro aur har shakhs ye dekhy ky us ny kal qayamt ky liye kiya aagy bheja ha aur Allah sy darty raho jo kuch bhi tum karty ho Allah us sy ba khabar ha...!!!"



"Abi bin kaab r.a sy riwayat hai keh Rasool Allah s.a.w witron sy salam phair kar teen baar ye parhty "Pak ha Badshah Nihayat pak...!!!"

 
»»  read more

Thursday, 12 June 2014

Hadees and Qurani Ayaat about Jannah in Urdu Tarjuma Pictures


Ehal-e-jannat ki Bewiyan:
Aur Rasool Allah s.a.w ny jannti orton ky husn-o-jamal ka tazkira karty howey farmaya: "Har jannti ko do moti aankhon wali horein bator-e-bewiyan ata ki jaein gi har bewi kapron ky sattar jory zaib tan kiye howey hogi uski pindli ky andar ka goda usky kapro aur ghost ky wary is tarha saaf nazar aa raha hogs jis tarha saaf shafaf sheshy ky gilas mein sharab nazar aa rahi hoti hai...!!!"




Jannat ky Libas ka Bayan:
Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs jannat mein dakhil ho gaya wo hamesha khush hal zindagi mein hoga kabhi mohtaj nahi hoga na uska libas boseeda hoga aur na uski jawani dhaly gi...!!!"
Rasool ALLAH ny farmya: "Sab sy pahla ghar wo jo jannat mein hoga unky chahry chodhwein raat ky chand ki tarha chamak rahy honeing naiz farmay har jannti keliye do horein moti aankhon wali uski bewiyan hongi har bewi sattar joro sy aarasta hogi uski pindli ka goda usky jodo aur ghost ky wary nazar aaye ga aur jannt mein koi shakhs bhi bewi ky bagair nahi hoga...!!!"




Jannt ki Afzal Tareen Naimat:
Jab Jannti Jannat mein dakhil ho chukein gy to ALLAH unhain (mukhatib kar ky) farmein gy: "Mazeed kisi chiez ki zaroorat ho to batao."
To Jannti jawab dein gy: "Kiya tuny surkhro nahi kar diya kiya tuny hamein jahanum sy nijat dy kr jannt ata nahi kar di (ab bhala kis cheiz ki zaroorat baqi rah gai ha) phir parda uthy ga aur jannati ALLAH Taala tabaruk ko apny saamny dekhein gy aur us sy ziyada mahboob koi aur naimat un ky nazdeek nahi hogi...!!!"
Us par Aap s.a.w ny quran ki yeh aayat tilawat farmai: "Jin logon ny bhalai ki raah ikhtiyar ki unky liye acha badla ha aur mazeed baraan bhi...!!!"




Jannti Log Mazy Me Mashgool Honge:
ALLAH Tala ne Farmaya: "Aaj jannti log mazy karny mein mashgool hain us din jannti aur unki bewiyan ghany saayon mein hongein masnado par takye lagaye howey, har kism ki lazeez cheizen khany peeny ko unky liye wahan mojod hongi...!!!"




Hamesha Rahny Wali Jannatein:
"Woh log ho iman laaye aur aamal-e-saliha kiye unka ajar kabhi zaya nahi karty unky liye hamesha rahny wali janntein hain jin ky neechy nahrein bah rahi hain woh sony ky kangan pahny howey barik resham aur atlas-o-deeba ky kapro sy aarasta masnadon par takye lagaye howey bethy hongein kitna acha ha unka badla aur kiya hi achi unhon ny jaga paai hai...!!!"




Jannat ky Waris:
"Unky liye hameshgi ki jannat ha jinka apny bando sy KHUDA-e-Rahman ny dar parda waada kar rakha ha aur yeh wada yaqeena pora ho kar rahy ga woh koi nashaista aur behoda baat unky kano mein nahi parry gi jo kuch sunein gy woh salamti hi ki sada hogi aur subha sham tarha tarha ky khany un keliye muhayya kiye jaein gy yeh ha woh jannat jiska waris ham apny har us bandy ko banaein gy jis ny taqwa ki raah ikhtiar ki hogi...!!!"



»»  read more