Showing posts with label Islamic Sayings. Show all posts
Showing posts with label Islamic Sayings. Show all posts

Thursday 12 June 2014

Islamic Hadees about Jannat Sab Sy Kam Darjy Ka Jannti in Urdu Tajma


Sab Sy Kam Darjy Ka Jannti:
Rasool ALLAH s.a.w ny farmaya: "Sab sy kam darjy ka jannti woh hoga ky ALLAH taala uska chahra jahanum sy phair kar jannat ki taraf kar dega aur usko aik saaya dar darakht dikhaye ga usey dekh kar woh aadmi kahy ga: Ay mery RAB mujhy is darakht ky qareeb kar dy taaky main is ky saaye taly ho joun...!!!"
Isky baad mukamal hadees ha jis mein us shakhs ky jannat mein dakhil hony aur uski aarzoun ka tazkira ha aakhir mein yeh alfaz hain:
Jab uski tamam aarzoein khatam ho jein gi to ALLAH taala farmaein gy:
"Tujhy yeh sab kuch aur iska das gunah mazeed diya jata hai."
Aap s.a.w ny farmaya:
Phir woh jab apny ghar jannat mein dakhil ho jaye ga to do moti moti aankhon wali horein bewiyan ban kar usky pas aaien gi aur kahein gi ALLAH ka shukar ha jis ny tujhy hamary liye paida kiya aur hamein tumhary liye paida kiya woh shakhs yeh sab kuch dekh kar kahy ga ALLAH ny kisi ko itna ziyada nahi diya jitna mujh ko diya hai...!!!"


»»  read more

Tuesday 10 June 2014

Islamic Hadees in about Jannah Ahl-e-Jannat ki Bewiyan



Rasool Allah s.a.w ny Ahl-e-Jannt ki orton ki sifaat bayan karty howey farmaya: "Agar koi jannti orat jannt sy zameen ki taraf jalwa gar ho to zameen-o-aasman ka khala khushbo sy bhar jaye ga aur roshni sy munawar ho jaye ga aur usky sar ka dopata dunya-o-mafiha sy ziyada bahtar ha...!!!"



»»  read more

Monday 9 June 2014

Hadees in Urdu Azeem Khushkhabrian aur Waady



Azeem Khushkhabrian aur Waady:
"Aur jin logon ny iman ki rah ikhtiar ki aur usky mutabik apny aamal darust kar liye unhain khushkhabri dy do ky un keliye sarsabz-o-shadab baagh hain jin ky neechy nahrein bah rahi hongi jab in baghon ka koi phal unhian paish kiya jaye ga to wo foran bol uthein gy ky aisy hi phal is sy pahly dunya mein ham ko diye jaty they naiz inky keliye pakiza aur parsaa bewiyan hongi aur wo wahan hamesha hamesha rahein gy...!!!"



»»  read more

Hadees Shreef Jannat Ky Khany aur Mashrobaat in Urdu Image



Jannat ky Khany aur Mashrobat:
Hazrat Abu Imamah sy moqoof riwayat hai woh bayan karty hain keh: "Jannati jab jannat ky kisi mashroob ki khahish kary ga to is mashroob ka bhara howa jam khud bakhud isky hath mein tham jaye ga phir peeny ky baad wo jaam apni jaga apr lot jaye ga...!!!"
Inhi sy Riwayat hai ky: "Jab koi Jannati jannat ky kisi parindy ka ghost khany ki khahish kary ga to foran us parindy ky bhuny howey tukry is ky saamny aajein gy...!!!"


»»  read more

Hadees in Urdu Momin Mardon aur Momin Orton Keliye Sab sy Bari Kamyabi



Sab Sy Bari Kamyabi:
"Momin mardon aur momin orton keliye ALLAH ki taraf sy baghon ka wada ha jin ky neechy nahrein bah rahi hongi aur wo un mein hamesha rahein gy in sada bahar bagon mein unkeliye pakeza qayam gahein hongi aur sab sy barh kar naimat yeh keh ALLAH taala ki khushnodi unhain hasil hogi aur yahi sab sy bari kamyabi ha...!!!"



»»  read more

Monday 26 May 2014

Islamic Quotes, Hadees and Sayings SMS in Urdu with Pictures for Facebook Posts


Aey Allah main tery naam sy din ka aagaz kar raha hon mera aur tamam musalmano ka sara din acha guzray aamin...!!!




Gunahon Ka Boojh Halka Kijiaey.
Hazrat abdullah bin umer (R.A) farmaty han ky mainy rasool Allah (S.A.W) ko ye irshad farmaty howey suna:
"Jab koi shakhs nimaz keliye khara hota to usky gunah usky sar aur kandhon par rakh diye jaty jab jab wo rakoo aur sajdy mein jata to wo gunah girty rahty hain....!!!"



Kabhi kisi aisy shakhs par zulm na karo jis ky paas faryad keliye Allah taala ky siwa koi na ho...!!!




Nabi e kareem (S.A.W) ny farmaya: Anar ko usky andori chilky sameet khao kiun ky woh maidy ko saaf karta ha...!!!




Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:
"Hamary aur kafiron ky darmiyan farq nimaz ha jis ny nimaz chor di us ny kufar kiya...!!!"
"Musalman aur kufr-o-shirk ky darmiyan farq nimaz ha...!!!"




Aankh dunya ki har cheiz dekhti ha magar jab aankh ky andar kuch chala jaye to usey nahi dekh paati bilkul isi tarha insan dosron ky aib to dekhta ha par apny aib usy nazar nahi aaty...!!!




Badi ka moqa hoty howey badi na karna buhat bari naiki ha...!!!




Mushkilon sy larrna nahi balkah sanbhal kar guzarna seekho warna aap ki shakhsiat tabah ho jaye gi...!!!




Astaghfirullah: Mominon Tum Sab ALLAH Ke Aagy Toba Karo Takeh Falah...!!!




Chalo uska nahi Allah ka ahsaan lety hain,
Woh minnat sy na mana to mannat maan lety hain...!!!




Pareshani:
Tazkira karny say barhti rahti ha khamosh rahny sy kam ho jati ha sabar karny sy khatam ho jati ha aur Allah ka shukar ada karny sy khushi mein badal jati ha...!!!




Muhabbat me har jany par log naseeb ki baat karty hain,
Kabhi KHUDA sy muhabbat ki hoti to ye shikayat na hoti...!!!




Kisi sy itni nafrat na karo ky kabhi milna parry to mil na sako
AUR
Kisi sy itni muhabbat bhi na karo ky kabhi tanha jeena parry to ji na sako...!!!





Wabasta hain meri zindagi ky rabty jin sy,
Ay ALLAH
Un ko apni rahmaton sy sada khush rakhna aamin...!!!




Sachy aur amanat dar tajir ki fazeelat:
"Nabi-e-kareem (s.a.w) ny farmaya sacha aur imaan dar tajir nabion siddiqo aur shaheedon ky sath hoga...!!!





Allah ka zikar karty raha karo chahy ghar mein ho ya raasty mein
KIUNKEH
Jis cheiz ky saamny Allah ka zikar karo gy chahy wo pather phool darakht ya kuch bhi ho qayamat ky din gawahi degi keh
Ya ALLHA! tera ye banda tery zikar mein mashgool rahta tha....!!!




Hzrat Ali: Namaz Keliay Susti Imaan Ki Kamzori Ki Alamat Hai...!!!
»»  read more

Sunday 11 May 2014

Islamic Quote and Sayings in Urdu with Images for Facebook

Urdu Islamic Inspirational Quotes and Sayings with Images for Facebook Timeline Posts Status.


ALLAH se rishta joro sab toty rishty jurr jainge

ALLAH se rishta joro
sab toty rishty jurr jainge...!!!



Hazrat Ali Islamic shayari koi tum sy rooth jaye phir wahi khud tum sy milny ko tarsy

Koi tum sy roth jaye phir  wahi tum sy milny ko tarsy to usey kabhi mat khona kiun ky wo tum sy buhat ziyada piyar karta ha...!!!
Hazrat Ali...!!!



Inspirational Quote Islamic shayari soorat bagair seerat ky aisa phool jis mein kanty ziyada hon aur khushboo bilkul na ho

Soorat bagair seerat ky aisa phool jis mein kanty ziyada hon aur khushbo bilkul na ho...!!!



Islamic Quotes Masjid-e-nabvi saw me riyaz ul jannah ka woh hissa jisy mehraab mubarak kehty hain

Masjid nabvi saw me riyaz ul jannah ka woh hissa jisy mehraab mubarak kehty hain...!!!
Yahan sajda karny se is maqaam par Sajda hoga jahan Hazroor Akram S.A.W ke Qadam Mubarak Namaz ki Amanat me hoty thy...!!!
ALLAH Subhan Tala humain iss jaga Sajde ki Saadat ata farmaey...!!! Aameen...!!!



Islamic shayari agar koi muhabbat karny wala shakhs aap par ghussa karna chorr dy to samajh jao

Agar koi gussa karny wala tum par gussa karna chorr day to samajh jao tum apni ahmiat uski nazar mein kho chuky ho...!!!



Islamic shayari Allah nay ata ki had kardi warna kon deta hai kisi ko apna mahboob

Allah ny ataa ki had kardi
Warna kon deta hai kisi ko apna mahboob...!!!



Islamic Quote shayari Allah par hamesha bharosa rakho kiun ky Allah wo nahi deta jo aapko acha lagta ha

Allah par hamesha bharosa rakho kiun ky Allah wo nahi deta jo aap ko acha lagta hai, Balkah woh deta hai jo aap keliye acha hota ha...!!!



Islamic shayari rozana logon ka is dunya sy rukhsat hoty rahna zinda rahny walun keliye buhat bari nasihat hai

Rozana logon ka is dunya say rukhsat hoty rahny Zinda rahny walun keliye buhat bari nasihat hai...!!!



Islamic shayari wo zuban kitni pakeeza ha jo zikr ullah mein masrof rahti hai

Woh pakeeza kitni hai jo zikar ullah mein masroof rahti hai wo qalb kitna purnoor hai jo Muhammad (S.A.W) ki muhabbat mein sarshar rahta ha...!!!



Maafi Ki Duaa Yaa ALLAH Main Tujhse Se Mangta Hon

Yaa ALLAH Main Tujhse Se Mangta Hon
Esi Maafi jis ke baad koi Gunah na ho
Esi Hidayat jis ke baad koi Gunah na ho
Esi Sehat jis ke baad koi Bemaari na ho
Esi Raza jis ke baad koi Naarazgi na ho Aameen...!!!


»»  read more