Dosti ky maani hamsy kiun pochty ho
Ham abhi in baaton sy anjan hain
Sirf aik guzarish hai ky bhol na jana hamein
Kiun ky aapki dosti hi hamari jaan hai...!!!
Dooriyon sy farq parrta nahi hai
Baatein to dilon ki nazdekiyon sy hoti hai
Dost to kuch khaas aap jaisy hoty hain
Warna mulaqtat to na jany kitno sy hoti hai...!!!
Aasman sy utri hain taaron sy sajayi hai
Chand ki chandni sy nahlayi hain
Ay dost sambhal ky rakhna ye dosti
Yahi to hamari zindagi bhar ky kamayi hai...!!!
Ham dosto ko jaan samajhty hain
Ham dosto ko aan samajhty hain
Dost hamein bewafa samajhty hain to kiya howa
Ham to doston ko apni zindagi samjhty hain...!!!
Na jany kiun main tujh sy kuch ziyada rotha karti hon
Tery doori sah jaaye is keliye dil ko manaya karti hon
Kabhi to tujhy jaisy buhat hi bura kah leti hon par dost
Jab teri dosti ki misal yad aati hai tujhy dua diya karti hon...!!!
Dosti mein dooriyan to aati rahti hain
Phir bhi dosti dilon ko mila deti hai
Wo dost hi kiya jo naraz na ho
Par sachi dosti doston ko mana leti hai...!!!
Kahty hain dost banana zindagi hai
Dosti nibhana zindagi hai
Kitny bhi busy kiun na rahein din bhar
Magar aik pal keliye hi sahi
Dost ki yaad aana hi zindagi hai...!!!
Dosti ki kahani ab hamari khatam ho gayi
Khushiyan aaein aur aakr najany kahan kho gayi
Barra naaz tha hamein apni dosti par shayad
Qismat buri thi ya phir kisi ki nazar lag gayi...!!!
Kiya maango khuda sy tumhain paany ky baad
Kiska karon intzar tery aany ky baad
Kiun dost par jaan luta dety hain log
Maloom howa tumhain dost banany ky baad...!!!
0 comments:
Post a Comment