Showing posts with label Wasi Shah Poetry. Show all posts
Showing posts with label Wasi Shah Poetry. Show all posts

Monday 5 May 2014

Kon rota hay yaha raat k sanatto main Wasi Shah

Kon rota hay yaha raat k sanatto main
Mere jaisa he koi hijar ka mara hoga
Kaam mushkil hay magar jeet he longa us ko
Mere mula ka wasi ju he ishara hoga.
»»  read more

Urdu Ghazals

Jab Rim Jim Rim Jim Barish he


livelypakistan.blogspot.com Photo Of Poet Wasi Sha
Jab rim jim rim jim barish he
Har simat nami cha jati he

Or sabza sabza kaliyon par
Moti se giraati he

Pholon ki kalyan has has kar
Shabnam k aansu roti hain

Jis waqt ufaq k bistar main
Surij Ki kirnain soti hain

Jab rat ki malka ro ro kar
Bharti hain falaq ko taron se

Or taiz hawa takrati he
Nadi k behty dharon se

Mhtaab ki piyari si dulhan
Jab rat ki mala japti he

Or rat ko le kar bahon main
Jab rukhsat is ko karti he

Phir barkhart ya aawara
Jab abar ka tukra gata he

Ik shakhs hamain yaad aata he
Ik shaks hamain yaad aata he


Hijar ka tara doob chala he

Hijar ka tara dhob chala he
Dhalny lagi he raat wasi

Katra katra bars rahi he
Ashkon ki barsaat wasi

Tery bad ye dunya waly
Mujhko pagal kar dain ge

Khushbo k des main
mujh ko le chal apny sath wasi

Yon hi chup ki mohr laga ke
Kab tak Gum sum Betho ge

Khamoshi se dam ghut ta he
Chero koi bat wasi

Chor Wasi Ab uski yadain
Tuj ko pagal kar dain Gi

Tu qatra he wo darya he
Dekh apni oqat wasi

Kurb Us ka dill nadaan dubara mangy


Kurb Us ka dill nadaan dubara mangy
Jis ne tofaan diya us se kinara mangy

Ae khuda ye Bhi to kal hi ki ik surat he
Dobny Wala Jo tinky ka sahara mangy

Usko jalty hoy arman dikhon dill ke
Gar meri aankh kabhi mujh se nazara mangy

Aashiyan jis ne banaya tha bari mehnat se
Ab jalany k liye khud hi sharara mangy

Pastiyan apny muqadar main likhi hain Qaisar
Wo nahi janta jo sath hamara mangy

Qaisar abas qaisar

Kis ko Bhati rhi rat bhar chandni



Kis ko Bhati rhi rat bhar chandni
Ji jalati rahi rat bhar chandni

Tmtmaty rahy hasraton k diye
Muskurati rhi Rat bhar chandni

Ik hasee jism ki tarhan aakhosh main
Kasmasati rhi rat bhar chandni

Ashk peety rhy hum kis or ko
Mye Pilati rhi rat bhar chandi

Sagir Sidiqi

Meri wafa ne khilay thy jo gulab


Meri wafa ne khilay thy jo gulab
Sary julas gye hain

Tumhari aankhon me jis qadar thy
wo khuab sary julas gye hain

Meri zamin ko he kisi nay
Hadsy ka intizar shayad

Gunah phlny lagy hain
Ajar o sawab sary julas gye hain

Jo tum gye to meri nazron py
Haqeeqaton k azab utry

Sochta hon k kia karon ga
Sarab sary julas gye hain

Ye mojza sirf ik shab ki
Musafton k sabab hoa he

Tumhary or mery darmiyan
Sary hijab julas gye hain

Isy batana k uski yadon k
Sary Safhy Jala chuka hon

Kitab-e-dill me rakm thy jitny
Wo bab sary julas gye hain

Nazar Uthon main jis taraf bhi muhib
Say hain zulmaton ke

Ye kia he k mery naseeb k
Mhtaab sary julas gye hain

Tumhari nazron ki tapish he k
Mery lafzon pe aa bly hain

Sawal sary julas gye hain
Jawab sary julas gye hain

Ye aag Khamoshiyon ki Kesi
Tumhari aankhon me terti he

Tumhary honton py jo thy darj
Wo nisab sary julas gye hain


Intazar rahy ga


Meri Aankhon ko tumhara intazar rhy ga
Jab bhi aao ge muntazir paao ge

Jab bhi koi gham tum ko chu jay ga
Tum mujhy bhi ghamgeen pao ge

Jab kabhi yadon ko jinjora tum ne
Tum mujy bhi Apny sath beqarar pao ge

Or gar kabhi socho be wafai ka
To mujhy bhi rukh mora hoa pao ge


Teri Umeed Tera Intazar jab se he


Teri Umeed tera intazar jab se he
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se he

Kisi ka dard ho karty hain tery naam raqam
Gila he jo bhi kisi se tery sbab se he

hoa he jab se dill na sabur be qabu
Kalam tujh se nazar ko bary adab se he

Agr sharar he to bhargy jo phol he to khily
Tarha tarha ki talab tery rang lab se he

Kha gye shabo frqat k jagny waly
Sitare shri hum kalam kab se he




forumsmix.com
»»  read more

Monday 14 April 2014

Jab Charo taraf dard ke darya ka sammaa tha tu khaa thaa WASI SHAH

Jab gham Meri Dharkan Meri Baton se ayan hota tha to kha tha
Jab Charo taraf dard ke darya ka sammaa tha tu khaa thaa

Ab aaya he k jab dhal gye hain sabhi mosam Mery hamdam
Jab tery liye mera Har Ahsaas jawa tha Tu Kaha tha


Ab Sirf Khamoshi he muqadar ka sitara mery yaara
Jab lab pe faqat tera Faqat tera byan tha tu kha tha


Ab aaya he jab kaam dkha bhi gya sawan mery saajan
Jab char so mery liye khushiyon ka sammaa tha tu khaa tha?


Wasi Shah Best Ghazal


Mery Ban Jao
»»  read more

Wednesday 26 March 2014

Best Two line Poetry of WASI SHAH

Me kesy Sard Hathon se tumhary gal chota tha WASI
December me tumhain meri shararat yaad  aay gi

Mery Ban Jao

Tumhara naam likhny ki ijazat Chin gyi jab se
Koi Bhi lafz Likhta Hn to aankhan Bheeg jati hain

hazar mosamon ki hukmarani he mery dill par
WASI me jab bhi tanha hon to aankhain bheeg jati hain

Mery Ban Jao

Dill me afsos ankhon me nami si rehti he
Zindagi me shayed koi kami si rehti he

Mujh se roth jaty hain aksar apny Wasi
Shayed mery khalos me koi kami si rhti he

Mery Ban Jao

Ye zabat chot gya to tumhari yaad aai
Me thak k toot gya to tumhari yaad aai

Tumhary bad na tha koi meri dill k siwa
Ye dill bhi roth gya to tumhari yaad aai

Mery Ban Jao



Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          
»»  read more

Saturday 18 January 2014

Wasi Shah Poetry, Wasi Shah Urdu Peotry, Urdu Poetry By Wasi Shah, Urdu Shairy,

Wasi Shah Poetry, Wasi Shah Urdu Peotry, Urdu Poetry By 
Wasi Shah, Urdu Shairy,
»»  read more

Monday 13 January 2014

Dil mein afsos, ankhon mein nami si rehti hai, Wasi Shah, Wasi Shah Poetry, Wasi Shah Urdu Poetry,


Dil mein afsos, ankhon mein nami si rehti hai
Zindagi mein shayed koi kami si rehti hai,

Mujhe se rooth jatey hain aksar Wasi
Shayed mere khuloor mein kami si rehti hai.
»»  read more

Sunday 15 December 2013

Wasi Shah, Wasi Shah Poetry, Wasi Shah Urdu Poetry, Urdu Poetry By Wasi Shah,

Kon rota hay yaha raat k sanatto main
Mere jaisa he koi hijar ka mara hoga,
Kam mushkil hay magar jeet he longa us ko 
Mere mola ka wasi johi ishara hoga.
»»  read more

Tuesday 6 November 2012

Wasi Shah Best Poetry Collection

Ajeeb Saniha Gzra he mujpy aj ke sham
Me aj ki sham tmhary hijr me Udas na tha

Ab 1 sal to ye 1 Gham kafi he
Tmhary Salgira py bhe tmhary sath na tha

Wasi Shah
------------------------------------------
------------------------------------------
------------------------------------------

Ab magr Kuch bhi Nhi Kuch Bhi nhi ho sakta
Apny Jazbon se Yeh Rangen Shrarat na kro

Ktni masoom ho Nazuk ho hmaqat na kro
Bar ha tum se kha tha k muhabat na kro

Wasi Shah
-------------------------------------------
-------------------------------------------
-------------------------------------------
Diya Diye se jala lon to Chain ay mjy
Tmhain galy se lga lon to chain aay mujy

Muhabton ke sheefy hain ya azaab koi???
Tery Khatoot jla lon to chain aay mjy....

Wasi Shah
--------------------------------------------
--------------------------------------------
--------------------------------------------

More Poetry of Wasi Shah
Images For Wasi shah Poetry
Syed Wasi Sha Poetry Collection
»»  read more