Showing posts with label Faiz Ahmad Faiz. Show all posts
Showing posts with label Faiz Ahmad Faiz. Show all posts

Monday 29 July 2013

Sach Hai Hamee'n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”,
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay..!
»»  read more

Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya

Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke.!
»»  read more

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se
Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se
Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se
Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se
Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se
Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se.!
»»  read more

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain
Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain
Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain
Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain
Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain
Chalo “Faiz” Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain
»»  read more

Phir nazar mein phool mehke

Phir nazar mein phool mehke, 
Dil mein phir shamain jali’n,

Phir tassawur ne liya,
Us bazmm mein jaane ka naam.!
»»  read more

Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K

Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar K
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-e-Gham Guzaar K
Viraan Hai Maikada Khum-o-Sagar Udaas Hai
Tum Kya Gaye K Rooth Gaye Din Bahaar K
Ik Fursat-e-Gunah Mili, Wo Bhi Chaar Din
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digaar K
Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gham Rozgaar K
Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aaj ‘Faiz’
Mat Puch Val-Vale Dil-e-Na-Kardahkaar K.!
»»  read more

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia..!
»»  read more

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge
Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge
Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge
Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge
Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge
Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge
Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge
»»  read more

Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge

Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge,
Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin dete.!
»»  read more

Wednesday 7 December 2011

Mere Qatil, Mere Dildaar Mere Paas Raho

Mere Qatil, Mere Dildaar Mere Paas Raho
Jis Ghari Raat chalay
Aasmaano'n ka Lahu Pi Kar Siyaah Raat chalay
Marham-e-Mushk Liye Nashter-e-Almas chalay
Bain Karti Hui, Hasti hui Gaati Niklay
Dard ka Kaasni Pazaib Bajati Niklay
Jis Ghari Seeno'n Main Doobtay Huvay Dill
Aasteeno'n Main Nihaa'n Haatho'n ki Raah Taknay Lagein
Aas Liye
Aur Bach-Cho'n kay Bilaknay ki Tarah QulQul-e-Mai
Beher-e-Naa-Aasudgi Machlay to Manaaye na Manay
Jab koi Baat Banaaye Na Banay
Jab Na koi Baat Bhalay
Jis Ghari Raat Chalay
Jis Ghari Maatami Sunsaan Siyaah Raat chalay
Paas Raho...
Mere Qaatil Mere Dildaat Mere Paas Raho
(Faiz Ahmad Faiz)

»»  read more