Showing posts with label December Poetry. Show all posts
Showing posts with label December Poetry. Show all posts

Monday, 5 May 2014

December, Poetry in Urdu, December aa kar guzar jay ga

December aa kar guzar jay ga


December aa kar guzar jay ga
Ik pair k na jany kitny paty gir jay ge

December aa kar guzar jay ga
Chirya chkain gi yakhbasta raton main
Or Pairon pe aa kar ye gumsum rhain gi

Na koi hari shakh hogi
Na koi pata ho ga

December aa kar guzar jaay ga
Kitny parindy be gar ho jayn ge

Jala dy gi un ko disambar ki sard hawa
Na jany kitny khuab bina tabir dhul jay ge

December aa kar guzar jay ga
Ik pair k na jaany kitny paty gira jay ga
December aa kar guzar jay ga
December aa kar guzar jay ga
»»  read more

Wednesday, 2 April 2014

Jab Muhabat hi nahi darmiya

Bas yhi aadat us ki mujhy boht achi lagti hai
Udas kar k mujhy khud bhi wo khush nahi rehti


Mery Ban Jao


Or zamanat wafa ki kiya hogi
Tum meri Sans girwi rakh lo


Mery Ban Jao


Mujhy bhi aainy jesa kamal hasil he
Me tot ta hon to phir beshumar hota hon


Mery Ban Jao


Tumhari thi shrarat mehndi se hatheli py nam likhna
Or mujhy ruswa kar diya tum ne yonhi khelty khelty


Mery Ban Jao


Ulja rahi he mujhko Yhi kashmaqas Musalsal Mohsin

Wo aa basa he mujh me ya main us main kho gya hon


Mery Ban Jao


Jab Muhabat hi nahi Darmiyan
wo Rothain kia Hum manay kia


Mery Ban Jao

»»  read more

Saturday, 29 March 2014

Rainy Day Sms

Aaj bhi wesa hi mosam he
Aaj bhi wesy hi badal hain

Aaj bhi wei hi barish he
Jab ham pehli bar mily thy

k yad he hum ne ye socha tha
hum ko milty dekh kar mosam

itna khush he itna khush
k iski aankhain bhig gai hain

Magar aaj ye jaan gaye hain
Mosam is din ku roya tha




Mery Ban Jao



Is barish k mosam main ajeeb si kashish he
Na chahty hoy bhi koi shidat se yaad aata he



Mery Ban Jao


Wo to kuch hogi tum se muhabat warna
Hum wo khud sar hain k apni bhi tamana na karain


Mery Ban Jao


Dua he barish k jitny qatry girain
itni hi aapko khushiyan mily


Mery Ban Jao


Wo janta tha bohat Pasand hain barshain mujhy
Is liye shayed

wo jaty samy meri aankhon ko wo de gya he sawan ka pta


Mery Ban Jao


Nadan thy jo rakhty thy umeedain kisi par
Zat-e-Allah k ilawa koi kisi ka nahi hota


Mery Ban Jao


Barish hoi to ghar k darechy se lag k
chup chap sogwar tujhy sochty rahy


Mery Ban Jao
»»  read more

Wednesday, 26 March 2014

Best Two line Poetry of WASI SHAH

Me kesy Sard Hathon se tumhary gal chota tha WASI
December me tumhain meri shararat yaad  aay gi

Mery Ban Jao

Tumhara naam likhny ki ijazat Chin gyi jab se
Koi Bhi lafz Likhta Hn to aankhan Bheeg jati hain

hazar mosamon ki hukmarani he mery dill par
WASI me jab bhi tanha hon to aankhain bheeg jati hain

Mery Ban Jao

Dill me afsos ankhon me nami si rehti he
Zindagi me shayed koi kami si rehti he

Mujh se roth jaty hain aksar apny Wasi
Shayed mery khalos me koi kami si rhti he

Mery Ban Jao

Ye zabat chot gya to tumhari yaad aai
Me thak k toot gya to tumhari yaad aai

Tumhary bad na tha koi meri dill k siwa
Ye dill bhi roth gya to tumhari yaad aai

Mery Ban Jao



Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          
»»  read more

Monday, 16 December 2013

Lot ao k meri trha disambar bhi thora rh gya he

Kha Tha Mery Hamdam ne mily gy disambar me
Lot ao k meri trha disambar bhi thora rh gya he

Mery Ban Jao

Boht Magroor hoty ja rhay ho
Mohabat Me kami Karni Pary Gi

Mery Ban Jao

Jag Wala Mela Yaron thori Jai Der Da
Hasdiya rat lagi Pata nai Sawer da

Mery Ban Jao

Brha k piyas meri us na haath chor diya
Wo kar rha tha mrawat bhi dill lagi ki tarha

Kanch Jesy hoty hain Hm tanha logon k dill
Kabhi toot jaty hain kabi tor diye jaty hain

Mery Ban Jao

Phir mosam sard disambr me agaya
Zed Ko phir se yadon ki prwaiyan mili

Mery Ban Jao
»»  read more

Saturday, 9 November 2013

Best of Best December Urdu Poetry Collection December Poetry

Wo Jisy Barish Pasand Na thi
Na Jany Q aaj Dair tak tanha
December ki barish me Bhegta raha

Mery Ban Jao

Bas Aaik hi Sur Me Aak hI Ly pay Subha Se
Dekh Dekh Kesy Baras Raha He Udaas Paani

Phwaar Ke malmlain dopaty se ura Rahy Hain
Tamam Mosam Tapak Raha he

Palak Palak ras rahi he Qaynaat sari
Har aik shay bheeg bheeg kar Dekh kesi bojal si Ho gai he

Dimag ki Gili Gili Sochon se
Bhigi bhigi udaas ratain tapak rahi hain

Thaky thaky sy badan me bas dhery dhery se
Sans ka Garm lobaan jal rha he

Mery ban jao

Ik baar to milny aao december aany wala he
Kesa Guzra he ye sall batao December aany wala he

Khush ho jao K milny ka saal aa rha he phir
wasi youn na aanso bahao december aany wala he

Shayed ab k baras bhi wo lot kr na aay
Tanhaiyon abhi chor kar na jaao December aany wala he

Ae mery dukhon k sathiyo Khush ho jao
Apny apny Ghron Ko sajao December aany wala he

Kia pata Phir december aay na aay Jany (WASI)
Meri mano ab tum lot aao december aany wala he
Han December aany wala he.

Mery Ban Jao

Thathrati hoi shab-e-siya or wo bhi taweel tar mohsin
Hijer k maron py qayamat he December

Mery Ban Jao

Muhabat to barish he Jisy Chony ki khuwahish me
Hatheliyan gili ho jati hain Magar hath hmesha Khali Rehta hain

Mery Ban Jao
»»  read more

Thursday, 29 December 2011

Koi chaara, koi Ism-e-Mohabbat hai to day jao,




Koi chaara, koi Ism-e-Mohabbat hai to day jao,

Mujhy yeh was-wasa hai keh, December Jaan lay lay ga.



»»  read more

Bari Dilchasp manzil hai key, Mausam per Raqabat hai,



Bari Dilchasp manzil hai key, Mausam per Raqabat hai,

Mujhy Ulfat  December say, Unhein Nafrat December say!

»»  read more

Kabhi Nazmo'n kay tukron main, kabhi Aashiq kay Qisso'n main..



Kabhi Nazmo'n kay tukron main, kabhi Aashiq kay Qisso'n main..

December..! Go nahi "YOUSAF" magar her saal bikta hai!!!

»»  read more

Firaaq-e-Yaar ki Lambi Raatein, Udaas Shamein....



Firaaq-e-Yaar ki Lambi Raatein, Udaas Shamein....

Bas bhi kar December, Kya youn hi Maar Daalay ga ?

»»  read more

Khamosh Aasmaan,



Khamosh Aasmaan,
Maayoos Parinday,
Veeran Vaadiyaan,
Sard Alam
Aur
Tumhari Yaadon kay Silsilay...
Uff yeh December tanha kyun nahi aata.




»»  read more

Monday, 26 December 2011

Koi Chaara, Koi Ism-e-Mohabbat, Hai to Day Jao...






Koi Chaara, Koi Ism-e-Mohabbat, Hai to Day Jao...

Mujhy Yeh Was-Wasa hai Keh, December Jaan Lay-Lay Ga.
»»  read more

Sunday, 25 December 2011

Saal Ki Taveel Raat 22 December kay Naam



 
*+*Saal Ki Taveel Raat 22 December kay Naam*+*

22 December hai or hamaray Rishtay ka Sahil bhi,
Yaad hai jab zindagi kay ik chorahay per,
Isi din tum nay hum ko MAIN or TUM main banta tha,
Per janay kyun us din Tumhara yeh fiasla maan liya main nay,
Shayad wo 22 December thi is liye ya phir...
Hamaray Rishtay mai December Tay ho gaya tha,
Kyun keh, December hota hi hai roop Sard Muhri ka..
Faaslo'n ka, Dooriyo'n ka, Or Lash say sard Ehsaas ka,
Haan Shayad, bohot huwa yeh December ab,
Hum main hayal honay na paye,
Chalo! Es sard December ko June ki Garmi Bakhshein,
22 December ka Aao Faisala Badlein.!!






»»  read more

Saturday, 24 December 2011

Aay December kuch hosh to kar yeh Tujhy kya hua..






Aay December kuch hosh to kar yeh Tujhy kya hua..

Bin Barsay Guzar Jana Teri aadat pehlay to Na Thi
»»  read more

Monday, 19 December 2011

Phir Wohi Raat






پھر وھی رات، سرد ھوا اور تنہائی کا عالم
گمان ھوتا ھے اس بار دسـمبر مار ڈالے گا




»»  read more

Saturday, 17 December 2011

December Tum Mat Aya Karo !



December Tum Mat Aya Karo !

Suno K ...

Jab Bhi Tum Aate Ho .
Uddasion Ki Andekhi . 
Barishoon Main Dil Ko Bhigo Dete Ho .
Tum Aate Ho Tu Barfeeli Si Tanhaiyoon Ki .
Sard Hawa Kantoon Ki Tarha Rag-e-Jaan Main Chubne Lagti Hai .
Aur Akeele Pan Main Dukh Jaag Kar .
Neendoon Ko Nigal Jate Hain
Aur Jo Apne ...
Judaai Ki Dhund Main Kho Gaye Hein .
Humse Bahut Dur Hogaye Hain .
Unki Yaad Phir Se Aane Lagti Hai .
Suno December
TUM MAT AAYA KARO..

 



»»  read more

Monday, 12 December 2011

Guzar Jata hai Sara Saal Yoo'n To







Guzar Jata hai Sara Saal Yoo'n To...

Nahi Kat-ta Magar Tanha 'December'.



»»  read more

Sunday, 11 December 2011

Special Dua For You!



Special Dua For You!

December say December tak,
Tumharay Dill ki Har Khwahish,
Tumharay Dill ka har Armaan
Tumharay Honto'n say Nikli har aik dua,
Is Tarah say puri ho,
keh,
Jaisay Phool main khushbu basi hai,
Aanay wala saal, janay walay saal say Behter
Aur Khoobsurat ho.
Ameen




»»  read more

Wo Mujhy Somp Gaya Fursatein December ki..


Wo Mujhy Somp Gaya Fursatein December ki..

Darakht-e-Jaan Pe Wohi Sardiyon ka Mausam hai.!
»»  read more

Friday, 9 December 2011

December kay Maheenay ka wo shayad Aakhri din tha


December kay Maheenay ka wo shayad Aakhri din tha
Baras guzray kaii,
Main nay Mohabbat Lafz likha tha
Kisi Kaghaz kay tukray per !
Achanak yaad aaya hai
Baras guzray kaii,
Mujh ko kisi say baat karni thi
Usay kehna tha
Jaan-e-Jaa'n!
Mujhy tum say Mohabbat hai!
Magar main keh nahi paya
Wo kaghaz aaj tak lipta para hai Dhool mai Lekin..
Kisi ko day nahi Paaya..
Dobara chah kar bhi Main Mohabbat kar nahi paaya!
»»  read more