Showing posts with label 4 LINE URDU Poetry. Show all posts
Showing posts with label 4 LINE URDU Poetry. Show all posts

Thursday 24 April 2014

Manzil Na De Charaagh Na de hausalaa Toh De


Manzil Na De Charaagh Na de hausalaa Toh De
Tinake Ka Hi Sahi Tu Magar Aasaraa Toh De...

Main Ne Ye Kab Kahaa Ke Mere Haq Mein Ho
Jawaab
Lekin Khaamosh Kyun Hai Tu Koi Faisla To
De... !!
»»  read more

Wednesday 16 April 2014

Kabhi Usko Bhi Meri Yaad Sataati Hogi.


Kabhi Usko Bhi Meri Yaad Sataati Hogi.
Apni Aankhon Mei Mere Khawab Woh Bhi Sajaati Hogi.

Woh Jo Har Waqt Khayaalon Mei Basi Rehti Hai.
Kabhi To Woh Meri Bhi Yadon Mei Kho Jaati Hogi…
»»  read more

Wo Howay Mujh Se Juda Main Kia Karon.


Wo Howay Mujh Se Juda Main Kia Karon.

Aye Mere Dil K Khuda Main Kia Karon.

Waqt-E-Rukhsat Ro Ro Mur Mur K Dekhna,

Yaad Hai Har Ek Adaa Main Kia Karon.

»»  read more

Wednesday 9 April 2014

Patthar jaisa kisi ka dil na ho....


Patthar jaisa kisi ka dil na ho....
Bhikhare huye sapne kisi ki taqdeer me na ho...

Koi kisi ko chahe to woh usi ka ho.....
Warna umar bhar ka intezar kisi ke nasib me na ho....
»»  read more

Do hi lafzon ka tha woh afsana.


Do hi lafzon ka tha woh afsana.
Jo suna kar khamosh ho baithey.

Ibteda ye k tum ko chaha tha.
Inteha ye k khud ko kho baithey. 
»»  read more

kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain.


kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain.
Raastay saray teray ghar ki taraf jatey hain.

ik junoo'n hai jo mujhay dasht mai le jata hai
warna pyasay to samandar ki taraf jatey hain
»»  read more

Sunday 6 April 2014

Zaban To Keh Nahi Sakti


Zaban To Keh Nahi Sakti, 
Tumhein Ehsaas To Hoga

Meri Aankhon Ko Parh Lena, 
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai..

»»  read more

Saturday 22 March 2014

Sukoon Milta Hai Jab Un Se Baat Hoti Hai


Sukoon Milta Hai Jab Un Se Baat Hoti Hai
Hazaar Raato'n Me Wo Ik Raat Hoti Hai

Nigah Utha K Wo Dekhein Kabhi Jo Meri Taraf
Wo Hi ik Nigah Meri Kainaat Hoti Hai ...!!!
»»  read more

Sunday 16 March 2014

Apna b Dard mujh ko mere yaar de,


Apna b Dard mujh ko mere yaar de,

Kuch apni Zindagi pe mujhe ikhtiyar de,

Aysa na Ho k kal Tu mera Saath chor de,

Jitna Nibha saky mujhe utna Hi Pyar de,.
»»  read more

Saturday 15 March 2014

kya Karun Kuch Samjh Me Nahi Aata


kya Karun Kuch Samjh Me Nahi Aata
Tera Ruthna Ab Saha Nahi Jata

Ho Sake To Itni Jaldi Tu Aaja Pass Mere
Ki Bin Tere Ek Pal Bhi Raha Nahi Jata..
»»  read more

Tamam umar wo fasly yun hi barhata raha


Tamam umar wo fasly yun hi barhata raha
majburiyan bayan kar k wo yun hi rulata raha

jab kabhi us sy bichrny ki bat ki hum ny
wo apny pyar sy humein yun hi behlata raha
»»  read more

Thursday 6 February 2014

Husnn daulat ka saath deta hai...

Kaun sood-o-ziyaa’n ki duniya mein,
Dard-e-ghurbat ka sath deta hai,

Jab muqaabil hon ishq aur daulat,
Husnn daulat ka saath deta hai..

(sood-o-ziyaan;profit)
»»  read more

Friday 31 January 2014

Qissa Abhi hijab se agey nahi barha..

Qissa abbi hijaab se agey nahi barha,
Main ap, abhi janab se agey nahi barha,

Lekin mein pehle baab se agey nahi barha..
Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,
»»  read more

Hum bhi hon ge...

Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar,
Magar ik bhoolay huye qissay ki tarah,

Kabhi jo na baant pao ge dard to yaad aonga,
Hum tum jo they aik jism ke hissay ki tarah.!
»»  read more

Khushi k geet gaaney ko

Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai,
Naseeb-e-gham bhulaaney ko zara si baat kaafi hai,

Ghareeb-e-sheher ke ghar udaasi laakh rehti ho,
Magar hansne hasaaney ko zara si baat kaafi hai..!
»»  read more

Zindagi khaak na thi

Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri,
Tujhse kya kehtey tere pass jo Aatey guzri,

Din jo guzraa to kisi ki yaad mein guzra,
Shaam ayi to koi khawb dikhatey guzri.!
»»  read more

Sunday 12 January 2014

Ussay Main Dil Mein Rakh Leta,


Ussay Main Dil Mein Rakh Leta, 
Agar Hota Yeh Bas Mein Mere…

Ussay Sab Dekhtay Hain, 
MuJh Se Yeh Dekha Nahi Jaata
»»  read more

Saturday 11 January 2014

Dooriyan bahot hain par itna samajh lo,


Dooriyan bahot hain par itna samajh lo,
Paas rehkar hee koi rishta khaas nahin hota,

Tum dil ke paas itne ho,
Ke door rehkar bhi dooriyoon ka ehsaas nahin hota…
»»  read more