Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts
Showing posts with label Qateel Shifai. Show all posts
Thursday, 6 February 2014
at 00:54 | 0 comments | Ghazal's, Qateel Shifai
Tere mehndi lage hathon pe mera naam...
Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,
Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai,
Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori,
Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,
Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,
Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai,
Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,
Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,
Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,
Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,
Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,
Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai..
(pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)
at 00:53 | 0 comments | Ghazal's, Qateel Shifai
Lamha Bhar Apna Hawaon Ko...
Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay
Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay
Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay
Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga
So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay
Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?
at 00:52 | 0 comments | Aansoo Shairy, Ghazal's, Qateel Shifai
Teri khushbuu meri saanson main...
Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,
Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,
Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,
Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,
Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,
Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,
Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,
Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,
Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,
Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,
Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,
Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,
Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..
at 00:51 | 0 comments | Dard Poetry, Ghazal's, Qateel Shifai
Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon...
Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho
So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho
Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair
Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho
Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib
Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho
Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye
Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho
Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay
Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho
Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga
Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho
Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay Qateel
Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho
Ho na ho yeh koi sach...
Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel,
Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain.!
at 00:48 | 0 comments | Ghazal's, Qateel Shifai
Sadmaa to hai mujhe bhi...
Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon main,
Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon main,
Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf,
Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon mein,
Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath ,
Har roz ek shaks neya dekhta hoon ,
Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam ,
Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main,
Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb,
Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main,
Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”,
Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main.!
at 00:47 | 0 comments | Ghazal's, Qateel Shifai
Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye...
Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay
Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay
Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay
Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay
Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko
Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay
Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”
Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay.!
at 00:46 | 0 comments | Ghazal's, Qateel Shifai
Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..
Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..
Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe..
Main ghar se teri tamanna jub pehan k niklun..
Barhana shehr main koe nazar na aye mujhe..
Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom..
Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe..
Wo mehrbaan hai to iqraar kyu nahi kerta..
Wo bdguman hai to so bar azmaye mujhe..
Main apni zaat main neelam horaha hun QATEEL,
Gham-e-hayaat se keh do k kharid laye mujhe..
Subscribe to:
Posts (Atom)