Showing posts with label Romantic Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Romantic Urdu Poetry. Show all posts

Friday, 26 September 2014

Sad Urdu Poetry

Yaad kar k mujhy nam ho gyi ho gayi hon gi ankhain
Aankh me par gya kuch kh kar ye tala hoga.

Sad Urdu poetry

Phir nahi basty wo dill ik bar ujar jaty hain
qabrain jitni bhi sanwron wha ronak nhi hoti.

Sad Urdu poetry

Eid k chand ko dekhy na koi mery siwa
Is k deedar ko ik saal guzara me ne

Sad Urdu poetry

Kisi dushman ne ye izat mujhy ab tak nahi bakhshi
hamesha dost hi ka hath pohncha he gareban tak

Sad Urdu poetry

Wafa ki talash to be wafaon ko hoti he faraz
Hum ne to dunya hi chor di kisi ki wafa k liye

Sad Urdu poetry

Mery mola karam kar dey to aesa kar bhi sakta he
Mery hathon ki janeb dekh inhain to bhar bhi sakta he.

Sad Urdu poetry

Kai kam rh gye hain teri yaad ki waja se
tery sath bhi khasara tery bad bhi khasara

Sad Urdu poetry

Na jany ku itna yaqeen he teri wafa par ae dost
Warna husn waly to khud se bhi wafa nahi karty

Sad Urdu poetry

Main khud harean hon apny sabar ka pehlu dekh kar
Tum ne yaad karna chor diya par me ne intazar karna nahi chora.

Sad Urdu poetry

Tash ka paton ki manid he zindagi meri FARAZ
Jis ne bhi khela taqseem kar diya mujhy

Sad Urdu poetry

Kabhi waqt mila to suljaon ga teri sabhi uljanain
Abi to khud ulja hoa hon waqt ko suljaany me

Sad Urdu poetry

Yaad aayn gi us waqt meri wafayn
Jis waqt kisi ghair pe bedad kro ge.



»»  read more

Tuesday, 16 September 2014

Sad Urdu Poetry, Romantic Poetry, love poetry for her

Koi agar khalos-e-Dill se parhy mujhy
Me sar basar kitab tamanna dikhai doon

Har aeb shi mujh me magar aaj bhi mujh ko
Apno se khafa hony ka andaaz na aaya.

Mery Ban Jao
Mear kia hall he tery bina kabhi dekh to le
Ji rha hon tera bhula hoa wada ban kar.

Mery Ban Jao
Kal tak tha ahsaas kisi k hony ka
Aaj he sirf dard us ko khony ka

Hum dono ka nahi tha qasoor is me
Taqdeer ka fesla tha juda hony ka

Mery Ban Jao

Samjh jata hon lekin dair se me dao paich us ke
Wo bazi jeet jaata he mery chalak hony tak.

Mery Ban Jao

Aanso ahain tanhai werani or  Gham musalsal
Ik zara sa Ishk hoa tha kia kia virasat me de gya.
»»  read more

Monday, 14 July 2014

Do pall ruka Khuabon ka karwa Written Ghazal

Do pall ruka Khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi Ye Dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha

Tum thy k thi koi ujli kiran
Tum thy ya koi kali muskai thi

Tum thy ya sapno ka tha sawan
Tum thy k khushiyon ki ghata chai thi

Tum Thy k tha koi phool khila
Tum Thy ya mila tha mujhy naya jaha

Do pall ruka khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi ye dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha

Tum thy ya khushbo hawaon me thi
Tum thy ya rang sari dishaon me thy

Tum thy ya roshni rahon me thi
Tum thy ya k gonj fizaon me thi

Tum thy mily ya mili thi manzalain
Tum thy ya tha jado bhara koi sama

Do pall ruka Khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi Ye Dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha
»»  read more

Monday, 16 June 2014

Best Two lines urdu Poetry

Or zamanat Wafa Ki kia hogi


Or zamanat Wafa Ki kia hogi
Tum Meri Saans Girvi Rakh lo

two lines urdu poetry

Mujhy bhi aayny jesa


Mujhy bhi aayny jesa kamal hasil he
Me tot ta hon to phir be shumar hota hon

two lines urdu poetry

Aasani Se koi mill jay to wo qismat ka sath he

Aasani Se koi mill jay to wo qismat ka sath he
Soli Par charh kar bhi jo na milain usy muhabat khty hain

two lines urdu poetry


Meri Hesiyat ka Andaz Tum


Meri Hesiyat ka Andaz Tum ye jaan kar laga lena
Hum kabhi un k nahi hoty jo har kisi k ho jayn

two lines urdu poetry


Rishwat bhi nahi leta kambakhat


Rishwat bhi nahi leta kambakhat jaan chorny ki
Ye Ishk mujhy Boht Imandar lagta he

two lines urdu poetry


Toot Jata he ghreebi me wo rishta


Toot Jata he ghreebi me wo rishta jo khas hota he
Hazaron yaar banty hain jab pesa paas hota he

two lines urdu poetry


Mera Karnama zindagi meri hasraton


Mera Karnama zindagi meri hasraton k siwa kuch nahi
Ye kia nahi wo hoa  nahi ye mila nahi wo raha nahi

two lines urdu poetry


Humy tum bhol jao gy Humain maloom he


Humy tum bhol jao gy Humain maloom he Lekin
Palat kar jab bi aao gy muhabat muntazir hogi

two lines urdu poetry


Muhabat kar k dekhi he muhabat saaf 


Muhabat kar k dekhi he muhabat saaf dhokha he
Ye sab khny ki batain hain phir kon kis ka hota he

two lines urdu poetry


Mery Myar ko samjhny keliye


Mery Myar ko samjhny keliye itna hi kafi he
Me Us ka hargiz nahi hota jo har kisi ka hota he

two lines urdu poetry



»»  read more

Monday, 9 June 2014

Muhabat kiss ko kehtay hain, Romantic Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Romantic Sms, Urdu Sms,


Muhabat kiss ko kehtay hain
Hamay tum nay sikhaya tha,

Ibadat kis ko kehtay hain yeh bhi tum nay bataya tha
Magar jab hum muhabat ki kisi wadi main khoya thay,

Suhanay khawab mairi jaagti ankhoon main soyay thay
Hamain tanha kiya tum ne koi awaz tak na dee,

Humhain dhoondha bohat sapnay sajati mairi aankhooN ne
Buhat khushfehmian palay,

Buhat hi door ja niklay
Jahan say loot anay main,

Hamay ik umer lagni thee
To uss damm aik pal socha!,

Keh kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain
Kisi nayi oor ja niklain,

Kisi kay sath phir hum bhee
Khail muhabat ka phir khailain,

Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain,

Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahen balkay dharakta dill hi rakhtay hain.
»»  read more

Thursday, 22 May 2014

Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle


Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,

Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle.
»»  read more

Saturday, 17 May 2014

Teri yaad ka manzar bhi ajeeb hai



Teri yaad ka manzar bhi ajeeb hai
Dur ho kar bhi tu mere kitna kareeb hai,

Teri mohabbat to mil gyi isi me khush hu mai
Tera milna na milna ye to sab naseeb hai,

Wo itrata hoga tujhe mujhse chhin kar
Magar use kya pta jeet kar bhi har gya mera raqeeb hai,

Daulat ka kya aaj teri to kal kisi aur ki hogi
Jiske pas pyar ki daulat nahi wo sabse bda gareeb hai.




Romantic Sms, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu Romantic Sms, 
Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,
»»  read more

Wednesday, 7 May 2014

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho


Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho
Merey He Dil Mei Utar Gye Ho,

Kis Ki Chahat Ka Ye Asar Hy
Ke Raiza Raiza Bikhar Gye Ho,

Tum Hi To Ho Jo Hamary Dil Ki
HadoN Ko Chu Kr Guzar Gye Ho,

Hamara Thaamo Ge Haath Kia Tm
Abhi Se Dunya Se Dar Gye Ho,

Chaley Gye Ho Nazar Jhuka K
Humein Deewana Sa Kr Gye Ho,

Bhool Bethy Ho Ehed Saary
Abhi Se Kiu Tm Mukr Gye Ho,

Dhoondtee Hy Nazar Ye Tm Ko
Aa Bhi Jaao Kidhr Gye Ho.
»»  read more

Tuesday, 6 May 2014

Allama Iqbal urdu poetry

Tujhy yaad kia nahi he


pakglob.com
Tujhy yaad kia nahi he mery dill ka wo zamana
Wo adab khe muhabat wo nigh ka taziyana

Ye btany asr hazr k bny hain mdrasy main
Na aday kafrana na trashe azadana

Nhi is khuli fiza main koi ghosha e faraght
Ye jha ajab jaha he na qafas na ashiyana

Rag tak muntazir he teri barish karm ki
Ik ajam k me kadon main na rhi he mgana

Mery Hum safeer Isy Bhi asre bhar samjhy
Inhain kia khabar k kia he ye noway ashqana

Mery khak o Khun se tuny Ye Jaha kia he paida
Silae sheed kia he Tab-o-Tab jawedana

Teri banda parwari se mery din guzar rhy hain
Na gila he doston ka na shikayat-e-zamana


Gulzare hast by Allama Iqbal

www.webpakistani.com


Gulzare hast o bodna begana war dekh
He dekhny ki chiz is bar bar dekh

Aaya he to jaha main milae sharar dekh
Dan de na jay hasti Napaydar dekh

Mana k Teri deed k qabil nahi hon main
To mera shok dek mera intazar dekh

Kholi hain zok deed ne aankhin teri agar
Har rbgzr main naqash kafe pay yar dekh

Sitaron k jaha or bhi hain


Sitaron k jaha or bhi hain
Abhi ishk k imtaha or bhi hain

To shahen he parwas he kam tera
Tery samny asmaa or bhi hain

Agar kho gya ik nasheman to kia gham
Maqamat ao o fgha or bhi hain

Isi roz o shab main ulaj kar na reh ja
K tery zaman o muska or bhi hain

Gye din k Tanha tha is anjuman main
Yaha ab mery raz daan or bhi hain


Jab Ishk sikhata he aadaab khud aagahi 


Jab Ishk sikhata he aadaab khud aagahi
wurdu.files.wordpress.com
Khilty hain gulamon par israr shnashahi

Atar ho Romi ho Razi ho Ghazali ho
Kuch hath nahi aata be aa shr gahi

Ae taer lhoti is rizq se mot achi
Jis rizk se aati ho parwaz main kotahi

Dar o skandar se wo mard faqeer ola
Ho jis ki faqiri me boy asd Ilahi

Aayn jawa marda haq goy wo be baqi
Allah K sheron ko aati nhi Robahi


peoples views on allama iqbal by Malik Jee
»»  read more

Monday, 5 May 2014

Romantic urdu poetry 2

Bharkayn Meri Piyas ko aksar teri aankhain


Bharkayn Meri Piyas ko aksar teri aankhain
Shra mera chehra he samandar teri aankhain

Phir kon bla dad tabsumm inhain de ga
roy gi mujh se bichar kar teri aankhain

Bojal nazar aati hain bazahir mujhy lekin
Khlti hain boht dill me utar kar teri aankhain

Ab tak meri yadon se mtay nhi mtta
Bhigi hoi sham ka manzar teri aankhain

Mumkin ho to ik taza ghazal or bhi kh lon
Phir Orh na lain khuab ki chadar teri aankhain

Yon dekhty rehna usy acha nahi Mohsin
Wo kanch ka pekar he to pathar teri aankhain


Mohsin
»»  read more

Romantic Urdu Poetry 1

Manzil gham ki fizaon me


Manzil gham ki fizaon se libat kar ro lon
Tery daman ki hawaon se lipat kar ro lon

Jame may peny se pehly mera ji chahta he
Bikhri zulfon ki ghtaon se lipat kar ro lon

Ghanchon ki nigahon me nigahain dalon
Surkh pholon ki qabaon se lipat kar ro lon

Aany waly tery rasty me bichaon ankhain
Jany waly tery paon se lipat kar ro lon

Apny Majbor taqadus k shary Sagir
Der o kaba k khudaon se lipat kar ro lon

Romantic Urdu Poetry
»»  read more

Sub se juda lagti ho

Sub se juda lagti ho


Sub me shamil ho magar sub se juda lagti ho
Sirf hum se nahi khud se bhi khafa lagti ho

Aankh uthti he na Jpakti he kisi ki khatir
Sans charhti he na rukti he kisi ki khatir

Jo kisi dar pe na thry wo hawa lagti ho
Zulf lhray to aanchal me chupa leti ho

Hont thrtray to danton main dab leti ho
Jo kabhi khul kar na barsy wo ghata lagti ho

Jagi jagi nazar aati ho na soi soi
Tum jo ho apny khyalat me khoi khoi

Kisi mayus mswair ki dua lagti ho
Sub me shamil ho magar sub se juda lagti ho
»»  read more

December, Poetry in Urdu, December aa kar guzar jay ga

December aa kar guzar jay ga


December aa kar guzar jay ga
Ik pair k na jany kitny paty gir jay ge

December aa kar guzar jay ga
Chirya chkain gi yakhbasta raton main
Or Pairon pe aa kar ye gumsum rhain gi

Na koi hari shakh hogi
Na koi pata ho ga

December aa kar guzar jaay ga
Kitny parindy be gar ho jayn ge

Jala dy gi un ko disambar ki sard hawa
Na jany kitny khuab bina tabir dhul jay ge

December aa kar guzar jay ga
Ik pair k na jaany kitny paty gira jay ga
December aa kar guzar jay ga
December aa kar guzar jay ga
»»  read more

Two lines sms poetry

Achy Lagy Jo tum so hum ne bata diya


Achy Lagy Jo tum so hum ne bata diya
Nuqsan ye hoa k Tum Magrur ho gye

Mery Dill main koi masum bacha he shayed


Mery Dill main koi masum bacha he shayed
Jo tujhy sochta rehta he kisi shararat ki trha

Kon Thy wo log Jinho ne pa liya


Kon Thy wo log Jinho ne pa liya Tujhy ya Rab
Humain to mushkil ho gya ik insan ka hasil hona


Malum hota he bhul gye ho shayed


Malum hota he bhul gye ho shayed
Ya phir kamal ka sabar rakhty ho


Wafa ki talash to be wafaon ko hoti he


Wafa ki talash to bewafaon ko hoti he FARAZ
Hum ne to dunya hi chor di kisi ki wafa k liye


»»  read more

Hum To therhy Ajnabi

Hum To therhy Ajnabi


Hum to thery ajnabi itni mudaton k bad
Phir banain ge aasna kitni mulaqaton k bad

Kab nazar aay gi be dagh sabzy ki bahar
Khon k dhaby dhulain ge kiti barsaton k bad

Tujhy boht dard lamhy khatam dard ishk k
Thi boht be mhar Sabhi mhba raton k bad

Dill to chaha shikast dill ne mhlat hi na di
Kuch shikwy Bhi kar lety manajato k bad

Un se jo khny gye thy faiz ja sadka kiye
Un khi hi rh gyi wo baat sub baton k bad

»»  read more

Farzana Naina, Piyason k wasty yhi Naina Bhary bhary

Manzil Ko Kabhi Rabgzr main Kabhi Rakh Diya karo
Apni Talab safar main kabhi rakh diya karo

Jin par wsal yar ka tari rhy Nasha
Wo hosly na dar me kabhi rakh diya karo

Mumkin he us ko bhi kabi le aay chand raat
Kuch Phol sony ghr main kabhi rakh  diya karo

Halat main pasi hoi majboryon ko tum
Ahbab ki nazar main kabhi rakh diya karo

Piyason k wasty yhi Naina Bhary bhary
Jalty julsty Thar main kabhi rakh diya karo

Farzana Naina
»»  read more

Urdu Ghazals

Jab Rim Jim Rim Jim Barish he


livelypakistan.blogspot.com Photo Of Poet Wasi Sha
Jab rim jim rim jim barish he
Har simat nami cha jati he

Or sabza sabza kaliyon par
Moti se giraati he

Pholon ki kalyan has has kar
Shabnam k aansu roti hain

Jis waqt ufaq k bistar main
Surij Ki kirnain soti hain

Jab rat ki malka ro ro kar
Bharti hain falaq ko taron se

Or taiz hawa takrati he
Nadi k behty dharon se

Mhtaab ki piyari si dulhan
Jab rat ki mala japti he

Or rat ko le kar bahon main
Jab rukhsat is ko karti he

Phir barkhart ya aawara
Jab abar ka tukra gata he

Ik shakhs hamain yaad aata he
Ik shaks hamain yaad aata he


Hijar ka tara doob chala he

Hijar ka tara dhob chala he
Dhalny lagi he raat wasi

Katra katra bars rahi he
Ashkon ki barsaat wasi

Tery bad ye dunya waly
Mujhko pagal kar dain ge

Khushbo k des main
mujh ko le chal apny sath wasi

Yon hi chup ki mohr laga ke
Kab tak Gum sum Betho ge

Khamoshi se dam ghut ta he
Chero koi bat wasi

Chor Wasi Ab uski yadain
Tuj ko pagal kar dain Gi

Tu qatra he wo darya he
Dekh apni oqat wasi

Kurb Us ka dill nadaan dubara mangy


Kurb Us ka dill nadaan dubara mangy
Jis ne tofaan diya us se kinara mangy

Ae khuda ye Bhi to kal hi ki ik surat he
Dobny Wala Jo tinky ka sahara mangy

Usko jalty hoy arman dikhon dill ke
Gar meri aankh kabhi mujh se nazara mangy

Aashiyan jis ne banaya tha bari mehnat se
Ab jalany k liye khud hi sharara mangy

Pastiyan apny muqadar main likhi hain Qaisar
Wo nahi janta jo sath hamara mangy

Qaisar abas qaisar

Kis ko Bhati rhi rat bhar chandni



Kis ko Bhati rhi rat bhar chandni
Ji jalati rahi rat bhar chandni

Tmtmaty rahy hasraton k diye
Muskurati rhi Rat bhar chandni

Ik hasee jism ki tarhan aakhosh main
Kasmasati rhi rat bhar chandni

Ashk peety rhy hum kis or ko
Mye Pilati rhi rat bhar chandi

Sagir Sidiqi

Meri wafa ne khilay thy jo gulab


Meri wafa ne khilay thy jo gulab
Sary julas gye hain

Tumhari aankhon me jis qadar thy
wo khuab sary julas gye hain

Meri zamin ko he kisi nay
Hadsy ka intizar shayad

Gunah phlny lagy hain
Ajar o sawab sary julas gye hain

Jo tum gye to meri nazron py
Haqeeqaton k azab utry

Sochta hon k kia karon ga
Sarab sary julas gye hain

Ye mojza sirf ik shab ki
Musafton k sabab hoa he

Tumhary or mery darmiyan
Sary hijab julas gye hain

Isy batana k uski yadon k
Sary Safhy Jala chuka hon

Kitab-e-dill me rakm thy jitny
Wo bab sary julas gye hain

Nazar Uthon main jis taraf bhi muhib
Say hain zulmaton ke

Ye kia he k mery naseeb k
Mhtaab sary julas gye hain

Tumhari nazron ki tapish he k
Mery lafzon pe aa bly hain

Sawal sary julas gye hain
Jawab sary julas gye hain

Ye aag Khamoshiyon ki Kesi
Tumhari aankhon me terti he

Tumhary honton py jo thy darj
Wo nisab sary julas gye hain


Intazar rahy ga


Meri Aankhon ko tumhara intazar rhy ga
Jab bhi aao ge muntazir paao ge

Jab bhi koi gham tum ko chu jay ga
Tum mujhy bhi ghamgeen pao ge

Jab kabhi yadon ko jinjora tum ne
Tum mujy bhi Apny sath beqarar pao ge

Or gar kabhi socho be wafai ka
To mujhy bhi rukh mora hoa pao ge


Teri Umeed Tera Intazar jab se he


Teri Umeed tera intazar jab se he
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se he

Kisi ka dard ho karty hain tery naam raqam
Gila he jo bhi kisi se tery sbab se he

hoa he jab se dill na sabur be qabu
Kalam tujh se nazar ko bary adab se he

Agr sharar he to bhargy jo phol he to khily
Tarha tarha ki talab tery rang lab se he

Kha gye shabo frqat k jagny waly
Sitare shri hum kalam kab se he




forumsmix.com
»»  read more

Sunday, 4 May 2014

Bas K dushwar he har kam ka aasan hona

Bas K dushwar he har kam ka aasan hona



Bas K dushwar he har kam ka aasan hona
Aadmi ko bhi muyasar nahi insaan hona

Ghrya chahy he kharabi mery kashany ki
Daro diwar se tapky he byabaa hona

Way diwangi shoq k har dam mujh ko
Aap jana idhar or aap hi heran hona

Jalwa az Bas k taqazay nga karta he
Johr aayna Bhi chahy he msar ga hona

Ishrat qatal k ahle tamna mat poch
Eid Nazara he shmsheer ka arya hona

Le gye khak me hum dagh tamnay nshat
To ho or aap be sad range gulstaa hona

Ishrat para dill zakhm tamna khana
Lazat Resh jigar gharq Nmakdaa hona

Mery Ban Jao
»»  read more

Misaal Barg main khud ko urana chahti hon

Poetry of Farzana Naina



Misaal barg main khud ko urana chahti hon
http://photos1.blogger.com
Hway tand pe maskn banana chahti hon

Wo jin ki aankhon me hota he zindagi me mlal
usi qabely se khud ko milana chahti hon

Jha k band hain sadiyon se mujh pe drwazy
Me ik bar usi ghar me jana chahti hon

sitam shar ki chokhat pe adal ki zanjeer
baray dad rasi ab hilana chahti hon

Najany kesy guzaron gi higar ki sa at
ghari ko tor k sab bhul jaana chahti hon

Musafton ko mily manzil talab neena
Wafa Ki rah main apna thikana chahti hon

Farzana Naina



Mery ban jao
»»  read more

Meri Khamoshi main

Meri Khamoshi main


Meri Khamoshi main bhi Ijaaz aay
Kisi simat se koi aawaz aay

Wo chehra najaany kha kho gya he
Khi se kabhi Koi dmsaz aay

Kisi ne tarasha na is dill ka pathar
Mery Shehr me ktny but saaz aay

Wo ur jay neli rago se nikal kar
Mery dard ko itni parwaaz aay

Saza be gunahi ki me kat ti hon
kaha mujh ko jeeny ka andaaz aay

Muhabat ae be deed pagal muhabat
Hamain chor de dekh hum baaz aay

dwa tshna kami ki le kar wo Nainaa
Kabhi to wo aay Bsid naaz aay

Mery Ban Jao

»»  read more