Showing posts with label Habib Jalib. Show all posts
Showing posts with label Habib Jalib. Show all posts

Thursday, 17 April 2014

habib jalib

habib jalib Poetry


Ye or baat teri gali me na aay hum

Lekin ye kia k sher tera chor jaay hum

Mudat hoi he koi butaa ki tarf gye
Aawargi se dill ko kaha tak bachain hum

Shayed bqeed zisat ye saat na aa skay
Tum dastane shok suno or sunay hum

Be nor hochuki he boht sher ki fiza
Tareek raston main kahi kho na jay hum

us k baghair aaj bhi jaee udaas he
Jaleb chalo khi se usy dhond layin hum

Habib jalib poetry in urdu


Aaj phir tum nazar nahi aay

phir tmana k phool murjay

aajh phir sogwar aankhon ne
lal o gull pe ashk barsaay

Aaj phir ahd o gham k fasany
Meri Betabiyon ne dharaay

ur bhary sher me tumhara pata
Kis ko maloom kon batlaay

Kin daryaaon me kho gye ho Tum
Hum sitaron ki khak chan aay
»»  read more

Thursday, 6 February 2014

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum...

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum,
Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum,

Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye,
Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum,

Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa,
Tareek raston par kahin kho na jayen hum,

Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,
Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum.!
»»  read more

Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat....


Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat,
Yeh kya ke teri aankh bhi pur’num hai meri jaan.!
»»  read more

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye...

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,

Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,

Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,

Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..!
»»  read more

Gulistanon pe hi naheen moqoof..


Gulistanon pe hi naheen moqoof,
Junglon me bhi phool khilte hain.!
»»  read more