Showing posts with label Shairy-e-Ishq. Show all posts
Showing posts with label Shairy-e-Ishq. Show all posts

Saturday, 2 February 2013

Dard ki lay madham tu ho

Dard ki lay madham tu ho
Dhund kahiin per kam tu ho

But saazi hum jaan gaye hain
Laiken mitti nam tu ho

Umar ka saath kahaan maanga hai
Phir bhi chaar qadam tu ho

Shaam ka raqs bhi ho jaaye ga
Dhoop ki shiddat kam tu ho

Mehfil-e-shab bhi saj jaaye gi
Koi shareek-e- ghum tu ho

Jaan pe she jaatay the laiken
Koi aik sitam tu ho
»»  read more

Wednesday, 26 December 2012

Mohabbat Rog Hoti Hai

Mohabbat Rog Hoti Hai
Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai
Kaha Bhi Tha,

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai
Kaha Bhi Tha,

Ise TuM Dilki Dharti Ka
Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai
Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke
Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai
Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko,
Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai
Kaha Bhi Tha,

Shuro Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai
Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paaon Tak
Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai
Kaha Bhi Tha
»»  read more

Mujhe Acha Sa Lagta He

Mujhe Acha Sa Lagta He
Tumhi Ko Dekhte Rehna ♥

Tumhi ko chahte rehna
Tumhi Ko Sochte Rehna ♥

Tumhi Ko Sunte Rehna
Bohot Gehre Khyaalo Mein ♥

Jawabo Mein Sawalo Mein
Mohabbat Ke Hawalo Mein ♥

Tumhara Naam Aa Jana
Mujhe Acha Sa Lagta Hai ♥

Tumhare Sang Sang Chalna
Wafa Ke Aag Me Jalna ♥

Tumhe Naraz Kar Dena
Kabhi Khud Bhi Ruth Jana ♥

Tumhari Berukhi Pe Bhi
Tumhari Aarzoo Karna ♥

Khud Apne Dil Dharkan Se
Tumhari Guftugu Karna ♥

Mujhe Acha Sa Lagta Hai.
»»  read more

Ek lafz Mohabbat hai,

Ek lafz Mohabbat hai,
jissay kar k daikho tum..
Barbaad na ho jao to
mera naam badal daina..

Ek lafz Muqaddar hai,
jiss say larr k daikho tum..
Haar na jao to
mera naam badal daina..


Ek lafz Wafaa ka hai,
zamanay mein nahi milti..
Kaheen say dhoond kar lao
to mera naam badal daina..

Ek lafz Aansoo hai,
issay dil mein chhupa kar daikho tum..
Aankhon say na beh jaye
to mera naam badal daina..

Ek lafz Judai hai,
issay seh kar daikho tum..
Toot kar na bikhar jao to
mera naam badal daina..
»»  read more

Monday, 26 November 2012

Hum log zameen kay rehnay walay


Hum log zameen kay rehnay walay
phirty rahay asmaan sambhalay

aay mjhse khitab karny walay
chehry se naqaab to hata lay

sahir se bicharr gaye musafir
 darya main hain kashtiyon k halay

 ik bheed hai dostoon ki laikin
tanhai ny bun diye hain jalay

hum mujrim e raftaan e shab thy
tasdeeq na kar saky ujalay

duniya tjhy chortay hain hum bhi
ja tu bhi ab apna raasta lay

 soraj hai zameen pe girnay wala
mumkin ho to saye ko bacha lay

 mushkil hai Saleem ghar basana
diwar ka kya hai jo utha lay
»»  read more

Friday, 14 September 2012

Sehra Sehra, Gulshan Gulshan


Sehra Sehra, Gulshan Gulshan
Baant Aaya Dil Apni uljhan...

Tujh Ko Bhool Ke Ji Lete Hum
Lekin Tujh Bin Kesa Jeewan..?

Tujh Se Kia Ik Nata Toota...
Toot Gaey Hain Sarey Bandhan

In Ujri Ujri Galion Mein...
Dhond Raha Hun Apna Bachpan..

Mujh Mein Woh Basta Hai jaisey...
Jism Mein Rooh Aur Dil Mein Dharkan..

Hijr Ka Mosam, Aisa Mosam...
Piyasi Badli....Jalta Saawan...
»»  read more

Saturday, 8 September 2012

jaWaani ke heele, haya ke baHaane


jaWaani ke heele, haya ke baHaane 
Ye maana ke tum mujhse parda karOgi 
Ye duniyaN magar tuJh si bHolee nahiN hai 
chupaa ke mohabbat ko rusWa karo gi 

baDi koshishoN se, baDi kHwaahishoN se 
taMaNNa ki seHmi hui saazishoN se 
mileGa jo mauqa to be-chain hokar 
darichoN se tum mujh ko dekha kaRoGi 

sataayeGi jaB chaandni ki udaasi 
duKhaayeGi dil jab fiZaa ki khamosHi 
ufaQ ki taraf khaali nazareN jamaa kar 
kabHi jo na socha wo socha karoGi 

kabhi dil ki dhaDkan bhi mehsoos hoGi 
kabhi thanDi saaSoN k thooFaaN uThen Gay 
kabhi Gir ke bistar pe aaHeN bharoGi 
kabhi jHuK ke takiye pe roYa karogi
»»  read more

Friday, 7 September 2012

Khirkiyan mat bja main nahi bolti

Khirkiyan mat bja main nahi bolti,
Ja oo jhooti hawa main nahi bolti,

Choor dy meri dehleez ko choor dy,
Tujh sy keh jo diya main nahi bolti,

Pehly is k liye sb sy larti phiri,
Phir isy keh diya main nahi bolti,

Mujh ko maloom hy jitni achi hon main,
Ab na baatein bna main nahi bolti
»»  read more

Friday, 24 August 2012

haweli jab se purkho ke giri hai

haweli jab se purkho ke giri hai
parendaoo ka basera ban gai hai

hui hamse agar mil kar khushi hai
to aankho me tumhare kyn nami hai

khushi se kaise beete apna jeewan
suna hai mauut peeche aa rahee hai

jalate deep kyn ho unke aage
nai aankho me jinke roshni hai

na panchi ko nikale ghoslo se
shikari ban gaya hai aadmi hai
»»  read more

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho


Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Hum Ghoom Chukey Basti Bun Main
Aik *** Ki Phansi Liye Man Main
Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho
Koi Deepak Ho Koi Tara Ho
Jab Jeewan Raat Andheri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Jab Sawan Badal Chaiyee Hon
Jab Phagan Phool Khilaye Hon
Jab Chanda Roop Lutata Ho
Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho
ya shaam nay basti ghari Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Han Dil Ka Daman Pheela Ho
Kion Gori Ka Dil Mela Ho
Hum Kab Tak Peet Kay Dhokey Main
Tum Kab Tak Doe Jharokey Main
Kab Der Sey Dil Ko Sairi Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

Kya Jhagra Sood Khasarey Ka
Yeh Kaam Nahi Banjarey Ka
Sab Sona Ropa Lay Jayee
Sab Dunya Dunya Lay Jayee
Tum Aik Mujhey Behteri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
»»  read more

Dil ankh ke kehne par safarat nai karta


Dil ankh ke kehne par safarat nai karta
kuch hai ki abhi uske himayat nai karta

kis bat pe rutha hai pata ho to maanaooo
wo ruth to jata hai shikayat nai karta

har bat me hote hai usske kai soo matlab
wo bat to karta hai wajahat nai karta

us shakhas ke wado me wafa aaye kidhar se
vaade bhi jo wafaye mohabbaat nai karta

main usse ruth ke jata nai ki wo aksar
ruhttho to manane ke zehmat nai karta

main uske leye sare zamane se laara hu
wo shakhas jo khud se b bagawat nai karta 
»»  read more

aadmi me kahi jo pyar na ho


aadmi me kahi jo pyar na ho
dard jiwan me beshumar na ho

uljhane leke me jauoo kahan
jab mera koi gamgusar na ho


gaaaremumkin hai es zamane me 
dil kisi ka bekarar na ho

pap apne uuse bata du me
aadmi jo gunahgar na ho

bewafa aur khudgarz hai jo
unpe hargiz b aatbar na h

chor kar chal diye kahe bina kuch
kis tarah dard aaashkar na ho
»»  read more

Kash hum bezubaan hote


Kash hum bezubaan hote,
Naa fir gham yun bayaan hote !!

Kash naa hoti zindagi ki samajh,
Naa fir yun afsaane jawaan hote !!

Kash naa khwahish hoti kuch paane ki,
Naa fir kuch khone k gham yahan hote !!

Gar tod jaata koi ashiyaaN humara,
Fir bhi khoobsurat saare samaan hote !!

Lut Jaati gar Roshni-e-zindagi,
Fir bhi andhere naa yahan hote !!

Toot-te hue bhi be-shubhaah hote !
Kash hum bezubaan hote !!
Kash hum bezubaan hote
»»  read more

Thursday, 23 August 2012

Mohabbat rog hoti hai

Mohabbat rog hoti hai
kaha b tha,

rula ka khud b roti hai
kaha b tha,

use tum dil ki dhari ka pata mat do
ye us main dard boti hai
kaha b tha,

kinare k bohat nazdeek le ja kar
ye kashti ko daboti hai
kaha ba tha,

azal se is ki aadat hai
zamane ko jaga kar khud ye soti hai
kaha b tha.

ya sar sy paoo tak raak ker dite hy
bohat be dard hoti hy
kaha b thaa..
»»  read more

Ye Betiyan Kesi Hoti Hain


Ye Betiyan Kesi Hoti Hain
Ye Paryon Jesi Hoti Hain

Ye Baat Baat Pe Roti Hain
Dil Hota Hai In Ka Nazuk Sa

Ye Bholi Bhali Hoti Hain
Baba Ki Ladli Hoti Hain

Mama Ki Dulari Hoti Hain
Guryon Se Khelta Bachpan Inka

Itni Jaldi Kese Beet Gaya
Aangan Soona Kar Jati Hain

Baba Ka Dard Samajhti Hain
Mama K Aansoo Pochti Hain.

Ye Betiyan Aesi Hoti Hain
Ye Betiyan Aesi Hoti Hain.
»»  read more

In ashkon ko paani kehna


In ashkon ko paani kehna
Bhool nahin naadaani hia
Tan-man mein jo aag lagaaye
Ye tho aise paani hai...

Kaise tum se iskq hua thaa
Kya kya hum par biti hai
Sunlo tho sachcha afsaana
Warna ek kahaani hai...

Sheik-O-barhaman zaahid-O-waaeez
Piree mein ye kya jaane
Bhool bhi ho jaathi hai isme
Iska naam jawaani hai...

Dukh-sukh sehna aur khush rehna 
Iskq mein laazim hai ye 'sahar'
Dil waale ho math ghabraao
Ye tho reet puraani hai...
»»  read more

Sunday, 12 August 2012

Tum he ko dekhte rehna


Tum he ko dekhte rehna
Tum he ko chahte rehna
Tum he ko sochte rehna
Tum he ko sunte rehna
buhat gehre khyalon mai
jawabon mai
sawalon mai
muhabbat k hawalon mai
Tumhara naam aa jana
 mujhe acha sa lagta hai
Tumhare sang sang chalna
wafa ki aag mai jalna
Tumhe naraz kar dena
kabi khud b roth jana
Tumhari be rukhi pe b 
tumhari arzoo karna
kabhi apne dil ki dhahkan se 
tumhari guftugo karna
Mujhe acha sa lagta hai
»»  read more

Saturday, 11 August 2012

Main nahi hon apny wajood me


Main nahi hon apny wajood me

Mujhe janay kis nay chura liya

Mere sath rehta hai ek shakhs

Koi jadoo us nay chala diya

Meri rooh me wo sama gaya

Mujhe ishq karna sikha diya

Meri zindagi wo ban gaya

Mujhe jeena us nay sikha diya

Main to khud se bhi thi na aashna

Mujhe mujh se us nay mila diya

Meri zindagi ko badal diya

Mujhe khush naseeb bana diya ♥
»»  read more

Wednesday, 8 August 2012

Mujhe kisi ki zarurat nahi


Mujhe kisi ki zarurat nahi !
Siway tere...

Mere nazar ko talash jis ki barson se !

Kisi ke paas wo surat nahi 
Siway tere...

Jo mere dil or meri zindagi se khel sake !

Kisi ko itni ijaazat nahi 
Siway tere..!!,......................
Mujhe kisi ki zarurat nahi !
Siway tere...

Mere nazar ko talash jis ki barson se !

Kisi ke paas wo surat nahi 
Siway tere...

Jo mere dil or meri zindagi se khel sake !

Kisi ko itni ijaazat nahi 
Siway tere..!!,......................

»»  read more

Saturday, 4 August 2012

Tum Marasim Main Bhi Mosam Ki Ada Rakhtay Ho


Tum Marasim Main Bhi Mosam Ki Ada Rakhtay Ho
Kabhi Barastey Ho Tu Kabhi Boond Ko Tarsaty Ho

Pal Main Kehtay Ho Zamanay Main Faqat Tere Hain
Pal Main Izhar-E-Muhabbat Say Mukar Jaatay Ho

Bhari Mehfil Main Dushmano Ki Tarhan Miltay Ho
Our Duwaon Main Mera Nam Liye Jaatay Ho

Diyar-E-Ghair Main Mujhko Talaash Kartay Ho
Milo Tu Pas Say Chup Chap Guzar Jaaty Ho

Laakh Mosam Ki Tarhan Rang Badalty Raho
Aaj Bhi Toot K Shiddat Say Mujhay Chatay Ho
»»  read more