Showing posts with label Aankhen. Show all posts
Showing posts with label Aankhen. Show all posts
Sunday, 12 August 2012
at 14:44 | 0 comments | Aankhen
Apni ankhon k sabi ashk baha kar sona
Apni ankhon k sabi ashk baha kar sona
Tum meri yaad ka har deep bujha kar sona
Ek sitara bhi mery khayal ka baqi na rahy
Chandni shab k nishanaat mita kar sona
Drr lgta hay neend hi kaheen cheen na lay
Tera her roz meray khwab mein aa kar sona
Baad mey log gira dain to koyi baat nahi
Har tarf payar ki dewaar utha kar sona
Subeh hoty hi teray shehr se jana hay mujhay
Aaj ki raat zara mujhko mana kar sona….
Wednesday, 8 August 2012
at 05:24 | 0 comments | Aankhen
Aankhein Bata Rahi Hain Ke Kya Kya Guzar Gaya
Aankhein Bata Rahi Hain Ke Kya Kya Guzar Gaya
Sadiyon Ka Gham Samait Ke Lamha Guzar Gaya
Darya Garaj Ta Tha Rawani Ke Za'm Mein
Aab-E-Rawa'n Ko Kaatt Ke Laawa Guzar Gaya
Tum Say Na Mil Saki To Koi Gham Nahin Mujhey
Khud Say Miley Huwey Bhi Zamna Guzar Gaya
Aankhon Mein Aanso-on Ki Chamak Reengti Rahi
Dil Say Kisi Ki Yaad Ka Saaya Guzar Gaya
Mairi Sada Ne Uss Ke Qadam Rok To Liye
Lekin Plat Ke Uss Ne Na Daikha, Guzar Gaya
'Dilbar'Ajeeb Baat Hai Paani Ke Naam Par
Aankhon Say Aik Pyaas Ka Sehra Guzar Gaya.
Thursday, 2 August 2012
at 13:36 | 0 comments | Aankhen
Apni aankhon k sabhi ashk baha kar sona
Apni aankhon k sabhi ashk baha kar sona,
Tum meri yaad ka har deep bujha kar sona..
Ek sitara bhi mere khayal ka baqi na rahe,
Chandni shab k nishanat mita kar sona..
Dar lagta hai neend hi kahin chheen na le,
Tera har roz mere khuwab mein aakar sona..
Bad mein log gira den to koi baat nhi,
Har taraf pyar ki deewar utha kar sona..
Subha hote hi tere sheher se jana hai mujhe Wasi,
Aaj ki raat zara mujh ko mana kar sona
Saturday, 14 July 2012
at 00:14 | 0 comments | Aankhen
Meri Aankhon Pay Marta Tha
Meri Aankhon Pay Marta Tha
Meri Baaton Pay Hansta Tha
Na Janay Larka Tha Kaisa
Mujhay Khonay Say Darta Tha
Mujh Say Jab Bhi Wo Milta Tha
Yahi Har Baar Kehta Tha
Suno...
Ager Main Bhool Jao Tu
Ager Main Bhool Jao Tu
Kabhi Wapis Na Aao Tu
Bhola Pao Gaye Ye Sab Kuch
Yon Hi Hanstay Raho Gaye Kia
Yon Hi Sajtay Raho Gaye Kia
Yahi Baatain Hain Ab Us Ki
Yahi Yaadain Hain Ab Us Ki
Mujhay Bas YAAD Hay Itna
Mujhay Wo Pyaar Karta Tha
Mujhay Khonay Say Darta Tha...
Friday, 1 June 2012
Tuesday, 1 May 2012
at 01:25 | 0 comments | Aankhen
Tere milane ko bekal ho gaye hain
Tere milane ko bekal ho gaye hain
magar ye log pagal ho gaye hain
baharen leke aaye the jahan tum
wo ghar sunsan jangal ho gaye hain
yahan tak badh gaye aalam-e-hasti
ki dil ke hausale shal ho gaye hain
kahan tak tab laye natavan dil
ki sadame ab musalsal ho gaye hain
nigah-e-yas ko neend aa rahi hai
musarda purashk bojhal ho gaye hain
unhen sadiyon na bhulega zamana
yahan jo hadase kal ho gaye hain
jinhen hum dekh kar jite the ‘nasir’
wo log aankhon se ojhal ho gaye hain
Monday, 30 April 2012
at 01:15 | 0 comments | Aankhen
Tere bare mein jab socha nahi tha
Tere bare mein jab socha nahi tha
main tanha tha magar itna nahi tha
teri tasvir se karta tha baten
mere kamare mein aaina nahi tha
samandar ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra mein tha pyasa nahi tha
manane-ruthane ke khel mein hum
bichad jayenge ye socha nahi tha
suna hai band kar li us ne aankhen
kai raton se wo soya nahi tha
at 01:12 | 0 comments | Aankhen
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon ?
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon ?
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Saari Baatein Keh Jata Hoon ?.
Main To Ek Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha‘Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..
at 01:10 | 0 comments | Aankhen
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Kiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain
Jin Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon
Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain
Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi
Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain
Har Dam Yeh DUA Main Karti Hoon
Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke
Jin Ankhoon Pey Main Marti Hoon
Saturday, 28 April 2012
at 00:06 | 0 comments | Aankhen
Tumhari In Siyah Aankhoun Main
Tumhari In Siyah Aankhoun Main
Meri Zindagi Ki Shama Jalti Hai
Jab Tum Kareeb Se
Meri Taraf Deakhtay Ho
To
Meri Zindagi Se Saansay Aur Barh Jati Hain
Aur Jab
Tum Musuratay Ho
To
Tumhari Is Muskurahat Se
Mera Dil Aur Zor Se Dharakta Hai
Aur Main Yeh Dua Mangti Hoon
Kaash!
KHUDA Karay
Tumhari Aankhoun Ki
Aur Hountoo Ki Muskurahat
Sada Youn Hi Qaim Rahay
Friday, 27 April 2012
at 23:59 | 0 comments | Aankhen
Mairi Ankhoon Mein Ansoo
Mairi Ankhoon Mein Ansoo Ke Tarhaan Aik Raat Aa Jaoo
Takaluf Say Banawat Say Adaa Say Choot Lagti Hai
Mein Shapnam Ke Zubaan Say Pholoon Ke Awaz Sunta Hoon
Ajab Ehsaas Hai Apni Sadda Say Choot Lagti Hai
Aaj Ham Bichhre Hain To Kitane Rangiile Ho Gaye
Merii Aankhen Surkh Tere Haath Piile Ho Gaye
Kab Kii Patthar Ho Chukii Thii Muntazir Aankhen Magar
Chhuu Ke Dekhaa To, Mere Haath Giile Ho Gaye
at 23:56 | 0 comments | Aankhen
Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do Aatisha
Ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
Ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
Ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
Ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
Ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
Ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
Ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen
at 23:54 | 0 comments | Aankhen
Ankhon Ko Intzaar
Ankhon Ko Intzaar Ka Deke Hunar Chahla Gaya
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Din Ki Woh Mehfilein Gayii, Raaton Ke Ratjage Gaye
Koi Samet Kar Mere Sham-O-Saher Chala Gaya,
Jhonka Hai Ek Bahaar Ka,Rang-E-Khayal -E-Yaar Bhi
Har Soo Bikhar Gayi Khushboo Jidhar Woh Chala Gaya
Uske Hi Dam Se Dil Mein Aaj,Dhoop Bhi Chandni Hai
Deke Woh Apni Yaad Ke ,Shams-O-Qamar Chala Gaya
Kucha-B-Kucha ,Dar-O-Dar ,Kab Se Bhatak Raha Hai Dil
Humko Bhula Ke Raah Woh Apni Dagar Chala Gaya
Subscribe to:
Posts (Atom)