Showing posts with label Aansoo. Show all posts
Showing posts with label Aansoo. Show all posts

Saturday, 2 February 2013

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain
Yeh phool khushboo ki raye gain se dar gaaye hain

Humein bhi rukhsat ki rasam kuch tu nibahna thi
Tumhaari aankhon mein aaye paani se dar gaaye hain

Yeh teer jitney fizaa main aakar thair gaaye hain
Kisi parinday ki bay zubaani se dar gaaye hain

Inhein bhi dariya main apni kashti utarna thi
Jo log lehron ki sar giraani se dar gaaye hain

Yeh hum jo sheher-ewafa main gumsum kharay hue hain
Phir ik taaza ghalat bayani se dar gaaye hain

Abhi tu dil ko udaas karti nahiin hain shaamein
Abhi se kyun ghum ki hukumraani se dar gaaye hain

Humein bhi saahil pe geet likhna the seepiyon se
Magar hawaon ki meherbaaniyon se dar gaaye hain
»»  read more

Tuesday, 7 August 2012

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do


Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do
»»  read more

Thursday, 2 August 2012

آنْسُو بھر آئے آنکھ ميں ہر اک ہنسي کے بعد


آنْسُو بھر آئے آنکھ ميں ہر اک ہنسي کے بعد
غم بن گيا نصيب ميرا ہر خوشي کے بعد

نکلا تھا کارواں محبت کي راہ ميں
ہر موڑ پہ نفرت کھڑي تھي ہر گلي کے بعد

سوچا تھا پيار کا ميں سجاؤں گا گلستان
ہر پھول جل گيا ميرا ، بن کر کلي کے بعد

چاہت کي بےبسي کا يہ قصہ ہے مختصر
دل نے سکون نا پايا کبھي دل لگي کے بعد

اب راکھ ہي سميٹ تا ہوں آشيانے کي
خود ہي جلا ديا تھا جسے آجزي کے بعد

سنتے ہيں بعد مرنے کے ملتا ہے سب صلہ
ديکھيں گے کيا ملے گا ہميں زندگي کے بعد
»»  read more

Friday, 27 July 2012

us ne jab b mujhe dil se pukara Mohsin


us ne jab b mujhe dil se pukara Mohsin
main ne tab tab ye bataya k tumhara Mohsin

log sadiyon ki khataon pe b khush basty hain
hum ko lamhon ki wafaon ne ujaara Mohsin

jab aa gya ho ye yakeen
ab wo nahi aye ga
gham or anso ne diya
dil ko sahara Mohsin

Wo tha jab pass to jeene ko b dil krta tha
ab to pal bhar b nahi hota guzara Mohsin
»»  read more

Kya Tum B


Kya Tum B
Anso Rookny Ki Koshish Me
Palkain Taiz Taiz Jhapkaty Ho
Or
Ksi Sendesy Ki Aas Me Baar Baar
Darwazy Ki Janib Lapakty Ho
kya Tum B
Phol Pe Girti
Barish Ki Awaz Se
Or
Door Kahin Bajny Waly
Almiya-Saaz Ki Awaz Se
Afsurda Ho Jaty Ho..??
»»  read more

Thursday, 19 July 2012

khuda hum ko aisi khudai na de


khuda hum ko aisi khudai na de
ke apne siwa khuch dikhai na de

khata waar smje ge dunya tuje 
ab atni zayada safai na day 

hanso aj itna ke is shor main
sada siskioun ki sunai na de

ghulami ko barkat smjny lagin
aaseeron ko asi rehai na day

abhi to badan me laho ha bohat 
qalm cheen k roshnai na day 

mujhe apni chadar main youn dahnp le
zameen asman khuch dikhai na de

khuda aise ahsaas ka naam hai
rahe saamne aur dikhai na de
»»  read more

Sunday, 29 April 2012

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo


Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo
Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo
Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo
Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo
Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo
»»  read more

Chupkey Chupkey Ro Lena


Chupkey Chupkey Ro Lena
Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
»»  read more

Ik Shakhs tanha rota Raha hai


Ik Shakhs tanha rota Raha hai,
apne aansuo ko palko pe parota raha hai,
akeeda to tha usey piyar k karishmo par,
phir bhi karne se darta raha hai,
Chahat thi sada pas rakhne ki kisiko,
utna hi us se koi door jata raha hai,
Hai umeed usey kisi k lout aney ki aaj bhi,
Isi gumaan me janey kab se jeeta raha hai,
Posheeda hai ik taweel si dastaa us me,
Kon janey kisey chahta raha hai,
So jo nahi paa raha pathar k bichoney pe,
yakeenan kisi ki baaho me sota raha hai,
kasoor fakkat itna tha nadaa ka,
k gham duniya se chupata raha hai,
aaj tum kiska matam karte ho logo,
Wo to janey kab se marta raha hai,
»»  read more

na wo wafa ki devi hai


na wo wafa ki devi hai…
na hai wo bewafayii ki murti….
kash khud ko itna bedard na banaya hota …
to sayad ushey rok pata….
kaheti thi ki “mere pyaar ki umar ho itni sanam ..
tere naam se suroo tere naam se khataam…”
per naam ka fashla na badha hota itna …
to sayad ushey rok pata…
khati thi “baith mere pass tujhey dekhti rahoon…..”
kass ushkey rooh me utar jata …
to sayad ushey rok pata….
»»  read more

Friday, 27 April 2012

Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua


Wo thaka hua meri bahon mein zara so gaya tha to kya hua
abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shakh-e-gul pe jhuka hua
jise le gai hai abhi hawa wo varaq tha dil ke kitab ka
kaheen aansuon se mita hua kaheen aansuon se likha hua
kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai
koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua
mujhe hadason se saja saja ke bahut hasin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehandiyon se racha hua
wohi khat ke jis pe jagah jagah do mahakate honton ke chand the
kisi bhule-bisare se taq par tah-e-gard hoga daba hua
vahii shahar hai wohi raste wohi ghar hai aur wohi lan bhi
magar us dariche se puchana wo darakht anar ka kya hua
mere sath jugnu hai hamsafar magar is sharar ke bisat kya
ye charag koi charag hai na jala hua na bujha hua
»»  read more

Sunday, 22 April 2012

Ankhoon may kayi sapnay


Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.
dil ko nayi dunya dikha kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar roye bohot hai hum.

laut aye to hain us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say aa kar roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kar roye bohot hai hum.

hosla tutnay ka ho to wafa karna kisi say .
yeh batain logon ko suna kar roye bohot hai hum.

phir yun hua kay ankhoon nay kayin rat jagay dekhay.
palkoon pay teri yaad bitha kar roye bohot hai hum.

wohi aj mujh say meray dard ki wajah chatha hai.
jis ki batain aoron ko suna kar roye bohot hai hum...
»»  read more

Friday, 20 April 2012

main bhi rota raha wo rulata raha


main bhi rota raha wo rulata raha
teer dil pe musalsul chalata raha

us k aangun men main yun pighalta raha
deep khoon-e-jigar se jalata raha

khud sisukta raha dhoop men umer bhar
kone kone men poday lagata raha

dil ki takhti is tarha se ghisti gae
nam taira mein likhta mitata raha

aik aansu ki shidut se wo jal gaya
jo sumandur se nazrien milata raha

aaj hunsta raha mairi maiyat pe wo
muskarana jise main sikhata raha

han ghareebi mairi kuch ziada na thi 
piyas peeta raha bhook khata raha
»»  read more

aey subh! main ab kahan raha hun



aey subh! main ab kahan raha hun...
khuaabon main hi sarf ho chuka hun...

kia hai jo badal gai hai dunia...
main bhi to bohat badal gaya hun...

main jurm ka aitraaf kar k...
kuch aur hai jo chupa gaya hun...

main aur faqat ussi ki khuaahish...
ikhlaaq main jhoot bolta hun...

roya hun to apney doston main...
par tujh sey to hans k hi mila hun...

aey shakhs! main tairi justujoo sey...
baizaar nahi hun, thak gaya hun...

»»  read more