By Rajiv Walia
Mujhe laga ki zindagi ko samajhna aasaan hai,
par mujhe kya pata tha ki yahan toh har hoi pareshan hai.
Hum zindagi ko jitna samajhna chahte hai,
utna hi khud ko tadpaate hain.
AAj har koi zindagi se pareshaan hai,
par phir bhi maut kisi kisi par meherban hai.
Ye zindagi aakhir kya hai,
yaa toh ye gulab hai ,
yaa phir sharaab hai,
Shayad Is sab ke liye hum hi zimmedar hain.
Jo hum aaj mehsoos kar rahe hain,
Vo kal ka chamatkar hai,
Aur aane vala kal aaj ki paidaavaar hai.
Aaj hum iss baat par zara sa dhyaan karen,
Iss Jahaan main koi aisa nahin,
jiske liya hum khud ko itna pareshaan karen.
0 comments:
Post a Comment