Monday 31 October 2011

Nikal k ghar se kabhi mere raaston me aa





Nikal k ghar se kabhi mere raaston me aa 

Bikhar k meri tarha tu musafaton me aa 

Teri talaash me janey main kab se phirta hoon 
Main thak chuka hon tu ab meri aahaton me aa 

Main rang-o-boo ki numaish mai aab'deeda hon 
Tu abar ban k meri simt barishon mai aa 

Main tere wastey khiltey gulaab laya hoon 
Bahaar ban k kabhi mere mousamon mai aa 

Mohabbaton me bicharna koi kamaal nahi "MOHSIN" 
Kamaal ye hai k bichar k wapis mohabaton mai aa

By M. Fayyaz GUll

0 comments:

Post a Comment