Aata hai yaad mujhko wo guzra hua zamana
Wo baagh ki baharein wo sab ka chehchahana
Azaadian kahan wo ab apnay ghonslay ki
Apni khushi se aana,apni khushi se jana
Lagti hay chot Dil per,aata hay yaad jis dam
Shabnam k aansuon per kallion ka muskurana
Wo pyarai pyari surat,wo kaamni si moorat
Abaad jis k dam se tha mera aashiana
Aati nahi sadaein us ki meray qafas main
Hoti meri rihai kaash meray bas main!
Kia badnaseeb hoon main ghar ko taras raha hoon
Saathi to hay watan main ,main qaid main para hoon
Aai bahaar,kallian phoolon ki hans rahi hain
Main iss andheray ghar main kismat ko ro raha hoon
Iss qaid ka ilaahi! dukhra kisay sunaon
Dar hay yahin qafas main main gham se na mar jaon
Jab se chaman chuta hay,ye haal ho gaya hay
Dil gham ko kha raha hay,DIL gham ko kha raha hay
Gana isay samajh ker khush hon na sunnay walay
Dukhtay huay DIL ki faryad pe sada hay
Azaad mujh ko ker day, O qaid kernay walay
Main bay zuban hoon qaidi,tu chor ker dua lay.
0 comments:
Post a Comment