Tuesday, 29 November 2011

Khawab toot jatay hain..



Khawab toot jatay hain..
Bheer main zamanay ki..


Hath chhoot jatay hain...
Dost daar lehjoo'n main salwatein si parti hain...
Ik zara si ranjish say...
Shak ki zard tehni par, Phool bad-Gumani kay...
Is tarah se khiltay hain...
Zindagi say pyaray bhi..
Ajnabi say lagtay hian, Ghair ban kay miltay hain..


Umr bhar ki chahat ko, Aasra nahi nahi milta..
Dasht-e-Beyaqini main RAsta nahi milta..


Khamashi kay waqfoo'n main..
Baat toot jati hain, Aur sira nahi milta..
Mazrat kay lafzo'n ko roshni nahi milti..
Lazar-e-Pazeerai, Phir kabhi nahi milti..


Phool rang wado'n ki...
Manzilein sukarti hain...
Rah murnay lagti hai..
Be-Rukhi kay garay say, Bedili ki mitti say...
Faslay ki Einton say, Eint jurnay lagti hai...
Khak urnay lagti hai..


Khwab toot jatay hain..
Wahmo'n kay saye say, Umr bhar ki mehnat ko..
Pal main toot jatay hain...
Ik zara si ranjish say...
sath chhoot jatay hain...


Bheer main zamanay ki..
Hath chhoot jatay hain..
Khwab toot jatay hian..

0 comments:

Post a Comment