.
Zakhm-e-tanhai me khushbo-e-hina kis ki thi
Sayaa devaar per mera tha, sada kis ki thi
Uski raftar se lipti raheen ankhen meri
Usne murr kar bhi na dekha k wafa kis ki thi
Ansuon se hi bhar gaya daman mera
Haath tu main ne uthaye thy dua kis ki thi
Meri Aahoun ki zuban koisamajhta keise
Zindagi itni dukhi mere sivaa kis ki thi
Aag se dosti uski thi, jala ghar mera
Di gai kis ko saza aur khata kis ki thi
0 comments:
Post a Comment