Sunday 15 January 2012

Barish ki taiz boondo’n nay jab dastak di darwazay per,



Barish ki taiz boondo’n nay jab dastak di darwazay per,
Mehsoos hua tum aaye ho andaaz tumharay jaisa tha

Hawa kay halkay jhonkay ki jab aahat hui khirki per,
Mehsoos hua tum aaye ho andaaz tumharay jaisa tha

Jab bahish main ek jhonkay nay mera sath diya
Main samha tum ho sath mere Ehsaas tumaray jaisa tha

Phir ruk gai wo barish bhi, Rahi na baqi aahat bhi,
Main samjha mujhy tum chhor gaye andaaz tumharay jaisa tha.

0 comments:

Post a Comment