Tuesday 7 February 2012

Naye dinon ke naye safar main dheyan rakhna

Urdu Poetry By Amjad isalm Amjad



Naye dino ke naye safar main dheyan rakhna
khamosh, chup chap
Kuch na kehti in sa’aton ne
sonp dale naye taqaze rafaqaton ke
dheyan rakhna
Ke apne hisse ke sab taqaze nibahne hain
sath chalte hoye safar main
her ik dagar pe chahaton ke ghulab likhna
Warq warq aitamad jis main
harf harf main ho jaan’nisari
naii khushiyan, naye munazir
naii misaalein, naye hawaale
bus aik aisi hi muhabbton ki kitaab likhna
Naye dinon ke naye safar main dhiyan rakhna




0 comments:

Post a Comment