Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaye,
Yaani Ab JurM-E-Aseeri Ki Saza Di Jaye,
Uski Khwahish Hai Ke Ab Log Na Hanse Na Roye,
Behisi WaQt Ki Awaz Bana Di Jaye,
Dasht-E-Nadeeda Ki TahQeeQ Zaroori Hai Magar,
Pehle Jo Aag Lagi Hai Wo Bujha Di Jaye,
Sirf Jalna Hi Nahi HuMko Bhadakna Bhi To Hai,
IshQ Ki Aag Ko LaaziM Hai Hawa Di Jaye,
Sirf Suraj Ka Nikalna Hai Agar Subah To Phir,
Ek Shab Aur Meri Shab Se Mila Di Jaye,
Aur Ek Saza SitaM Kiya Hai Usne Ijaad,
Usko Is Baar Zara Khulke Dua Di Jaye...
0 comments:
Post a Comment