Dil k sunsaan jazeero’n ki khabar layegaa
dard pehlu se judda ho kar kahan jaegaa
kaun hota ha kisi ka shab-e-tanhaai me
gam-e-furqat hi gam-e-ishq ko behlayegaa
chand k pehlu me dam saadh k roti ha kiran
aaj taaro’n ka fasuu’n khaak nazar aayegaa
raakh me aag dabi ha gam-e-mehroomi ki
raakh ho kar b ye shola humein sulgayegaa
waqt khamosh ha roothey hue yaaro’n ki tarah
kaun lao dete hue zakhmo’n ko sehlayegaa
dhop ko dekh k us jism pe padti ha jhamak
chaao’n dekheinge to us zulf ka dhayan aayegaa
zindagi chal k zara maut ka hamdum dekhein
warna ye jazbaa lahad tak humein le jayegaa
0 comments:
Post a Comment