dum sadh ke daikhon tujhay, jhapkoon na palak bhi
ankhon main samau loon tere lehjay ki damak bhi
ae ishq agar mujh ko tera izn ho mumkin
aaghosh main le loon tere paikar ki mehak bhi
ae zikr mere fikar ki taqdeer badal de
ae noor mere nutaq ke kaase main jhalak bhi
ae qatra-e-khoon mushaf-e-rukhsaar pe til bun
ae setar-e-tapan kaghaz-e-saada pe dehak bhi
dil arz-e-hunar hai tau badan urz-e-hunar hai
ae mere dil-e-saada mere tan main dharrak bhi
ye rang mère noir main rakhay gain ussi ne
gandhwai thi jis ne meri matti ki mehak bhi
uss shahar ki janib mere paon nahin uthte
iss dil woei door karay ga ye jhijhak bhi
kaya main ne kiya hai ke saza waar-e-rida hoon
mujh ko tau buhat hai teri kamli ki jhalak bhi
0 comments:
Post a Comment