Tuesday, 14 August 2012

ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye


ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye
ye khayal-e-pukh'ta jo khaam thay mujhey kha gaye

kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki
wohi zaawiye ke jo aam thay mujhey kha gaye

mein ameeq tha ke pala hua tha sakoot mein
ye jo log mehv-e-kalam thay mujhey kha gaye

wo jo mujh mei aik ikaayi thi wo na jurr saki
yehi reza reza jo kaam thay mujhey kha gaye

ye aeyaan jo aab-e-hayat hai isey kiya kerun
ke neyhaan jo zehar ke jaam thay mujhey kha gaye

wo nageen jo khaatim-e-zindagi se phisal gaya
tu wohi jo merey ghulaam thay mujhey kha gaye

mein wo shu'la tha jisey daam se tu z'rur na tha
pe jo waswasay teh-e-daam thay mujhey kha gaye


jo khuli khuli thein adawatein mujhe raas thein
ye jo zehar-khand salaam thay mujhe kha gaye

0 comments:

Post a Comment