Saturday, 2 February 2013

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai
Sunheri titliyaan phir se gulaabon kay
 labon ko choo kar aayi hain
Darakhton ki khuli banhon
 main saye baat kartay hain
Udaasi ashak ankhon main
 liye ab door nikli
Isi dhaltay hue din ki mundeeron per
Chiraagh-e-shaam jalta hai
Tu dast-e-meherbaan jaise..

Meray aanchal kay konay se wafa ka 
aik lamha bandh deta hai
Meray sehen-e-hunar main
 hurf-o- maani ki talaawat saans leti hai
Koi roshan sitarah aasmaan per muskuraata hai
Samander geet gaata hai

Kamala-e-ahd-e-masti hai
Jahaan pe mausam-e-jaan bhi hairaan lagta hai
Koi chehra meray dil kay badan se aan lagta hai
Yeh hi chupkay se kehta hai

Mujhay tumse mohabbat hai
Mujhay tumse mohabbat hai

0 comments:

Post a Comment