Na ham rahy dill lagany k qabel
na dill raha gham uthany k qabel
teri yadon ne diye itny zakham
chora na muskurany k qabel
Mery Ban Jao
Qurbat bhi nahi dill se utar bhi nahi jaata
wo shakhs koi fasla kar bhi nahi jaata
aankhain hain k khali nhi rehti laho se
or zakham judaai he k bhar bhi nahi jaata
wo raahat he magar is darbadri me
aesa he k ab dehaan udhr bhi nahi jaata
ham dohari aziyat k giraftaar musaafr
Paaon bhi hain shall
shok safar bhi nahi jaata
dill ko teri chahat pe bharosa bhi bohat he
or tuj se bichrny ka dar bhi nahi jaata
pagal hoy jata hon faraz us se milny ko
itny se khushi se koi mar bhi nahi jaata
Mery Ban Jao
Azabon se nikalna chahta hon
Me sara such ugalna chahta hon
samy ki dor kat ti ja rhi he
Me thora taiz chalna chahta hon
Na aay khuahison ki gird muj par
hawa ka rukh bdalna chahta hon
kai din se ye khud sar ho gai he
ana ka sar kuchalna chahta hon
Kati he girty party umar khaled
me ab thora sambhalna chahta hon
0 comments:
Post a Comment