Thursday 22 August 2013

Bharay saagar mein mojon ko kinara chahiye koi

Bharay saagar mein mojon ko kinara chahiye koi
Meri pur'ashk aankhon ko nazara chaiye koi

tere dar pe jo aa aa ker yun wapas loat jatay hein
teri jaanib se hum ko bhi ishara chahiye koi

kaho tum kon ho pyaray! kahan se loat aaye ho
baray bejaan dikhtay ho, sahara chahiye koi ?

tujhe sheher-e-wafa mein to koi faateh nahi milna
wagarna hum to haazir hein, jo haara chahiye koi

tujhe yun bhi hai rakha yaad ke mere udv ko lamha
teri her yaad se ghaafil, guzara chahiye koi

mera dil tukray tukray hai idher sham-e-alam tu aa
tujhe bhi to hawadas ka hi maara chahiye koi

abhi hon taaq mein rakh ker sabhi khushiyaa'n hi muntazir
manao'n ga jashan main bhi, pyara chahiye koi

ajab dil mein hai moajzan kuch din se parayee yaad
humen phir dard ik shayad udhara chahiye koi

main apnay dil se ger poochon madawa-e-zakhm hai kya?
to ziddi dil ye kehta hai, dobara chahiye koi

beyaa'n kerti hein dil ka dard meri ye laal si aankhen
mera her ashk kehta hai ke chaara chahiye koi

nahi inn chaand taaro'n se mujhe SehraNaward matlab
mujhe to abb muqadar ka sitara chahiye koi

0 comments:

Post a Comment