Monday 19 August 2013

Ek Khidki gali ki khuli raat bhar

Ek Khidki gali ki khuli raat bhar
Muntazir jane kis ki rahi raat bhar

Hum jalate rahe apne dil ke diye
Terji qatal hoti rahi raat bhar


Meri Ankhon ko karke ata ratjage
Meri tanhayi soti rahi raat bhar


Ek khusboo daraazon se chanti hui
Dastakein jaise deti rahi raat bhar


Dil ke andar koi jaise chalta raha
Chaap khadmon ki aati rahi raat bhar


 Ek tahreer jo is ke haathon ki thi
Baat who mujh se karti rahi raat bhar


Ek surat Ali thi jo jaane ghazal
Mere shairon mein dhalti rahi raat bhar

0 comments:

Post a Comment