Monday 19 August 2013

Fariha Nigarina tum ney mujh ko likha hai

Fariha Nigarina
tum ney mujh ko likha hai
Mere khat jala dijiye
Mujh ko fikr rehti hai
aap inhain ganwa dijiye
Aap ka koi saathi dekh ley to kiya hoga?
dekhiye mein kehti hun Yeh bohat bura hoga
Mein bhi kuch kahun tum se
Fariha Nigarina
Ay Ba'nazuki meena
itr bey naseena
rashk'e sar be seena
Mein tumharay har khat ko LOH'E DIl samajhta hun
LOH'e Dil Jala dun kia?
Jo bhi satr hai in ki
Kehkasha' hai rishton ki
Kehkasha'n luta dun kia?
Hai sawaad'e beenai inka jo bhi nukta hai
Mein usay gunwa dun kia?
jo bhi harf hai inka
naqsh'e jaa'n hai jaanana
naqsh'e jaa'n mita dun kia??
LOh'e dil jala dun kia?
kahkasha'n luta dun kia?
 Naqsh'e jaa'n mita dun kia??
Mujh ko likh k khat janum
apnay dehaan mein shayd
khuwaab khuwaab jazbon k
khuwaab khuwaab lamhon mein
younhi bey khayalana jurm kar gai ho tum
aur khayal aany par US Se dar gai ho tum
JURM k tassawur mein gar yeh KHAT likhay TUM NEY
phir to meri raaiy mein JURM hi kiye tum ney
jurm! kiun kiye jayein?
jurm! kiun kiye jayein?
khat hi kiun likhey jayein...!

0 comments:

Post a Comment