Monday, 19 August 2013

har baar tum say mil kay bicharta raha hoon mein

har baar mairay samnay aati rahi hoo tum
har baar tum say mil kay bicharta raha hoon mein
tum koun ho yeah khud bhi nahi janti ho tum
mein koun hoon yeah khud bhi nahi janta hoon mein
tum mujh ko jaan kar hee parhi hoo azaab mein
 aur iss tarhaan khud apni saza ban gaya hoon mein
tum jis zameen par hoo mein uss ka khuda nahi
puss sar basar azeeyat o azaar hee rahoo
bay'zaar ho ga'e ho bohat zindagi say tum
jab bus mein kuch nahi hai tu bayzaar hee rahoo
tum ko yahaan ka saya o par'to say kaya gharz
 tum apnay huq mein beech ke divaar hee rahoo
mein ibtada e ishq say bay mehar hee raha
tum intaha e ishq ka mayaar hee rahoo
tum khoon thookti ho, yeah sun kar khushi hoi
 iss rung iss ada mein bhi pur'kar he rahoo
mein nay yeh kab kaha tha mohabbat mein hai nijaat
mein nay yeah kab kaha tha wafadar he rahoo
apni mata'e naaz luta kar mairay liyeah
 bazar e iltafaat mein nadaar he rahoo
jab mein tumhain nishaat e mohabbat na day saka
gham mein kabhi sakoon e rafaqt na day saka
jab mairay sab chiragh e tamana howa kay hain
jab mairay saray khawb kissi bay'wafa kay hain
phir mujh ko chanay ka tumhain kooye haq nahi
tunha karhanay ka tumhain koyee haq nahi

0 comments:

Post a Comment