Thursday 22 August 2013

Harf-e-tauba hamain sikha phir se

Harf-e-tauba hamain sikha phir se
HamaiN dikhla rah-e-hudaa phir se

Lay kar apni panaah maiN yaa rab
HamaiN shaitaan se bachaa phir se

Phir sunaa de hamaiN naveed-e-bahisht
Naar-e-dozaKh se bhi draa phir se

Ham bhataknay lage haiN dikhla day
Ae khuda seedha raasta phir se

Apnay Ghaiz-o-Ghazab se kar mahroom
HamaiN inaam ho ataa phir se

Jaisay ki thi mere bazurgoN ki
Kar qabool aise hi dua phir se

Shaamil-e-haal ho agar mehnat
NaKhl-e-ummid ho haraa phir se

Ae khuda kar koi sabab aisa
Jal uThay deep aas ka phir se

Fikr taaza ho jis ki Khushbu se
WARD gulshan maiN wo khila phir se

0 comments:

Post a Comment