Thursday, 22 August 2013

Hasrat ke robaroo kabhi tamasha bhi dekho'n

Hasrat ke robaroo kabhi tamasha bhi dekho'n
khud ko dariya aur tujhe pyasa bhi dekho'n

teri aankhon ke par utray mere naam ka tara
kash inn ankhon se ik din aisa bhi dekho'n

pathar ki chot ka ghum na hota mujhe leken
main to bher main shamil shanasa bhi dekho'n

bujhti si dekhta hon abb apni zindagani bhi
doobti nazro'n se reh reh darwaza bhi dekho'n

uss ankh ki gehraiya'n doboye'n gi na mujhe
kitna bar'aks abb apna andaza bhi dekhon

wo mayal ba sitam sahi, chor doo'n ussay kaisay
mohabbat ko ager dekho'n to taqaza bhi dekho'n

ye kis zalim ne liya phir sar-e-bazm naam-e-ulfat
ke bhartay zakmo'n ko abb taza bhi dekho'n

mere kaasa-e-wafa main teri jafao'n ke pathar
kabhi dekho'n teri aata kabhi kasa bhi dekho'n

yun bhi ashk muqadar veeraa'n aankhon ke huye
dil si shay ko jab main hasa hasa bhi dekho'n

loat leti hein yaade'n mana ye sach hai leiken
inhi yaado'n ko umar ka asasa bhi dekhon

honto'n ka ye tabasum kaisay haqeeqat jaan loo'n
ik dard teri baato'n main daba sa bhi dekho'n

sar-e-rah takrana nazer ik aam hadsa leiken
ik aam hadsay ka asar khasa bhi dekho'n

sun ke daastaa'n meri koi to sambhalo mujhe
ye kya ke sung rota hua dilasa bhi dekho'n

ye shehr-e-ishq ke khudkushi, ilaj-e-ghum-e-jana
yahan zehar ka kaam to dawa sa bhi dekho'n

0 comments:

Post a Comment