Friday 2 August 2013

Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele

Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele
Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele
Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar
Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele
Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch
Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele
Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele
Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay
Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele
Ab Bhi TU Paas Nahi Hai Laikin
Is Qadar Door Kahan Tha Phele
Dairay Daalay Hain Bagolon Ne Jahan
Os Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Phele
Har Kharab Ye Sadaa Deta Hai
Mein Bhi Aabaad Makaan Tha Phele
Kia Se Kia Ho Gayi Dunya Pyaaray
TU Waheen Per Hai Jahaan Tha Phele
Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan
Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele
Ham Ne Bakshi Hai Khamoshi Ko Zabaan
Dard Majboor-e-Fugaan Tha Phele
Ham Ne Roshan Kia Maamoor-e-Gham
Warna Har Simt Dhuwaan Tha Phele
Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir”
Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele

0 comments:

Post a Comment