Thursday, 22 August 2013

Nafraton ke mausam mein mohabbaton ke mausam mein

Nafraton ke mausam mein mohabbaton ke mausam mein
dil ne dard kamaya sabhi, mausamon ke mausam mein

kyun nahi milta wo ya rabb! kya koi kami rehee
hum to sar-ba-sajood hein ibaadaton ke mausam mein

abb khushi mili bhi to hum hi usay thukra dein gay
guzri zindagi hai jab bus ghumon ke mausam mein

Hum badal ke rakh detay,jo paas-e-wafa na hota
aafaton ke mausam ko raahaton ke mausam mein

khamushi se oarh ker andheray hum hein chal diye
tanha'eyan hi hasil hein rafaqaton ke mausam mein

uss ki tarah dil ne bhi mujhi se bewafai ki
saath ussi ka hi dia wazahaton ke mausam mein

dosto'n ke aanaay se dard aur jawaa'n huye
ghao aur gehray huye chara'garon ke mausam mein

hum ne jab bhi ghabra ke uss ka naam chooma hai
phool khiltay dekhay hein patharon ke mausam mein

apni jaan pe ban aayee aur uss key hoslay dekho
muskura ke jeeta hai judai'on ke mausam mein

wafa ka apni dekha hai eik jaisa hi anjaam
dosto'n ki mehfil mein, dushmano'n ke mausam mein

tum dua kero yaro! hawa na aur ho jaye
phool ik khila to hai 2 dilo'n ke mausam mein

loat jao tum baahir sey, ye dil hai mera ke yahan
qayamaten guzarti hein qayamaton ke mausam mein

daur-e-badgumani tha, wo dil ki baat kya sunta
shaakh kya harri hoti patt-jharro'n ke mausam mein

hum na samjhay aaj tak kyun taqazq-e-junoo yehi
raasto'n ko kho dena manzilo'n ke mausam mein

 Mohabbato'n ki raaho'n mein deewar ik aanna ki hai
rah koi millay gi kya parbato'n ke mausam mein

Uss ki justajoo mein aakhir khud ko hi kho dena tha
Hum safar pe niklay thay saaniho'n ke mausam mein

kirchi'aan chuntay huye abb haath lahoo lahoo hein
patharon se ki wafa , aayeno ke mausam mein

hijr mein bheegi aankhon ko hairangi se matt dekho
baarishen to hoti hein baarishon ke mausam mein

intazar ki chokhatt per uski aass ka diya
dekhiye jalta hai kab tak aandhi'on ke mausam mein

dil ko cheer detay hein raat chand ye hawa
aur teri khamoshiyaa'n sardiyo'n ke mausam main

aur kisi mausam mein sehh bhi jata main leiken
uss ne dard bhejha hai chahaton ke mausam mein

0 comments:

Post a Comment