Thursday, 22 August 2013

tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!

Suno jugnu!
main ussay pukarta
thankan se choor
apnay pairo'n ke chalo'n
ko saath saath liye
dhoondta hua
iss jungle main aa phancha ho'n
per kisi ne bhi to
uss pyaray ka pata nahi bataya
suno jugnu!
wo jugnu hi to tha
tum mujhe uss tak raah dikhlao
jugnu ne kaha: paglay!
"main bhi to uss bin adhoora ho'n
jab tak wo raha, main roshan raha
phir na janay wo kahan kho gaya
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jissay pukarta tu gali gali hai
wo jugnu nahi wo to roshni hai

Suno gul!
tum ne dekha nahi
to suna to ho ga
main kaisay uss bin
jeeta ho'n
to phir madad kero
wo phool hi to tha
tumhi uss gul ka pata batao
gul ne kaha: paglay!
"mujhe khud ussi ki aas hai
teri tarah hi talash hai
uss bin to main kuch bhi nahi
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jissay dhoondta to koo-bakoo hai
wo phool nahi wo to khushboo hai

Suno dil!
main bohat thakk chuka ho'n
tum ne dekha wo kahee'n nahi milta
to phir suno!
usski yaad apnay aap
mein se
nikaal do
to mujhe bhi kuch qarar aaye
nahi to....
aisay na dar-badar kero
madad kero
dil ne kaha: paglay!
"main bhi to janib-e-sanam rawana ho'n
uss bin to main ik weerana ho'n
mujh ko bhi uss ki nahi kuch khabar
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jis bin meri bhi zard rungat hai
wo dil nahi wo to mohabbat hai..

Suno aankh!
tum ne to sab kuch
dekha hai
main aur kitna bhatko'n ga
wo tujh mein hi to rehta hai
tere aanso'on mein
main ne ussi ki
soorat dekhi hai
bus to tum ko qasam hai
talash khatam kero
abb madad kero
aankh ne kaha: paglay!
"uss ke bina to hum bhi dar-badar ho gaye hein
aansoo thay jitne saray___pathar ho gaye hein
wo meri beenai ki wos-atto'n se bahir hai
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jis ki talash hi tera muqadar hai
wo aansoo nahi wo to samandar hai

Suno samandar!
main ghum ka mara ho'n
apnay bha'n-warr se kaho
mujhe paar lagaye
yun na sataye
mujhe dubo ker
wo khud bhi doob jaye ga
suno samandar!
meri khushk aankhon
ki janib dekho
to tumhen yaad aaye ga
ke ye jab sookhi thi
to tum banay thay
aaj wohi aankhen
tumse madad maangti hain
inhein paar laga do
mera yaar mila do
samandar ne kaha: paglay!
"ye jo mujh mein tu dekhta irta-aash hai
ussi dildaar ki to pyas hai
wo kisi jazeeray per bhi to nahi milta
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga....
jis ki chah mein tu ghayil hai..
wo samandar nahi wo to sahil hai

Suno sahil!
meri halat tum per
ayaa'n hai
labo'n pe damm hai
nikalne ko ye jaa'n hai
abb aur safar mujh se nahi ho ga
tum aakhri umeed ho
main ne tumharay
inn chamaktay zarraat mein
uss ko dekha hai
sahil ne kaha: paglay!
"uss bin to mere zarro'n mein chamak nahi
zindagi ki baqi abb koi ramak nahi
wo janey kyun hum se rootha hai
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!"
yahan se loat ja
wo tujhe yahan nahi milay ga
abb kabhi nahi milay ga
wo bicher gaya so bicher gaya
to tu bhi loat ja...///
wo jo tujhe ji jaan se pyara hai
wo zarra nahi wo to taara hai...

Sun aey hawa
sun aey hawa...!

mera sara safar bekaar gaya
main haar gaya main haar gaya
jugnu,gul aur dil
aankh,samandar,sahil
inn sab mein
mujhe wo kaheen na mila
meri aas ka gulshan
sookh gaya
wo kyun mujh se yun
rooth gaya
sung le ke wo bahar gaya
main haar gaya main haar gaya

Sun meri baat o paglay!

tu itni jaldi haar gaya?
abhi kahan tu
beech manjhdaar gaya
to phir kahan teri mohabbat
wo tera pyar gaya??
tu itni jaldi haar gaya??

Dekh hawa!
tujhe sab hai pata
to tu hi bata
main kya karoo'n
kahan ja ke uss ko talash keroo'n
main kya keroo'n.......
jo mere dil pe chahai chandni hai
wo jugnu nahi wo to roshni hai
wo jo kaheen nahi per char soo hai
wo phool nahi wo to khushboo hai
wo jo saray aalam se khubsoorat hai
wo dil nahi wo to mohabbat hai
wo meri aankhon mein jis ka ghar hai
wo aansoo nahi wo to samandar hai
wo jo meri wafa ki manzil hai
wo samandar nahi wo to sahil hai
wo jo meri umeed mera sahara hai
wo zarra nahi wo to taara hai

per paglay: sun!
tu kyun yun bhatakta hai
jissay tu poochta hai ke kahaa'n hai
wo her jagah, yahaa'n wahaa'n hai
yehi to teri mohabbat ka imtihaa'n hai
ussay panay ki ussay choonay ki
uske honay ya na honay ki
baaton ko bhool ja
ussay apnay mann mein
mehsoos to ker
tu phir se uss ko khoj magar
kisi wajood mein matt dhoondna ussay
baharo'n mein bassi ussi ki muskaa'n hai
ussi ki aankhon se roshan ye jahaa'n hai
tu ussay dhoond per ik baat bhool ker
ussay choo matt bus mehsoos ker
wo jo teri zamee'n tera aasmaa'n hai
wo koi jism nahi wo to jaa'n hai....

haan aey hawa!
main phir se usko dhoondo'n ga
aur dhoond saka to poocho'n ga
per aey hawa!
tujhe hai pata
main sadiyo'n se
ussi ke liye bhatakta raha
tu ne to sab dekha
tu to janti hai ke waqt abb kamm hai
mera labbo'n pe damm hai
to bus main to chala
alwidaa...alwidaa
per sun aey hawa!
tu meri wafa ki gawahi dena
meri justajoo ki sab nishani dena
agar kabhi..
agar kabhi milay
to ussay bata-hi dena
sun aey hawa!

mere dil ke kaghaz per likha wo peghaam kehna!
main jisay pukarta raha barso'n wo uska naam kehna!
uski aankhon ko maddhh bharay do jaam kehna!
uske dil main rung-o-mohabbat ka qayam kehna!
uski jawani ko bahar'on ka badal,usko nazuk-andaam kehna!
phir meri arzoo,meri talash,lagan,mera kaam kehna!
main usay dhond leta per bohat ooncha uska muqaam kehna!
phir meri justajoo,meri wafaon pe laga her ilzam kehna!
thin tund-o-tez hawayen aur dia tha bohat badnaam kehna!
phir bhi chiragh-e-dil jalta hi raha subah-o-shaam kehna!
phir uske kano'n main dherey se mera anjaam kehna!
tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!

0 comments:

Post a Comment