tum nay dill ki baat keh di, aaj ye acha howa
hum tumhain apna samjhtey they bara dhoka howa
jab bhi hum nay kuch kaha, us ka asar ulta howa
aap shaid bhooltey hain, bar-ha aisa howa
aur hum karte bhi kya tark-e talouq k siwa
hum ko khud hairat hay, ye baithey bithaay kya howa
ab bhi baaqi hay tumharey dill main thora sa kholoos
is sey pehley bhi humain aksar yehi dhoka howa
aap ki aankhoo.n main ye anso kahan sey aa gai
hum tu dewaane hain lakin aap ko ye kya howa
is shikr-runji sey kya hasil howa, khud socheye
aap bhi ruswa howe, na-cheez bhi ruswa howa
ab kisi sey kya kahain Iqbaal apni dastaa.n
bas Khuda ka shukr hay jo kuch howa acha howa

0 comments:
Post a Comment