Thursday, 22 August 2013

Umeed-e-wasl ki aahat se

Umeed-e-wasl ki aahat se hum
mann ke band dareechon ko
khol ke bohat hi narmi se
tere milan ki aas mein raqsaa'n
kitnay hi khush'kun lamhay
le ker apnay haato'n mein
ban mein ik jugnu ki tarah
tere sheher mein pohanchay thay ;

Sehra-e-imkaa'n mein yun to
kitnay khadshay bastay thay
pyaas ki shidat haavi thi
so kitnay badal barsay thay!!
mann mein hoti barkha ko to
sheher pe barsa dekha tha
mausam mere andar ka.....
bahir aa ker barsa tha,
mujh ko sara aalam rangee'n
dhanak mein bikhra lagta tha
her ja jaisay phool khillay hoon
her ja aisa lagta tha !!

Jiss ko hum ne apna jeewan
rung-e-hayat hi jana tha
tere wasl ka wo lamha bhi
ik din to phir aana tha;
ujli ujli kirno'n si tu
hum se milnay aayee thi
baaten teri khawab ki soorat
aur unn mein gehrai thi
dil ka her ik zakhm to uss din
hum ne bhartay dekha tha
tujh ko apni inn aankhon se
jaadoo kertay dekha tha
Qos-e-Qazah ke rungo'n si tu
mujh ko bikhri lagti thi
sab rung thay phoolo'n jaisay
jin mein khushboo'n basti thi,
tere qurb ki hidat thi aur
mere jazbay pighlay thay
teri khaatir ji lenay key
kitnay pehloo niklay thay !!
pehro'n beth ke hum ne yunhi
ik doojay ko socha tha
shayad haath ki raikhayo'n mein
ik doojay ko khoja tha.....
teri aankh mein janay kitnay
roshan jugnu bastay thay
tere labb ke saath hi dekha
wo jugnu bhi hastay thay'
hastay hastay ik damm se hi
thora tu ghabrai thi
hum ne teri aankh mein jhanka
doori thi ... judai thi !!

Palti tu to saath mein tere
wasl ka sooraj utar gaya tha
jiss lamhay ko jeewan samjhay
wo to pal mein guzer gaya tha'
rabt-e-mausam mujh se tha kuch
aisa gumaa'n hi guzra tha
mann mein mere khaak urri to
her manzir hi dhundla tha....
sara aalam mujh ko to phir
apnay mann sa lagta tha
tez hawa ke jhakkar thay... aur
ghum ka saawan phela tha !!
Barish ke wo badal uss shab
yaad hai! kitna barsay thay
her shay hi sairaab huyee thi
aur hum kitna tarsay thay !!
tere sheher ke ik konay mien
shikasta pa mein hasta tha
barish ke aisay mausam mein
dukh ko kon samajhta tha'
tere sheher ki soorat tu bhi
kitna hi anjaan raha tha
tere sheher ki barkha rutt mein'
ik dil phir veeraan raha tha!

Tere sheher se paltay hum to
saray khawab shikasta thay
hum ne wasl ko haara tha
hijr ke teer pewasta thay'
sheher mein urti khaak ne meri
aankhen sehra ker di thi'n
hum ne apni saari khushiyaa'n
ghum ke haath pe dhar di thi'n
sehra apni aankhon ko bus
ashko'n se hi dhoya tha
mausam mere saath lipat ker
khul ker uss shab roya tha !!

0 comments:

Post a Comment