Thursday 22 August 2013

wo khushboo bhejha kerti thi main nazmein likhta rehta tha


wo khushboo bhejha kerti thi main nazmein likhta rehta tha
wo hass ke ujaala kerti thi , main subhein likhta rehta tha

geeli rait pe sahil ki doobtay sooraj ke hamraah
wo chup si chalti rehti thi, main sochein likhta rehta tha

deep wafa ke hotay thay ya shayad 2 taaray thay
wo mujh ko dekha kerti thi main aankhein likhta rehta tha

tapti dhoop ka rung bhi to phoolon sa ho jata tha
wo zulfen khola kerti thi main shaamein likhta rehta tha

toot ker aksar chahat mein, rooth ker yunhi ulfat mein
wo mujh ko jeeta kerti thi main maatein likhta rehta tha

misl-e-khoon wo rag rag mein ban ke zeesht hi behti thi
mere jeenay ki wo wajah thi main saansein likhta rehta tha

dono ki pehli chahat thi, dono toot ke miltay thay
wo waaday kerti rehti thi main qasmein likhta rehta tha

rasm-e-dunia ne aakhir hum ko bhatka dena tha
wo manzil dhoonda kerti thi, main raahein likhta rehta tha

chand din jab aa thehray thay uski meri judai mein
main uske haath pe pehron phir lakeerein likhta rehta tha

jaa'n se pyaray se shikwa khud ko ruswa kerna tha
main apnay honton pe chup ki bus mohrein likhta rehta tha

din mein dard ki shidat ko hass ker main seh jata tha
per bin uskay jo kat'ti thi wo raatein likhta rehta tha

guzri yaad ke sab lamhay dil ko cheer ke rakhtay thay
main gumnaami ke sehra mein haan ghaatein likhta rehta tha

uss bin mann ka aangan phir khaali khaali rehta tha
main tanhai ke haathon per aah maatein likhta rehta tha

dasht-e-wafa mein basnay ka dekh haasil aey Sehranaward
main yaadein likhta rehta hoon, main yaadein likhta rehta tha

0 comments:

Post a Comment