wohi aahatain dar-o-baam per wohi rut jagon k azaab hein
wohi adh bujhi meri neend hai, wohi adh jaly mery khuab hein,
Mery saamny ye jo kehkasha'n, ki hay dhund had-e-nigah tak,
pary is key jaany hein haqeeqatein, ya haqeeqaton key sarab hein,
Kabhi chaha khud ko samitna,to bikhar k or bhe reh gaya,
hein jo kirchi kirchi pary hoy, mery saamny mery khuab hein,
Ye na pooch keisy basar kiye, shab-o-roz kitny pehar jiye,
kisy raat din ki tameez thi, kisy yaad itny hisab hein

0 comments:
Post a Comment