ab ye hoga shaayad apni aag me Khud jal jaayenge.
tum se dor bahut rah kar bhi kya paayaa kya paayenge.
dukh bhi sache sukh bhi sache phir bhi teri chaahat men.
ham ne kitne dhoke khaaye kitne dhoke khaayenge.
Aqal pe ham ko naaz bahut tha lekin ye kab socha tha.
ishq k haathon ye bhi hoga log hamein samjhayenge.
kal ke dukh bhi kon se baaqi aaj ke dukh bhi kaii din k.
jaise din pehle kaate the ye din bhi kat jaayenge.
ham se aabalaa-paa jab tanha ghabraayenge.
sehraa men raaste sab tere hi ghar ki jaanib ko mor jaayenge.
Aankhon se ojhal hona kya dil se ojhal hona hai..
mujh se mil kar bhi ahal-e-Gam kyaa tujh se mil jaayenge.
0 comments:
Post a Comment