Monday, 17 February 2014

Aankhain Bhi Wohi Hain Tou Dareecha Bhi Wohi Hai


Aankhain Bhi Wohi Hain Tou Dareecha Bhi Wohi Hai 
Aur Soch Ke Aangan Mein Utarta Bhi Wohi Hai 

Jis Ne Mere Jazbon Ki Sadaaqat Ko Na Jaana 
Ab Meri Rafaaqat Ko Tarasta Bhi Wohi Hai 

Is Dil Ke Kharaabay Se Guzar Kis Ka Howa Hai ? 
Aankhain Bhi Wohi, Hont Bhi, Lehja Bhi Wohi Hai 

Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhaayi Ne Tujh Se 
Is Sheher Ki Deewar Pe Likha Bhi Wohi Hai 

Wo Jis Ne Dye Mujhko Mohabbat Ke Khazaanay 
Baadal Ki Tarah Aankh Se Barsaa Bhi Wohi Hai 

0 comments:

Post a Comment