Kuch b to nahi wesa
Jesa tujhy socha tha
Jitna tujhe chaha tha
Socha tha tere lab pr
Kuch herf duaoon k
Kuch phool wafaoon k
Mehkain gy meri khatir
Kuch b to nahi wesa
Jesa tujhe socha tha
Mehsoos ye hota hai
Dukh jhaily thy jo ab tak
Be-naam musafat me
Likhny ki muhabbat me
Parhny ki zaroorat me
Be-sud riyazat thi
Be-faiz ibadat thi
Jo khwab b thy dekhe
In jaagti ankhon ne
Sab khaam khayali thi
Phr b tujhe paany ki
Dil k kisi gooshy me
Khwahish to machali thi
Lekin tujhe pa kr b
or khud ko ganwa kr b
Is habs k mosam ki khirki se hawa aai
Na phool se khushbo ki koi b sadaa aai
Ab neend hai ankhon me
Na dil me wo pehli si taza sukhan-aarai
Na lafaz mere nikly
Na herf-o-mani ki danish mere kaam aai
Nadeeda rafaqat me
Jitni b aziyat thi
Sab mere hi naam aai
Kuch b to nahi wesa
Jesa tujhe socha tha
Jesa tujhe chaha tha.
0 comments:
Post a Comment