Saturday 15 March 2014

Wohi Aankhen Hen, Jin Me Zindgi Ne Khaab Likhay Thay,


Wohi Aankhen Hen,
Jin Me Zindgi Ne Khaab Likhay Thay,
.
Wohi Palken Hen Jin Per,
Mere Honton Ki Shuaaon Ne,
Chuni Thi Kehkishaan Aksar,
.
Wohi Lab,
Jin Se Lafzon K Sitaare Toot Kar,
.
Meri Ghazal Me Saans Letay Thay,
.
Wohi Chehra,
Jo Harf_o_Saut K Daayiry Me,
Markazi Nuqta,
.
Wohi Gardan,
K Jis Me Aqqd_e_Marjaan,
.
Aaeena_Bandi Ka Khumeyaza,
.
Wohi Baazu,
Jinhen Mere Badan Ka Lams Aksar,
Be_Karaan Chahat Ki Rut Se,

Aashna Karta,
.
Wohi Sab Kuch?
Mgr Ik Farq Wazeh He,
K Ab Uski Tabiyat Me Samandr Ka Tamawaj He,
.
Wohi Sab Kuch,
Mgr Ab Is Tarah Lagta He Jaisy,
K Ham Me Na_Deeda Faseelen Khich Gayin Khud Se,
.
Kabi Meri Mohabat Se Atti Mahtab Ki Raten,
Ghani Raten,
Ab Usay Achi Nahi Lagtin,
.
Kabi Be_Rabt_o_Be_Khaahish Mulaqaten,
Usay Achi Nahi Lagtin,
.
Wohi Sab Kuch Sahi Leqin,
Ab Aisa He
Meri Baten,
Usay Achi Nahi Lagtin"

0 comments:

Post a Comment